जब अहज्याह की माता अतल्याह ने देखा, कि मेरा पुत्र मर गया, तब उसने पूरे राजवंश को नाश कर डाला।
Jab ahajyaah ki mata atalyaah ne dekha, ki mera putra mar gaya, tab usne poore rajvansh ko naash kar dala.
2 Kings 11 · 21 verses
जब अहज्याह की माता अतल्याह ने देखा, कि मेरा पुत्र मर गया, तब उसने पूरे राजवंश को नाश कर डाला।
Jab ahajyaah ki mata atalyaah ne dekha, ki mera putra mar gaya, tab usne poore rajvansh ko naash kar dala.
परन्तु यहोशेबा जो राजा योराम की बेटी, और अहज्याह की बहिन थी, उसने अहज्याह के पुत्र योआश को घात होने वाले राजकुमारों के बीच में से चुराकर धाई समेत बिछौने रखने की कोठरी में छिपा दिया। और उन्होंने उसे अतल्याह से ऐसा छिपा रखा, कि वह मारा न गया।
Parantu yahosheba jo raja yoraam ki beti, aur ahajyaah ki bahin thi, usne ahajyaah ke putra yoaash ko ghaat hone vale rajkumaron ke beech mein se churakar dhai samet bichhaune rakhne ki kothri mein chhipa diya. Aur unhonne use atalyaah se aisa chhipa rakha, ki vah mara na gaya.
और वह उसके पास यहोवा के भवन में छ:वर्ष छिपा रहा, और अतल्याह देश पर राज्य करती रही।
Aur vah uske paas Yahowa ke bhavan mein chhavarsh chhipa raha, aur atalyaah desh par rajya karti rahi.
सातवें वर्ष में यहोयादा ने जल्लादों और पहरुओं के शतपतियों को बुला भेजा, और उन को यहोवा के भवन में अपने पास ले आया; और उन से वाचा बान्धी और यहोवा के भवन में उन को शपथ खिला कर, उन को राजपुत्र दिखाया।
Satvein varsh mein yahoyada ne jalladon aur pahruon ke shataptiyon ko bula bheja, aur un ko Yahowa ke bhavan mein apne paas le aaya; aur un se vacha bandhi aur Yahowa ke bhavan mein un ko shapath khila kar, un ko rajputra dikhaya.
और उसने उन्हें आज्ञा दी, कि एक काम करो: अर्थात तुम में से एक तिहाई लोग जो विश्रामदिन को आने वाले हों, वह राजभवन के पहरे की चौकसी करें।
Aur usne unhein aagya di, ki ek kaam karo: arthaat tum mein se ek tihai log jo vishramdin ko aane vale hon, vah rajabhvan ke pahre ki chauksi karein.
और एक तिहाई लोग सूर नाम फाटक में ठहरे रहें, और एक तिहाई लोग पहरुओं के पीछे के फाटक में रहें; यों तुम भवन की चौकसी कर के लोगों को रोके रहना।
Aur ek tihai log soor naam phatak mein thahre rahein, aur ek tihai log pahruon ke peechhe ke phatak mein rahein; yon tum bhavan ki chauksi kar ke logon ko roke rahna.
और तुम्हारे दो दल अर्थात जितने विश्राम दिन को बाहर जाने वाले हों वह राजा के आसपास हो कर यहोवा के भवन की चौकसी करें।
Aur tumhare do dal arthaat jitne vishraam din ko bahar jane vale hon vah raja ke aaspaas ho kar Yahowa ke bhavan ki chauksi karein.
और तुम अपने अपने हाथ में हथियार लिये हुए राजा के चारों ओर रहना, और जो कोई पांतियों के भीतर घुसना चाहे वह मार डाला जाए, और तुम राजा के आते-जाते समय उसके संग रहना।
Aur tum apne apne haath mein hathiyaar liye hue raja ke charon or rahna, aur jo koi pantiyon ke bheetar ghusna chahe vah maar dala jaye, aur tum raja ke aate-jate samay uske sang rahna.
यहोयादा याजक की इन सब आज्ञाओं के अनुसार शतपतियों ने किया। वे विश्रामदिन को आने वाले और जाने वाले दोनों दलों के अपने अपने जनों को संग ले कर यहोयादा याजक के पास गए।
Yahoyada yajak ki in sab aagyaon ke anusaar shataptiyon ne kiya. Ve vishramdin ko aane vale aur jane vale donon dalon ke apne apne janon ko sang le kar yahoyada yajak ke paas gaye.
तब याजक ने शतपतियों को राजा दाऊद के बर्छे, और ढालें जो यहोवा के भवन में थीं दे दीं।
Tab yajak ne shataptiyon ko raja Daud ke barchhe, aur dhalein jo Yahowa ke bhavan mein thi de di.
इसलिये वे पहरुए अपने अपने हाथ में हथियार लिए हुए भवन के दक्खिनी कोने से ले कर उत्तरी कोने तक वेदी और भवन के पास राजा के चारों ओर उसकी आड़ कर के खड़े हुए।
Isliye ve pahrue apne apne haath mein hathiyaar liye hue bhavan ke dakkhini kone se le kar uttari kone tak vedi aur bhavan ke paas raja ke charon or uski aad kar ke khade hue.
तब उसने राजकुमार को बाहर ला कर उसके सिर पर मुकुट, और साक्षीपत्र धर दिया; तब लोगों ने उसका अभिषेक कर के उसको राजा बनाया; फिर ताली बजा बजा कर बोल उठे, राजा जीवित रहे।
Tab usne rajkumaar ko bahar la kar uske sir par mukut, aur saksheepatra dhar diya; tab logon ne uska abhishek kar ke usko raja banaya; phir tali baja baja kar bol uthe, raja jeevit rahe.
जब अतल्याह को पहरुओं और लोगों का हलचल सुन पड़ा, तब वह उनके पास यहोवा के भवन में गई।
Jab atalyaah ko pahruon aur logon ka halchal sun pada, tab vah unke paas Yahowa ke bhavan mein gai.
और उसने क्या देखा कि राजा रीति के अनुसार खम्भे के पास खड़ा है, और राजा के पास प्रधान और तुरही बजाने वाले खड़े हैं। और लोग आनन्द करते और तुरहियां बजा रहे हैं। तब अतल्याह अपने वस्त्र फाड़कर राजद्रोह राजद्रोह यों पुकारने लगी।
Aur usne kya dekha ki raja reeti ke anusaar khambhe ke paas khada hai, aur raja ke paas pradhaan aur turhi bajane vale khade hain. Aur log aanand karte aur turhiyan baja rahe hain. Tab atalyaah apne vastra phadkar rajadroh rajadroh yon pukarne lagi.
तब यहोयादा याजक ने दल के अधिकारी शतपतियों को आज्ञा दी कि उसे अपनी पांतियों के बीच से निकाल ले जाओ; और जो कोई उसके पीछे चले उसे तलवार से मार डालो। क्योंकि याजक ने कहा, कि वह यहोवा के भवन में न मार डाली जाए।
Tab yahoyada yajak ne dal ke adhikari shataptiyon ko aagya di ki use apni pantiyon ke beech se nikaal le jao; aur jo koi uske peechhe chale use talvaar se maar dalo. Kyonki yajak ne kaha, ki vah Yahowa ke bhavan mein na maar dali jaye.
इसलिये उन्होंने दोनों ओर से उसको जगह दी, और वह उस मार्ग के बीच से चली गई, जिस से घोड़े राजभवन में जाया करते थे; और वहां वह मार डाली गई।
Isliye unhonne donon or se usko jagah di, aur vah us maarg ke beech se chali gai, jis se ghode rajabhvan mein jaya karte the; aur vahan vah maar dali gai.
तब यहोयादा ने यहोवा के, और राजा-प्रजा के बीच यहोवा की प्रजा होने की वाचा बन्धाई, और उसने राजा और प्रजा के मध्य भी वाचा बन्धाई।
Tab yahoyada ne Yahowa ke, aur raja-praja ke beech Yahowa ki praja hone ki vacha bandhai, aur usne raja aur praja ke madhya bhi vacha bandhai.
तब सब लोगों ने बाल के भवन को जा कर ढा दिया, और उसकी वेदियां और मूरतें भली भांति तोड़ दीं; और मतान नाम बाल के याजक को वेदियों के साम्हने ही घात किया। और याजक ने यहोवा के भवन पर अधिकारी ठहरा दिए।
Tab sab logon ne baal ke bhavan ko ja kar dha diya, aur uski vediyan aur moortein bhali bhanti tod di; aur mataan naam baal ke yajak ko vediyon ke samhane hi ghaat kiya. Aur yajak ne Yahowa ke bhavan par adhikari thahra diye.
तब वह शतपतियों, जल्लादों और पहरुओं और सब लोगों को साथ ले कर राजा को यहोवा के भवन से नीचे ले गया, और पहरुओं के फाटक के मार्ग से राजभवन को पहुंचा दिया। और राजा राजगद्दी पर विराजमान हुआ।
Tab vah shataptiyon, jalladon aur pahruon aur sab logon ko saath le kar raja ko Yahowa ke bhavan se neeche le gaya, aur pahruon ke phatak ke maarg se rajabhvan ko pahuncha diya. Aur raja rajgaddi par virajmaan huaa.
तब सब लोग आनन्दित हुए, और नगर में शान्ति हुई। अतल्याह तो राजभवन के पास तलवार से मार डाली गई थी।
Tab sab log aanandit hue, aur nagar mein shanti hui. Atalyaah to rajabhvan ke paas talvaar se maar dali gai thi.
जब योआश राजा हुआ, उस समय वह सात वर्ष का था।
Jab yoaash raja huaa, us samay vah saat varsh ka tha.