1 Thessalonians 2 · 20 verses

1 थिस्सलुनीकियों 2 1 Thessalonians 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 thissaluneekiyon 2.

1

हे भाइयों, तुम आप ही जानते हो कि हमारा तुम्हारे पास आना व्यर्थ न हुआ।

He bhaiyon, tum aap hi jante ho ki hamara tumhare paas aana vyarth na huaa.

2

वरन तुम आप ही जानते हो, कि पहिले पहिल फिलिप्पी में दुख उठाने और उपद्रव सहने पर भी हमारे परमेश्वर ने हमें ऐसा हियाव दिया, कि हम परमेश्वर का सुसमाचार भारी विरोधों के होते हुए भी तुम्हें सुनाएं।

Varan tum aap hi jante ho, ki pahile pahil philippi mein dukh uthane aur upadrav sahne par bhi hamare Parmeshwar ne hamein aisa hiyaav diya, ki ham Parmeshwar ka susmachaar bhari virodhon ke hote hue bhi tumhein sunayen.

3

क्योंकि हमारा उपदेश न भ्रम से है और न अशुद्धता से, और न छल के साथ है।

Kyonki hamara updesh na bhram se hai aur na ashuddhata se, aur na chhal ke saath hai.

4

पर जैसा परमेश्वर ने हमें योग्य ठहराकर सुसमाचार सौंपा, हम वैसा ही वर्णन करते हैं; और इस में मनुष्यों को नहीं, परन्तु परमेश्वर को, जो हमारे मनों को जांचता है, प्रसन्न करते हैं।

Par jaisa Parmeshwar ne hamein yogya thahrakar susmachaar saumpa, ham vaisa hi varnan karte hain; aur is mein manushyon ko nahi, parantu Parmeshwar ko, jo hamare manon ko janchta hai, prasann karte hain.

5

क्योंकि तुम जानते हो, कि हम न तो कभी लल्लोपत्तो की बातें किया करते थे, और न लोभ के लिये बहाना करते थे, परमेश्वर गवाह है।

Kyonki tum jante ho, ki ham na to kabhi lallopatto ki batein kiya karte the, aur na lobh ke liye bahana karte the, Parmeshwar gavaah hai.

6

और यद्यपि हम मसीह के प्रेरित होने के कारण तुम पर बोझ डाल सकते थे, तौभी हम मनुष्यों से आदर नहीं चाहते थे, और न तुम से, न और किसी से।

Aur yadyapi ham Masih ke prerit hone ke karan tum par bojh daal sakte the, taubhi ham manushyon se aadar nahi chahte the, aur na tum se, na aur kisi se.

7

परन्तु जिस तरह माता अपने बालकों का पालन-पोषण करती है, वैसे ही हम ने भी तुम्हारे बीच में रह कर कोमलता दिखाई है।

Parantu jis tarah mata apne balkon ka palan-poshan karti hai, vaise hi ham ne bhi tumhare beech mein rah kar komalta dikhai hai.

8

और वैसे ही हम तुम्हारी लालसा करते हुए, न केवल परमेश्वर को सुसमाचार, पर अपना अपना प्राण भी तुम्हें देने को तैयार थे, इसलिये कि तुम हमारे प्यारे हो गए थे।

Aur vaise hi ham tumhari lalsa karte hue, na keval Parmeshwar ko susmachaar, par apna apna praan bhi tumhein dene ko taiyaar the, isliye ki tum hamare pyare ho gaye the.

9

क्योंकि, हे भाइयों, तुम हमारे परिश्रम और कष्ट को स्मरण रखते हो, कि हम ने इसलिये रात दिन काम धन्धा करते हुए तुम में परमेश्वर का सुसमाचार प्रचार किया, कि तुम में से किसी पर भार न हों।

Kyonki, he bhaiyon, tum hamare parishram aur kasht ko smaran rakhte ho, ki ham ne isliye raat din kaam dhandha karte hue tum mein Parmeshwar ka susmachaar prachaar kiya, ki tum mein se kisi par bhaar na hon.

10

तुम आप ही गवाह हो: और परमेश्वर भी, कि तुम्हारे बीच में जो विश्वास रखते हो हम कैसी पवित्रता और धार्मिकता और निर्दोषता से रहे।

Tum aap hi gavaah ho: aur Parmeshwar bhi, ki tumhare beech mein jo vishwaas rakhte ho ham kaisi pavitrata aur dharmikta aur nirdoshta se rahe.

11

जैसे तुम जानते हो, कि जैसा पिता अपने बालकों के साथ बर्ताव करता है, वैसे ही हम तुम में से हर एक को भी उपदेश करते, और शान्ति देते, और समझाते थे।

Jaise tum jante ho, ki jaisa pita apne balkon ke saath bartaav karta hai, vaise hi ham tum mein se har ek ko bhi updesh karte, aur shanti dete, aur samjhate the.

12

कि तुम्हारा चाल चलन परमेश्वर के योग्य हो, जो तुम्हें अपने राज्य और महिमा में बुलाता है॥

Ki tumhara chaal chalan Parmeshwar ke yogya ho, jo tumhein apne rajya aur mahima mein bulata hai.

13

इसलिये हम भी परमेश्वर का धन्यवाद निरन्तर करते हैं; कि जब हमारे द्वारा परमेश्वर के सुसमाचार का वचन तुम्हारे पास पहुंचा, तो तुम ने उस मनुष्यों का नहीं, परन्तु परमेश्वर का वचन समझकर (और सचमुच यह ऐसा ही है) ग्रहण किया: और वह तुम में जो विश्वास रखते हो, प्रभावशाली है।

Isliye ham bhi Parmeshwar ka dhanyavaad nirantar karte hain; ki jab hamare dwara Parmeshwar ke susmachaar ka vachan tumhare paas pahuncha, to tum ne us manushyon ka nahi, parantu Parmeshwar ka vachan samajhkar (aur sachmuch yah aisa hi hai) grahan kiya: aur vah tum mein jo vishwaas rakhte ho, prabhavshali hai.

14

इसलिये कि तुम, हे भाइयो, परमेश्वर की उन कलीसियाओं की सी चाल चलने लगे, जो यहूदिया में मसीह यीशु में हैं, क्योंकि तुम ने भी अपने लोगों से वैसा ही दुख पाया, जैसा उन्होंने यहूदियों से पाया था।

Isliye ki tum, he bhaiyo, Parmeshwar ki un kaleesiyaon ki si chaal chalne lage, jo yahoodiya mein Masih Yeshu mein hain, kyonki tum ne bhi apne logon se vaisa hi dukh paya, jaisa unhonne Yahudiyon se paya tha.

15

जिन्हों ने प्रभु यीशु को और भविष्यद्वक्ताओं को भी मार डाला और हम को सताया, और परमेश्वर उन से प्रसन्न नहीं; और वे सब मनुष्यों का विरोध करते हैं।

Jinhon ne Prabhu Yeshu ko aur bhavishyadwaktaon ko bhi maar dala aur ham ko sataya, aur Parmeshwar un se prasann nahi; aur ve sab manushyon ka virodh karte hain.

16

और वे अन्यजातियों से उन के उद्धार के लिये बातें करने से हमें रोकते हैं, कि सदा अपने पापों का नपुआ भरते रहें; पर उन पर भयानक प्रकोप आ पहुंचा है॥

Aur ve anyajatiyon se un ke uddhaar ke liye batein karne se hamein rokte hain, ki sada apne papon ka napuaa bharte rahein; par un par bhayanak prakop aa pahuncha hai.

17

हे भाइयों, जब हम थोड़ी देर के लिये मन में नहीं वरन प्रगट में तुम से अलग हो गए थे, तो हम ने बड़ी लालसा के साथ तुम्हारा मुंह देखने के लिये और भी अधिक यत्न किया।

He bhaiyon, jab ham thodi der ke liye man mein nahi varan pragat mein tum se alag ho gaye the, to ham ne badi lalsa ke saath tumhara munh dekhne ke liye aur bhi adhik yatn kiya.

18

इसलिये हम ने (अर्थात मुझ पौलुस ने) एक बार नहीं, वरन दो बार तुम्हारे पास आना चाहा, परन्तु शैतान हमें रोके रहा।

Isliye ham ne (arthaat mujh Paulus ne) ek baar nahi, varan do baar tumhare paas aana chaha, parantu Shaitan hamein roke raha.

19

भला हमारी आशा, या आनन्द या बड़ाई का मुकुट क्या है? क्या हमारे प्रभु यीशु के सम्मुख उसके आने के समय तुम ही न होगे?

Bhala hamari aasha, ya aanand ya badai ka mukut kya hai? Kya hamare Prabhu Yeshu ke sammukh uske aane ke samay tum hi na hoge?

20

हमारी बड़ाई और आनन्द तुम ही हो॥

Hamari badai aur aanand tum hi ho.