1 Samuel 9 · 27 verses

1 शमूएल 9 1 Samuel 9 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 9.

1

बिन्यामीन के गोत्र में कीश नाम का एक पुरूष था, जो अपनीह के पुत्र बकोरत का परपोता, और सरोर का पोता, और अबीएल का पुत्र था; वह एक बिन्यामीनी पुरूष का पुत्र और बड़ा शक्तिशाली सूरमा था।

Binyameen ke gotra mein keesh naam ka ek puroosh tha, jo apneeh ke putra bakorat ka parpota, aur saror ka pota, aur abeeyel ka putra tha; vah ek binyameeni puroosh ka putra aur bada shaktishali soorma tha.

2

उसके शाऊल नाम एक जवान पुत्र था, जो सुन्दर था, और इस्राएलियों में कोई उस से बढ़कर सुन्दर न था; वह इतना लम्बा था कि दूसरे लोग उसके कान्धे ही तक आते थे।

Uske shaool naam ek javaan putra tha, jo sundar tha, aur Israeliyon mein koi us se badhkar sundar na tha; vah itna lamba tha ki doosre log uske kandhe hi tak aate the.

3

जब शाऊल के पिता कीश की गदहियां खो गईं, तब कीश ने अपने पुत्र शाऊल से कहा, एक सेवक को अपने साथ ले जा और गदहियों को ढूंढ ला।

Jab shaool ke pita keesh ki gadhiyan kho gai, tab keesh ne apne putra shaool se kaha, ek sevak ko apne saath le ja aur gadhiyon ko dhoondh la.

4

तब वह एप्रैम के पहाड़ी देश और शलीशा देश होते हुए गया, परन्तु उन्हें न पाया। तब वे शालीम नाम देश भी हो कर गए, और वहां भी न पाया। फिर बिन्यामीन के देश में गए, परन्तु गदहियां न मिलीं।

Tab vah epraim ke pahadi desh aur shaleesha desh hote hue gaya, parantu unhein na paya. Tab ve shaleem naam desh bhi ho kar gaye, aur vahan bhi na paya. Phir binyameen ke desh mein gaye, parantu gadhiyan na mili.

5

जब वे सूफ नाम देश में आए, तब शाऊल ने अपने साथ के सेवक से कहा, आ, हम लौट चलें, ऐसा न हो कि मेरा पिता गदहियों की चिन्ता छोड़कर हमारी चिन्ता करने लगे।

Jab ve sooph naam desh mein aaye, tab shaool ne apne saath ke sevak se kaha, aa, ham laut chalein, aisa na ho ki mera pita gadhiyon ki chinta chhodkar hamari chinta karne lage.

6

उसने उस से कहा, सुन, इस नगर में परमेश्वर का एक जन है जिसका बड़ा आदरमान होता है; और जो कुछ वह कहता है वह बिना पूरा हुए नहीं रहता। अब हम उधर चलें, सम्भव है वह हम को हमार मार्ग बताए कि किधर जाएं।

Usne us se kaha, sun, is nagar mein Parmeshwar ka ek jan hai jiska bada aadarmaan hota hai; aur jo kuchh vah kahta hai vah bina poora hue nahi rahta. Ab ham udhar chalein, sambhav hai vah ham ko hamaar maarg bataye ki kidhar jayen.

7

शाऊल ने अपने सेवक से कहा, सुन, यदि हम उस पुरूष के पास चलें तो उसके लिये क्या ले चलें? देख, हमारी थैलियों में की रोटी चुक गई है और भेंट के योग्य कोई वस्तु है ही नहीं, जो हम परमेश्वर के उस जन को दें। हमारे पास क्या है?

Shaool ne apne sevak se kaha, sun, yadi ham us puroosh ke paas chalein to uske liye kya le chalein? Dekh, hamari thailiyon mein ki roti chuk gai hai aur bhent ke yogya koi vastu hai hi nahi, jo ham Parmeshwar ke us jan ko dein. Hamare paas kya hai?

8

सेवक ने फिर शाऊल से कहा, कि मेरे पास तो एक शेकेल चान्दी की चौथाई है, वही मैं परमेश्वर के जन को दूंगा, कि वह हम को बताए कि किधर जाएं।

Sevak ne phir shaool se kaha, ki mere paas to ek shekel chandi ki chauthai hai, vahi main Parmeshwar ke jan ko doonga, ki vah ham ko bataye ki kidhar jayen.

9

पूर्वकाल में तो इस्राएल में जब कोई परमेश्वर से प्रश्न करने जाता तब ऐसा कहता था, कि चलो, हम दर्शी के पास चलें; क्योंकि जो आज कल नबी कहलाता है वह पूर्वकाल में दर्शी कहलाता था।

Poorvakaal mein to Israel mein jab koi Parmeshwar se prashn karne jata tab aisa kahta tha, ki chalo, ham darshi ke paas chalein; kyonki jo aaj kal nabi kahlata hai vah poorvakaal mein darshi kahlata tha.

10

तब शाऊल ने अपने सेवक से कहा, तू ने भला कहा है; हम चलें। सो वे उस नगर को चले जहां परमेश्वर का जन था।

Tab shaool ne apne sevak se kaha, tu ne bhala kaha hai; ham chalein. So ve us nagar ko chale jahan Parmeshwar ka jan tha.

11

उस नगर की चढ़ाई पर चढ़ते समय उन्हें कई एक लड़कियां मिलीं जो पानी भरने को निकली थीं; उन्होंने उन से पूछा, क्या दर्शी यहां है?

Us nagar ki chadhai par chadhte samay unhein kai ek ladkiyan mili jo pani bharne ko nikli thi; unhonne un se poochha, kya darshi yahan hai?

12

उन्होंने उत्तर दिया, कि है; देखो, वह तुम्हारे आगे है। अब फुर्ती करो; आज ऊंचे स्थान पर लोगों का यज्ञ है, इसलिये वह आज नगर में आया हुआ है।

Unhonne uttar diya, ki hai; dekho, vah tumhare aage hai. Ab phurti karo; aaj oonche sthaan par logon ka yagy hai, isliye vah aaj nagar mein aaya huaa hai.

13

ज्योंही तुम नगर में पहुंचो त्योंही वह तुम को ऊंचे स्थान पर खाना खाने को जाने से पहिले मिलेगा; क्योंकि जब तक वह न पहुंचे तब तक लोग भोजन करेंगे, इसलिये कि यज्ञ के विषय में वही धन्यवाद करता; तब उसके पीछे ही न्योतहरी भोजन करते हैं। इसलिये तुम अभी चढ़ जाओ, इसी समय वह तुम्हें मिलेगा।

Jyonhi tum nagar mein pahuncho tyonhi vah tum ko oonche sthaan par khana khane ko jane se pahile milega; kyonki jab tak vah na pahunche tab tak log bhojan karenge, isliye ki yagy ke vishay mein vahi dhanyavaad karta; tab uske peechhe hi nyotahri bhojan karte hain. Isliye tum abhi chadh jao, isi samay vah tumhein milega.

14

वे नगर में चढ़ गए और ज्योंही नगर के भीतर पहुंचे त्योंही शमूएल ऊंचे स्थान पर चढ़ने की मनसा से उनके साम्हने आ रहा था॥

Ve nagar mein chadh gaye aur jyonhi nagar ke bheetar pahunche tyonhi shamooyel oonche sthaan par chadhne ki mansa se unke samhane aa raha tha.

15

शाऊल के आने से एक दिन पहिले यहोवा ने शमूएल को यह चिता रखा था,

Shaool ke aane se ek din pahile Yahowa ne shamooyel ko yah chita rakha tha,

16

कि कल इसी समय मैं तेरे पास बिन्यामीन के देश से एक पुरूष को भेजूंगा, उसी को तू मेरी इस्राएली प्रजा के ऊपर प्रधान होने के लिये अभिषेक करना। और वह मेरी प्रजा को पलिश्तियों के हाथ से छुड़ाएगा; क्योंकि मैं ने अपनी प्रजा पर कृपा दृष्टि की है, इसलिये कि उनकी चिल्लाहट मेरे पास पंहुची है।

Ki kal isi samay main tere paas binyameen ke desh se ek puroosh ko bhejoonga, usi ko tu meri Israeli praja ke oopar pradhaan hone ke liye abhishek karna. Aur vah meri praja ko palishtiyon ke haath se chhudayega; kyonki main ne apni praja par kripa drishti ki hai, isliye ki unki chillahat mere paas panhuchi hai.

17

फिर जब शमूएल को शाऊल देख पड़ा, तब यहोवा ने उस से कहा, जिस पुरूष की चर्चा मैं ने तुझ से की थी वह यही है; मेरी प्रजा पर यही अधिकार करेगा।

Phir jab shamooyel ko shaool dekh pada, tab Yahowa ne us se kaha, jis puroosh ki charcha main ne tujh se ki thi vah yahi hai; meri praja par yahi adhikaar karega.

18

तब शाऊल फाटक में शमूएल के निकट जा कर कहने लगा, मुझे बता कि दर्शी का घर कहां है?

Tab shaool phatak mein shamooyel ke nikat ja kar kahne laga, mujhe bata ki darshi ka ghar kahan hai?

19

उसने कहा, दर्शी तो मैं हूं; मेरे आगे आगे ऊंचे स्थान पर चढ़ जा, क्योंकि आज के दिन तुम मेरे साथ भोजन खाओगे, और बिहान को जो कुछ तेरे मन में हो सब कुछ मैं तुझे बता कर विदा करूंगा।

Usne kaha, darshi to main hoon; mere aage aage oonche sthaan par chadh ja, kyonki aaj ke din tum mere saath bhojan khaoge, aur bihaan ko jo kuchh tere man mein ho sab kuchh main tujhe bata kar vida karoonga.

20

और तेरी गदहियां जो तीन दिन हुए खो गई थीं उनकी कुछ भी चिन्ता न कर, क्योंकि वे मिल गईं। और इस्राएल में जो कुछ मनभाऊ है वह किस का है? क्या वह तेरा और तेरे पिता के सारे घराने का नहीं है?

Aur teri gadhiyan jo teen din hue kho gai thi unki kuchh bhi chinta na kar, kyonki ve mil gai. Aur Israel mein jo kuchh manbhau hai vah kis ka hai? Kya vah tera aur tere pita ke sare gharane ka nahi hai?

21

शाऊल ने उत्तर देकर कहा, क्या मैं बिन्यामीनी, अर्थात सब इस्राएली गोत्रों में से छोटे गोत्र का नहीं हूं? और क्या मेरा कुल बिन्यामीनी के गोत्र के सारे कुलों में से छोटा नहीं है? इसलिये तू मुझ से ऐसी बातें क्यों कहता है?

Shaool ne uttar dekar kaha, kya main binyameeni, arthaat sab Israeli gotron mein se chhote gotra ka nahi hoon? Aur kya mera kul binyameeni ke gotra ke sare kulon mein se chhota nahi hai? Isliye tu mujh se aisi batein kyon kahta hai?

22

तब शमूएल ने शाऊल और उसके सेवक को कोठरी में पहुंचाकर न्योताहारी, जो लगभग तीस जन थे, उनके साथ मुख्य स्थान पर बैठा दिया।

Tab shamooyel ne shaool aur uske sevak ko kothri mein pahunchakar nyotahari, jo lagbhag tees jan the, unke saath mukhya sthaan par baitha diya.

23

फिर शमूएल ने रसोइथे से कहा, जो टुकड़ा मैं ने तुझे देकर, अपने पास रख छोड़ने को कहा था, उसे ले आ।

Phir shamooyel ne rasoithe se kaha, jo tukda main ne tujhe dekar, apne paas rakh chhodne ko kaha tha, use le aa.

24

तो रसोइये ने जांघ को मांस समेत उठा कर शाऊल के आगे धर दिया; तब शमूएल ने कहा, जो रखा गया था उसे देख, और अपने साम्हने धरके खा; क्योंकि वह तेरे लिये इसी नियत समय तक, जिसकी चर्चा करके मैं ने लोगों को न्योता दिया, रखा हुआ है। और शाऊल ने उस दिन शमूएल के साथ भोजन किया।

To rasoiye ne jaangh ko maans samet utha kar shaool ke aage dhar diya; tab shamooyel ne kaha, jo rakha gaya tha use dekh, aur apne samhane dharke kha; kyonki vah tere liye isi niyat samay tak, jiski charcha karke main ne logon ko nyota diya, rakha huaa hai. Aur shaool ne us din shamooyel ke saath bhojan kiya.

25

तब वे ऊंचे स्थान से उतरकर नगर में आए, और उसने घर की छत पर शाऊल से बातें कीं।

Tab ve oonche sthaan se utarkar nagar mein aaye, aur usne ghar ki chhat par shaool se batein ki.

26

बिहान को वे तड़के उठे, और पह फटते फटते शमूएल ने शाऊल को छत पर बुलाकर कहा, उठ, मैं तुम को विदा करूंगा। तब शाऊल उठा, और वह और शमूएल दोनों बाहर निकल गए।

Bihaan ko ve tadke uthe, aur pah phatte phatte shamooyel ne shaool ko chhat par bulakar kaha, uth, main tum ko vida karoonga. Tab shaool utha, aur vah aur shamooyel donon bahar nikal gaye.

27

और नगर के सिरे की उतराई पर चलते चलते शमूएल ने शाऊल से कहा, अपने सेवक को हम से आगे बढ़ने की आज्ञा दे, (वह आगे बढ़ गया,) परन्तु तू अभी खड़ा रह कि मैं तुझे परमेश्वर का वचन सुनाऊं॥

Aur nagar ke sire ki utrai par chalte chalte shamooyel ne shaool se kaha, apne sevak ko ham se aage badhne ki aagya de, (vah aage badh gaya,) parantu tu abhi khada rah ki main tujhe Parmeshwar ka vachan sunaun.