जब शमूएल बूढ़ा हुआ, तब उसने अपने पुत्रों को इस्राएलियों पर न्यायी ठहराया।
Jab shamooyel boodha huaa, tab usne apne putron ko Israeliyon par nyayi thahraya.
1 Samuel 8 · 22 verses
जब शमूएल बूढ़ा हुआ, तब उसने अपने पुत्रों को इस्राएलियों पर न्यायी ठहराया।
Jab shamooyel boodha huaa, tab usne apne putron ko Israeliyon par nyayi thahraya.
उसके जेठे पुत्र का नाम योएल, और दूसरे का नाम अबिय्याह था; ये बेर्शेबा में न्याय करते थे।
Uske jethe putra ka naam yoyel, aur doosre ka naam abiyyaah tha; ye bersheba mein nyaay karte the.
परन्तु उसके पुत्र उसकी राह पर न चले, अर्थात लालच में आकर घूस लेते और न्याय बिगाड़ते थे॥
Parantu uske putra uski raah par na chale, arthaat lalach mein aakar ghoos lete aur nyaay bigadte the.
तब सब इस्राएली वृद्ध लोग इकट्ठे हो कर रामा में शमूएल के पास जा कर
Tab sab Israeli vriddh log ikatthe ho kar rama mein shamooyel ke paas ja kar
उस से कहने लगे, सुन, तू तो अब बूढ़ा हो गया, और तेरे पुत्र तेरी राह पर नहीं चलते; अब हम पर न्याय करने के लिये सब जातियों की रीति के अनुसार हमारे लिये एक राजा नियुक्त कर दे।
Us se kahne lage, sun, tu to ab boodha ho gaya, aur tere putra teri raah par nahi chalte; ab ham par nyaay karne ke liye sab jatiyon ki reeti ke anusaar hamare liye ek raja niyukt kar de.
परन्तु जो बात उन्होंने कही, कि हम पर न्याय करने के लिये हमारे ऊपर राजा नियुक्त कर दे, यह बात शमूएल को बुरी लगी। और शमूएल ने यहोवा से प्रार्थना की।
Parantu jo baat unhonne kahi, ki ham par nyaay karne ke liye hamare oopar raja niyukt kar de, yah baat shamooyel ko buri lagi. Aur shamooyel ne Yahowa se prarthana ki.
और यहोवा ने शमूएल से कहा, वे लोग जो कुछ तुझ से कहें उसे मान ले; क्योंकि उन्होंने तुझ को नहीं परन्तु मुझी को निकम्मा जाना है, कि मैं उनका राजा न रहूं।
Aur Yahowa ne shamooyel se kaha, ve log jo kuchh tujh se kahein use maan le; kyonki unhonne tujh ko nahi parantu mujhi ko nikamma jana hai, ki main unka raja na rahun.
जैसे जैसे काम वे उस दिन से, जब से मैं उन्हें मिस्र से निकाल लाया, आज के दिन तक करते आए हैं, कि मुझ को त्यागकर पराए, देवताओं की उपासना करते आए हैं, वैसे ही वे तुझ से भी करते हैं।
Jaise jaise kaam ve us din se, jab se main unhein Misr se nikaal laya, aaj ke din tak karte aaye hain, ki mujh ko tyagkar paraye, devtaon ki upasna karte aaye hain, vaise hi ve tujh se bhi karte hain.
इसलिये अब तू उनकी बात मान; तौभी तू गम्भीरता से उन को भली भांति समझा दे, और उन को बतला भी दे कि जो राजा उन पर राज्य करेगा उसका व्यवहार किस प्रकार होगा॥
Isliye ab tu unki baat maan; taubhi tu gambheerta se un ko bhali bhanti samjha de, aur un ko batla bhi de ki jo raja un par rajya karega uska vyavhaar kis prakaar hoga.
और शमूएल ने उन लोगों को जो उस से राजा चाहते थे यहोवा की सब बातें कह सुनाईं।
Aur shamooyel ne un logon ko jo us se raja chahte the Yahowa ki sab batein kah sunai.
और उसने कहा जो राजा तुम पर राज्य करेगा उसकी यह चाल होगी, अर्थात वह तुम्हारे पुत्रों को ले कर अपने रथों और घोड़ों के काम पर नौकर रखेगा, और वे उसके रथों के आगे आगे दौड़ा करेंगे;
Aur usne kaha jo raja tum par rajya karega uski yah chaal hogi, arthaat vah tumhare putron ko le kar apne rathon aur ghodon ke kaam par naukar rakhega, aur ve uske rathon ke aage aage dauda karenge;
फिर वह उन को हजार हजार और पचास पचास के ऊपर प्रधान बनाएगा, और कितनों से वह अपने हल जुतवाएगा, और अपने खेत कटवाएगा, और अपने लिये युद्ध के हथियार और रथों के साज बनवाएगा।
Phir vah un ko hajaar hajaar aur pachaas pachaas ke oopar pradhaan banayega, aur kitnon se vah apne hal jutvayega, aur apne khet katvayega, aur apne liye yuddh ke hathiyaar aur rathon ke saaj banvayega.
फिर वह तुम्हारी बेटियों को ले कर उन से सुगन्धद्रव्य और रसोई और रोटियां बनवाएगा।
Phir vah tumhari betiyon ko le kar un se sugandhadravya aur rasoi aur rotiyan banvayega.
फिर वह तुम्हारे खेतों और दाख और जलपाई की बारियों में से जो अच्छी से अच्छी होंगे उन्हें ले ले कर अपने कर्मचारियों को देगा।
Phir vah tumhare kheton aur daakh aur jalpai ki bariyon mein se jo achchhi se achchhi honge unhein le le kar apne karmachariyon ko dega.
फिर वह तुम्हारे बीज और दाख की बारियों का दसवां अंश ले ले कर अपने हाकिमों और कर्मचारियों को देगा।
Phir vah tumhare beej aur daakh ki bariyon ka dasvan ansh le le kar apne hakimon aur karmachariyon ko dega.
फिर वह तुम्हारे दास-दासियों, और तुम्हारे अच्छे से अच्छे जवानों को, और तुम्हारे गदहों को भी ले कर अपने काम में लगाएगा।
Phir vah tumhare daas-dasiyon, aur tumhare achchhe se achchhe javanon ko, aur tumhare gadhon ko bhi le kar apne kaam mein lagayega.
वह तुम्हारी भेड़-बकरियों का भी दसवां अंश लेगा; निदान तुम लोग उस के दास बन जाओगे।
Vah tumhari bhed-bakriyon ka bhi dasvan ansh lega; nidaan tum log us ke daas ban jaoge.
और उस दिन तुम अपने उस चुने हुए राजा के कारण दोहाई दोगे, परन्तु यहोवा उस समय तुम्हारी न सुनेगा।
Aur us din tum apne us chune hue raja ke karan dohai doge, parantu Yahowa us samay tumhari na sunega.
तौभी उन लोगों ने शमूएल की बात न सुनी; और कहने लगे, नहीं! हम निश्चय अपने लिये राजा चाहते हैं,
Taubhi un logon ne shamooyel ki baat na suni; aur kahne lage, nahi! Ham nishchay apne liye raja chahte hain,
जिस से हम भी और सब जातियों के समान हो जाएं, और हमारा राजा हमारा न्याय करे, और हमारे आगे आगे चलकर हमारी ओर से युद्ध किया करे।
Jis se ham bhi aur sab jatiyon ke samaan ho jayen, aur hamara raja hamara nyaay kare, aur hamare aage aage chalkar hamari or se yuddh kiya kare.
लोगों की ये सब बातें सुनकर शमूएल ने यहोवा के कानों तक पहुंचाया।
Logon ki ye sab batein sunkar shamooyel ne Yahowa ke kanon tak pahunchaya.
यहोवा ने शमूएल से कहा, उनकी बात मानकर उनके लिये राजा ठहरा दे। तब शमूएल ने इस्राएली मनुष्यों से कहा, तुम अब अपने अपने नगर को चले जाओ॥
Yahowa ne shamooyel se kaha, unki baat mankar unke liye raja thahra de. Tab shamooyel ne Israeli manushyon se kaha, tum ab apne apne nagar ko chale jao.