1 Samuel 10 · 27 verses

1 शमूएल 10 1 Samuel 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 10.

1

तब शमूएल ने एक कुप्पी तेल ले कर उसके सिर पर उंडेला, और उसे चूमकर कहा, क्या इसका कारण यह नहीं कि यहोवा ने अपने निज भाग के ऊपर प्रधान होने को तेरा अभिषेक किया है?

Tab shamooyel ne ek kuppi tel le kar uske sir par undela, aur use choomkar kaha, kya iska karan yah nahi ki Yahowa ne apne nij bhaag ke oopar pradhaan hone ko tera abhishek kiya hai?

2

आज जब तू मेरे पास से चला जाएगा, तब राहेल की कब्र के पास जो बिन्यामीन के देश के सिवाने पर सेलसह में है दो जन तुझे मिलेंगे, और कहेंगे, कि जिन गदिहियों को तू ढूंढने गया था वे मिली हैं; और सुन, तेरा पिता गदहियों की चिन्ता छोड़कर तुम्हारे कारण कुढ़ता हुआ कहता है, कि मैं अपने पुत्र के लिये क्या करूं?

Aaj jab tu mere paas se chala jayega, tab rahel ki kabra ke paas jo binyameen ke desh ke sivane par selsah mein hai do jan tujhe milenge, aur kahenge, ki jin gadihiyon ko tu dhoondhne gaya tha ve mili hain; aur sun, tera pita gadhiyon ki chinta chhodkar tumhare karan kudhta huaa kahta hai, ki main apne putra ke liye kya karun?

3

फिर वहां से आगे बढ़कर जब तू ताबोर के बांजवृक्ष के पास पहुंचेगा, तब वहां तीन जन परमेश्वर के पास बेतेल को जाते हुए तुझे मिलेंगे, जिन में से एक तो बकरी के तीन बच्चे, और दूसरा तीन रोटी, और तीसरा एक कुप्पी दाखमधु लिए हुए होगा।

Phir vahan se aage badhkar jab tu tabor ke banjvriksh ke paas pahunchega, tab vahan teen jan Parmeshwar ke paas betel ko jate hue tujhe milenge, jin mein se ek to bakri ke teen bachche, aur doosra teen roti, aur teesra ek kuppi dakhamdhu liye hue hoga.

4

और वे तेरा कुशल पूछेंगे, और तुझे दो रोटी देंगे, और तू उन्हें उनके हाथ से ले लेना।

Aur ve tera kushal poochhenge, aur tujhe do roti denge, aur tu unhein unke haath se le lena.

5

तब तू परमेश्वर के पहाड़ पर पहुंचेगा जहां पलिश्तियों की चौकी है; और जब तू वहां नगर में प्रवेश करे, तब नबियों का एक दल ऊंचे स्थान से उतरता हुआ तुझे मिलेगा; और उनके आगे सितार, डफ, बांसुली, और वीणा होंगे; और वे नबूवत करते होंगे।

Tab tu Parmeshwar ke pahaad par pahunchega jahan palishtiyon ki chauki hai; aur jab tu vahan nagar mein pravesh kare, tab nabiyon ka ek dal oonche sthaan se utarta huaa tujhe milega; aur unke aage sitaar, daph, bansuli, aur veena honge; aur ve naboovat karte honge.

6

तब यहोवा का आत्मा तुझ पर बल से उतरेगा, और तू उनके साथ हो कर नबूवत करने लगेगा, और तू परिवर्तित हो कर और ही मनुष्य हो जाएगा।

Tab Yahowa ka aatma tujh par bal se utrega, aur tu unke saath ho kar naboovat karne lagega, aur tu parivartit ho kar aur hi manushya ho jayega.

7

और जब ये चिन्ह तुझे देख पड़ेंगे, तब जो काम करने का अवसर तुझे मिले उस में लग जाना; क्योंकि परमेश्वर तेरे संग रहेगा।

Aur jab ye chinh tujhe dekh padenge, tab jo kaam karne ka avsar tujhe mile us mein lag jana; kyonki Parmeshwar tere sang rahega.

8

और तू मुझ से पहिले गिलगाल को जाना; और मैं होमबलि और मेलबलि चढ़ाने के लिये तेरे पास आऊंगा। तू सात दिन तक मेरी बाट जोहते रहना, तब मैं तेरे पास पहुंचकर तुझे बताऊंगा कि तुझ को क्या क्या करना है।

Aur tu mujh se pahile gilgaal ko jana; aur main homabli aur melabli chadhane ke liye tere paas aaoonga. Tu saat din tak meri baat johte rahna, tab main tere paas pahunchkar tujhe bataoonga ki tujh ko kya kya karna hai.

9

ज्योंही उसने शमूएल के पास से जाने को पीठ फेरी त्योंही परमेश्वर ने उसके मन को परिवर्तन किया; और वे सब चिन्ह उसी दिन प्रगट हुए॥

Jyonhi usne shamooyel ke paas se jane ko peeth pheri tyonhi Parmeshwar ne uske man ko parivartan kiya; aur ve sab chinh usi din pragat hue.

10

जब वे उधर उस पहाड़ के पास आए, तब नबियों का एक दल उसको मिला; और परमेश्वर का आत्मा उस पर बल से उतरा, और वह उसके बीच में नबूवत करने लगा।

Jab ve udhar us pahaad ke paas aaye, tab nabiyon ka ek dal usko mila; aur Parmeshwar ka aatma us par bal se utra, aur vah uske beech mein naboovat karne laga.

11

जब उन सभों ने जो उसे पहिले से जानते थे यह देखा कि वह नबियों के बीच में नबूवत कर रहा है, तब आपस में कहने लगे, कि कीश के पुत्र को यह क्या हुआ? क्या शाऊल भी नबियों में का है?

Jab un sabhon ne jo use pahile se jante the yah dekha ki vah nabiyon ke beech mein naboovat kar raha hai, tab aapas mein kahne lage, ki keesh ke putra ko yah kya huaa? Kya shaool bhi nabiyon mein ka hai?

12

वहां के एक मनुष्य ने उत्तर दिया, भला, उनका बाप कौन है? इस पर यह कहावत चलने लगी, कि क्या शाऊल भी नबियों में का है?

Vahan ke ek manushya ne uttar diya, bhala, unka baap kaun hai? Is par yah kahavat chalne lagi, ki kya shaool bhi nabiyon mein ka hai?

13

जब वह नबूवत कर चुका, तब ऊंचे स्थान पर चढ़ गया॥

Jab vah naboovat kar chuka, tab oonche sthaan par chadh gaya.

14

तब शाऊल के चचा ने उस से और उसके सेवक से पूछा, कि तुम कहां गए थे? उसने कहा, हम तो गदहियों को ढूंढ़ने गए थे; और जब हम ने देखा कि वे कहीं नहीं मिलतीं, तब शमूएल के पास गए।

Tab shaool ke chacha ne us se aur uske sevak se poochha, ki tum kahan gaye the? Usne kaha, ham to gadhiyon ko dhoondhne gaye the; aur jab ham ne dekha ki ve kahi nahi milti, tab shamooyel ke paas gaye.

15

शाऊल के चचा ने कहा, मुझे बतला दे कि शमूएल ने तुम से क्या कहा।

Shaool ke chacha ne kaha, mujhe batla de ki shamooyel ne tum se kya kaha.

16

शाऊल ने अपने चचा से कहा, कि उसने हमें निश्चय करके बताया कि गदहियां मिल गईं। परन्तु जो बात शमूएल ने राज्य के विषय में कही थी वह उसने उसको न बताई॥

Shaool ne apne chacha se kaha, ki usne hamein nishchay karke bataya ki gadhiyan mil gai. Parantu jo baat shamooyel ne rajya ke vishay mein kahi thi vah usne usko na batai.

17

तब शमूएल ने प्रजा के लोगों को मिस्पा में यहोवा के पास बुलवाया;

Tab shamooyel ne praja ke logon ko mispa mein Yahowa ke paas bulvaya;

18

तब उसने इस्राएलियों से कहा, इस्राएल का परमेश्वर यहोवा यों कहता है, कि मैं तो इस्राएल को मिस्र देश से निकाल लाया, और तुम को मिस्रियों के हाथ से, और न सब राज्यों के हाथ से जो तुम पर अन्धेर करते थे छुड़ाया है।

Tab usne Israeliyon se kaha, Israel ka Parmeshwar Yahowa yon kahta hai, ki main to Israel ko Misr desh se nikaal laya, aur tum ko misriyon ke haath se, aur na sab rajyon ke haath se jo tum par andher karte the chhudaya hai.

19

परन्तु तुम ने आज अपने परमेश्वर को जो सब विपत्तियों और कष्टों से तुम्हारा छुड़ाने वाला है तुच्छ जाना; और उस से कहा है, कि हम पर राजा नियुक्त कर दे। इसलिये अब तुम गोत्र गोत्र और हजार हजार करके यहोवा के साम्हने खड़े हो जाओ।

Parantu tum ne aaj apne Parmeshwar ko jo sab vipattiyon aur kashton se tumhara chhudane vala hai tuchchh jana; aur us se kaha hai, ki ham par raja niyukt kar de. Isliye ab tum gotra gotra aur hajaar hajaar karke Yahowa ke samhane khade ho jao.

20

तब शमूएल सारे इस्राएली गोत्रियों को समीप लाया, और चिट्ठी बिन्यामीन के नाम पर निकली।

Tab shamooyel sare Israeli gotriyon ko sameep laya, aur chitthi binyameen ke naam par nikli.

21

तब वह बिन्यामीन के गोत्र के कुल कुल करके समीप लाया, और चिट्ठी मत्री के कुल के नाम पर निकली; फिर चिट्ठी कीश के पुत्र शाऊल के नाम पर निकली। और जब वह ढूंढ़ा गया, तब न मिला।

Tab vah binyameen ke gotra ke kul kul karke sameep laya, aur chitthi matri ke kul ke naam par nikli; phir chitthi keesh ke putra shaool ke naam par nikli. Aur jab vah dhoondha gaya, tab na mila.

22

तब उन्होंने फिर यहोवा से पूछा, क्या यहां कोई और आनेवाला है? यहोवा ने कहा, हां, सुनो, वह सामान के बीच में छिपा हुआ है।

Tab unhonne phir Yahowa se poochha, kya yahan koi aur aanevala hai? Yahowa ne kaha, han, suno, vah samaan ke beech mein chhipa huaa hai.

23

तब वे दौड़कर उसे वहां से लाए; और वह लोगों के बीच में खड़ा हुआ, और वह कान्धे से सिर तक सब लोगों से लम्बा था।

Tab ve daudkar use vahan se laye; aur vah logon ke beech mein khada huaa, aur vah kandhe se sir tak sab logon se lamba tha.

24

शमूएल ने सब लोगों से कहा, क्या तुम ने यहोवा के चुने हुए को देखा है कि सारे लोगों में कोई उसके बराबर नहीं? तब सक लोग ललकार के बोल उठे, राजा चिरंजीव रहे॥

Shamooyel ne sab logon se kaha, kya tum ne Yahowa ke chune hue ko dekha hai ki sare logon mein koi uske barabar nahi? Tab sak log lalkaar ke bol uthe, raja chiranjeev rahe.

25

तब शमूएल ने लोगों से राजनीति का वर्णन किया, और उसे पुस्तक में लिखकर यहोवा के आगे रख दिया। और शमूएल ने सब लोगों को अपने अपने घर जान को विदा किया।

Tab shamooyel ne logon se rajneeti ka varnan kiya, aur use pustak mein likhkar Yahowa ke aage rakh diya. Aur shamooyel ne sab logon ko apne apne ghar jaan ko vida kiya.

26

और शाऊल गिबा को अपने घर चला गया, और उसके साथ एक दल भी गया जिनके मन को परमेश्वर ने उभारा था।

Aur shaool giba ko apne ghar chala gaya, aur uske saath ek dal bhi gaya jinke man ko Parmeshwar ne ubhara tha.

27

परन्तु कई लुच्चे लोगों ने कहा, यह जन हमारा क्या उद्धार करेगा? और उन्होंने उसको तुच्छ जाना, और उसके पास भेंट न लाए। तौभी वह सुनी अनसुनी करके चुप रहा॥

Parantu kai luchche logon ne kaha, yah jan hamara kya uddhaar karega? Aur unhonne usko tuchchh jana, aur uske paas bhent na laye. Taubhi vah suni ansuni karke chup raha.