1 Samuel 7 · 17 verses

1 शमूएल 7 1 Samuel 7 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 7.

1

तब किर्यत्यारीम के लोगों ने जा कर यहोवा के सन्दूक को उठाया, और अबीनादाब के घर में जो टीले पर बना था रखा, और यहोवा के सन्दूक की रक्षा करने के लिये अबीनादाब के पुत्र एलीआजार को पवित्र किया॥

Tab kiryatyareem ke logon ne ja kar Yahowa ke sandook ko uthaya, aur abeenadaab ke ghar mein jo teele par bana tha rakha, aur Yahowa ke sandook ki raksha karne ke liye abeenadaab ke putra eleeaajaar ko pavitra kiya.

2

किर्यत्यारीम में रहते रहते सन्दूक को बहुत दिन हुए, अर्थात बीस वर्ष बीत गए, और इस्राएल का सारा घराना विलाप करता हुआ यहोवा के पीछे चलने लगा।

Kiryatyareem mein rahte rahte sandook ko bahut din hue, arthaat bees varsh beet gaye, aur Israel ka sara gharana vilaap karta huaa Yahowa ke peechhe chalne laga.

3

तब शमूएल ने इस्राएल के सारे घराने से कहा, यदि तुम अपने पूर्ण मन से यहोवा की ओर फिरे हो, तो पराए देवताओं और अश्तोरेत देवियों को अपने बीच में से दूर करो, और यहोवा की ओर अपना मन लगाकर केवल उसी की उपासना करो, तब वह तुम्हें पलिश्तियों के हाथ से छुड़ाएगा।

Tab shamooyel ne Israel ke sare gharane se kaha, yadi tum apne poorn man se Yahowa ki or phire ho, to paraye devtaon aur ashtoret deviyon ko apne beech mein se door karo, aur Yahowa ki or apna man lagakar keval usi ki upasna karo, tab vah tumhein palishtiyon ke haath se chhudayega.

4

तब इस्राएलियों ने बाल देवताओं और अशतोरेत देवियों को दूर किया, और केवल यहोवा ही की उपासना करने लगे॥

Tab Israeliyon ne baal devtaon aur ashtoret deviyon ko door kiya, aur keval Yahowa hi ki upasna karne lage.

5

फिर शमूएल ने कहा, सब इस्राएलियों को मिस्पा में इकट्ठा करो, और मैं तुम्हारे लिये यहोवा से प्रार्थना करूंगा।

Phir shamooyel ne kaha, sab Israeliyon ko mispa mein ikattha karo, aur main tumhare liye Yahowa se prarthana karoonga.

6

तब वे मिस्पा में इकट्ठे हुए, और जल भरके यहोवा के साम्हने उंडेल दिया, और उस दिन उपवास किया, और वहां कहने लगे, कि हम ने यहोवा के विरुद्ध पाप किया है। और शमूएल ने मिस्पा में इस्राएलियों का न्याय किया।

Tab ve mispa mein ikatthe hue, aur jal bharke Yahowa ke samhane undel diya, aur us din upvaas kiya, aur vahan kahne lage, ki ham ne Yahowa ke viruddh paap kiya hai. Aur shamooyel ne mispa mein Israeliyon ka nyaay kiya.

7

जब पलिश्तियों ने सुना कि इस्राएली मिस्पा में इकट्ठे हुए हैं, तब उनके सरदारों ने इस्राएलियों पर चढ़ाई की। यह सुनकर इस्राएली पलिश्तियों से भयभीत हुए।

Jab palishtiyon ne suna ki Israeli mispa mein ikatthe hue hain, tab unke sardaron ne Israeliyon par chadhai ki. Yah sunkar Israeli palishtiyon se bhaybheet hue.

8

और इस्राएलियों ने शमूएल से कहा, हमारे लिये हमारे परमेश्वर यहोवा की दोहाई देना न छोड़, जिस से वह हम को पलिश्तियों के हाथ से बचाए।

Aur Israeliyon ne shamooyel se kaha, hamare liye hamare Parmeshwar Yahowa ki dohai dena na chhod, jis se vah ham ko palishtiyon ke haath se bachaye.

9

तब शमूएल ने एक दूधपिउवा मेम्ना ले सर्वांग होमबलि करके यहोवा को चढ़ाया; और शमूएल ने इस्राएलियों के लिये यहोवा की दोहाई दी, और यहोवा ने उसकी सुन ली।

Tab shamooyel ne ek doodhpiuva memna le sarvaang homabli karke Yahowa ko chadhaya; aur shamooyel ne Israeliyon ke liye Yahowa ki dohai di, aur Yahowa ne uski sun li.

10

और जिस समय शमूएल होमबलि हो चढ़ा रहा था उस समय पलिश्ती इस्राएलियों के संग युद्ध करने के लिये निकट आ गए, तब उसी दिन यहोवा ने पलिश्तियों के ऊपर बादल को बड़े कड़क के साथ गरजाकर उन्हें घबरा दिया; और वे इस्राएलियों से हार गए।

Aur jis samay shamooyel homabli ho chadha raha tha us samay palishti Israeliyon ke sang yuddh karne ke liye nikat aa gaye, tab usi din Yahowa ne palishtiyon ke oopar badal ko bade kadak ke saath garjakar unhein ghabra diya; aur ve Israeliyon se haar gaye.

11

तब इस्राएली पुरूषों ने मिस्पा से निकलकर पलिश्तियों को खदेड़ा, और उन्हें बेतकर के नीचे तक मारते चले गए।

Tab Israeli purooshon ne mispa se nikalkar palishtiyon ko khadeda, aur unhein betkar ke neeche tak marte chale gaye.

12

तब शमूएल ने एक पत्थर ले कर मिस्पा और शेन के बीच में खड़ा किया, और यह कहकर उसका नाम एबेनेज़ेर रखा, कि यहां तक यहोवा ने हमारी सहायता की है।

Tab shamooyel ne ek patthar le kar mispa aur shen ke beech mein khada kiya, aur yah kahkar uska naam ebenezer rakha, ki yahan tak Yahowa ne hamari sahayta ki hai.

13

तब पलिश्ती दब गए, और इस्राएलियों के देश में फिर न आए, और शमूएल के जीवन भर यहोवा का हाथ पलिश्तियों के विरुद्ध बना रहा।

Tab palishti dab gaye, aur Israeliyon ke desh mein phir na aaye, aur shamooyel ke jeevan bhar Yahowa ka haath palishtiyon ke viruddh bana raha.

14

और एक्रोन और गत तक जितने नगर पलिश्तियों ने इस्राएलियों के हाथ से छीन लिए थे, वे फिर इस्राएलियों के वश में आ गए; और उनका देश भी इस्राएलियों ने पलिश्तियों के हाथ से छुड़ाया। और इस्राएलियों और एमोरियों के बीच भी सन्धि हो गई।

Aur ekron aur gat tak jitne nagar palishtiyon ne Israeliyon ke haath se chheen liye the, ve phir Israeliyon ke vash mein aa gaye; aur unka desh bhi Israeliyon ne palishtiyon ke haath se chhudaya. Aur Israeliyon aur emoriyon ke beech bhi sandhi ho gai.

15

और शमूएल जीवन भर इस्राएलियों का न्याय करता रहा।

Aur shamooyel jeevan bhar Israeliyon ka nyaay karta raha.

16

वह प्रति वर्ष बेतेल और गिलगाल और मिस्पा में घूम-घूमकर उन सब स्थानों में इस्राएलियों का न्याय करता था।

Vah prati varsh betel aur gilgaal aur mispa mein ghoom-ghoomkar un sab sthanon mein Israeliyon ka nyaay karta tha.

17

तब वह रामा में जहां उसका घर था लौट आया, और वहां भी इस्राएलियों का न्याय करता था, और वहां उसने यहोवा के लिये एक वेदी बनाई॥

Tab vah rama mein jahan uska ghar tha laut aaya, aur vahan bhi Israeliyon ka nyaay karta tha, aur vahan usne Yahowa ke liye ek vedi banai.