यहोवा का सन्दूक पलिश्तियों के देश में सात महीने तक रहा।
Yahowa ka sandook palishtiyon ke desh mein saat maheene tak raha.
1 Samuel 6 · 21 verses
यहोवा का सन्दूक पलिश्तियों के देश में सात महीने तक रहा।
Yahowa ka sandook palishtiyon ke desh mein saat maheene tak raha.
तब पलिश्तियों ने याजकों और भावी करने वालों को बुलाकर पूछा, कि यहोवा के सन्दूक से हम क्या करें? हमें बताओ की क्या प्रायश्चित देकर हम उसे उसके स्थान पर भेजें?
Tab palishtiyon ne yajkon aur bhavi karne valon ko bulakar poochha, ki Yahowa ke sandook se ham kya karein? Hamein batao ki kya prayashchit dekar ham use uske sthaan par bhejein?
वे बोले, यदि तुम इस्राएल के देवता का सन्दूक वहां भेजा, जो उसे वैसे ही न भेजना; उसकी हानि भरने के लिये अवश्य ही दोषबलि देना। तब तुम चंगे हो जाओगे, और तुम जान लोगे कि उसका हाथ तुम पर से क्यों नहीं उठाया गया।
Ve bole, yadi tum Israel ke devta ka sandook vahan bheja, jo use vaise hi na bhejna; uski hani bharne ke liye avashya hi doshabli dena. Tab tum change ho jaoge, aur tum jaan loge ki uska haath tum par se kyon nahi uthaya gaya.
उन्होंने पूछा, हम उसकी हानि भरने के लिये कौन सा दोषबलि दें? वे बोले, पलिश्ती सरदारों की गिनती के अनुसार सोने की पांच गिलटियां, और सोने के पांच चूहे; क्योंकि तुम सब और तुम्हारे सरदार दोनों एक ही रोग से ग्रसित हो।
Unhonne poochha, ham uski hani bharne ke liye kaun sa doshabli dein? Ve bole, palishti sardaron ki ginti ke anusaar sone ki paanch giltiyan, aur sone ke paanch choohe; kyonki tum sab aur tumhare sardaar donon ek hi rog se grasit ho.
तो तुम अपनी गिलटियों और अपने देश के नाश करने वाले चूहों की भी मूरतें बनाकर इस्राएल के देवता की महिमा मानो; सम्भव है वह अपना हाथ तुम पर से और तुम्हारे देवताओं और देश पर से उठा ले।
To tum apni giltiyon aur apne desh ke naash karne vale choohon ki bhi moortein banakar Israel ke devta ki mahima mano; sambhav hai vah apna haath tum par se aur tumhare devtaon aur desh par se utha le.
तुम अपने मन क्यों ऐसे हठीले करते हो जैसे मिस्रियों और फिरौन ने अपने मन हठीले कर दिए थे? जब उसने उनके मध्य में अचम्भित काम किए, तब क्या उन्होंने उन लोगों को जाने न दिया, और क्या वे चले न गए?
Tum apne man kyon aise hatheele karte ho jaise misriyon aur Firaun ne apne man hatheele kar diye the? Jab usne unke madhya mein achambhit kaam kiye, tab kya unhonne un logon ko jane na diya, aur kya ve chale na gaye?
सो अब तुम एक नई गाड़ी बनाओ, और ऐसी दो दुधार गायें लो जो सुए तले न आई हों, और उन गायों को उस गाड़ी में जोतकर उनके बच्चों को उनके पास से ले कर घर को लौटा दो।
So ab tum ek nai gadi banao, aur aisi do dudhaar gayein lo jo sue tale na aai hon, aur un gayon ko us gadi mein jotkar unke bachchon ko unke paas se le kar ghar ko lauta do.
तब यहोवा का सन्दूक ले कर उस गाड़ी पर धर दो, और सोने की जो वस्तुएं तुम उसकी हानि भरने के लिये दोषबलि की रीति से दोगे उन्हें दूसरे सन्दूक में धर के उसके पास रख दो। फिर उसे रवाना कर दो कि चली जाए।
Tab Yahowa ka sandook le kar us gadi par dhar do, aur sone ki jo vastuein tum uski hani bharne ke liye doshabli ki reeti se doge unhein doosre sandook mein dhar ke uske paas rakh do. Phir use ravana kar do ki chali jaye.
और देखते रहना; यदि वह अपने देश के मार्ग से हो कर बेतशेमेश को चले, तो जानो कि हमारी यह बड़ी हानि उसी की ओर से हुई: और यदि नहीं, तो हम को निश्चय होगा कि यह मार हम पर उसकी ओर से नहीं, परन्तु संयोग ही से हुई।
Aur dekhte rahna; yadi vah apne desh ke maarg se ho kar betshemesh ko chale, to jano ki hamari yah badi hani usi ki or se hui: aur yadi nahi, to ham ko nishchay hoga ki yah maar ham par uski or se nahi, parantu sanyog hi se hui.
उन मनुष्यों ने वैसा ही किया; अर्थात दो दुधार गायें ले कर उस गाड़ी में जोतीं, और उनके बच्चों को घर में बन्द कर दिया।
Un manushyon ne vaisa hi kiya; arthaat do dudhaar gayein le kar us gadi mein joti, aur unke bachchon ko ghar mein band kar diya.
और यहोवा का सन्दूक, और दूसरा सन्दूक, और सोने के चूहों और अपनी गिलटियों की मूरतों को गाड़ी पर रख दिया।
Aur Yahowa ka sandook, aur doosra sandook, aur sone ke choohon aur apni giltiyon ki moorton ko gadi par rakh diya.
तब गायों ने बेतशेमेश को सीधा मार्ग लिया; वे सड़क ही सड़क बम्बाती हुई चली गईं, और न दाहिने मुड़ी और न बायें; और पलिश्तियों के सरदार उनके पीछे पीछे बेतशेमेश के सिवाने तक गए।
Tab gayon ne betshemesh ko seedha maarg liya; ve sadak hi sadak bambati hui chali gai, aur na dahine mudi aur na bayein; aur palishtiyon ke sardaar unke peechhe peechhe betshemesh ke sivane tak gaye.
और बेतशेमेश के लोग तराई में गेहूं काट रहे थे; और जब उन्होंने आंखें उठा कर सन्दूक को देखा, तब उसके देखने से आनन्दित हुए।
Aur betshemesh ke log tarai mein gehun kaat rahe the; aur jab unhonne aankhein utha kar sandook ko dekha, tab uske dekhne se aanandit hue.
और गाड़ी यहोशू नाम एक बेतशेमेशी के खेत में जा कर वहां ठहर गई, जहां एक बड़ा पत्थर था। तब उन्होंने गाड़ी की लकड़ी को चीरा और गायों को होमबलि करके यहोवा के लिये चढ़ाया।
Aur gadi yahoshu naam ek betshemeshi ke khet mein ja kar vahan thahar gai, jahan ek bada patthar tha. Tab unhonne gadi ki lakdi ko cheera aur gayon ko homabli karke Yahowa ke liye chadhaya.
और लेवीयों ने यहोवा के सन्दूक को उस सन्दूक के समेत जो साथ था, जिस में सोने की वस्तुएं थी, उतार के उस बड़े पत्थर पर धर दिया; और बेतशेमेश के लोगों ने उसी दिन यहोवा के लिये होमबलि और मेलबलि चढ़ाए।
Aur leveeyon ne Yahowa ke sandook ko us sandook ke samet jo saath tha, jis mein sone ki vastuein thi, utaar ke us bade patthar par dhar diya; aur betshemesh ke logon ne usi din Yahowa ke liye homabli aur melabli chadhaye.
यह देखकर पलिश्तियों के पांचों सरदार उसी दिन एक्रोन को लौट गए॥
Yah dekhkar palishtiyon ke panchon sardaar usi din ekron ko laut gaye.
सोने की गिलटियां जो पलिश्तियों ने यहोवा की हानि भरने के लिये दोषबलि करके दे दीं थी उन में से एक तो अशदोद की ओर से, एक अज्जा, एक अश्कलोन, एक गत, और एक एक्रोन की ओर से दी गई थी।
Sone ki giltiyan jo palishtiyon ne Yahowa ki hani bharne ke liye doshabli karke de di thi un mein se ek to ashdod ki or se, ek ajja, ek ashkalon, ek gat, aur ek ekron ki or se di gai thi.
और वह सोने के चूहे, क्या शहरपनाह वाले नगर, क्या बिना शहरपनाह के गांव, वरन जिस बड़े पत्थर पर यहोवा का सन्दूक धरा गया था वहां पलिश्तियों के पांचों सरदारों के अधिकार तक की सब बस्तियों की गिनती के अनुसार दिए गए। वह पत्थर तो आज तक बेतशेमेशी यहोशू के खेत में है।
Aur vah sone ke choohe, kya shahrapnaah vale nagar, kya bina shahrapnaah ke gaanv, varan jis bade patthar par Yahowa ka sandook dhara gaya tha vahan palishtiyon ke panchon sardaron ke adhikaar tak ki sab bastiyon ki ginti ke anusaar diye gaye. Vah patthar to aaj tak betshemeshi yahoshu ke khet mein hai.
फिर इस कारण से कि बेतशेमेश के लोगों ने यहोवा के सन्दूक के भीतर झांका था उसने उन में से सत्तर मनुष्य, और फिर पचास हजार मनुष्य मार डाले; और वहां के लोगों ने इसलिये विलाप किया कि यहोवा ने लोगों का बड़ा ही संहार किया था।
Phir is karan se ki betshemesh ke logon ne Yahowa ke sandook ke bheetar jhanka tha usne un mein se sattar manushya, aur phir pachaas hajaar manushya maar dale; aur vahan ke logon ne isliye vilaap kiya ki Yahowa ne logon ka bada hi sanhaar kiya tha.
तब बेतशेमेश के लोग कहने लगे, इस पवित्र परमेश्वर यहोवा के साम्हने कौन खड़ा रह सकता है? और वह हमारे पास से किस के पास चला जाए?
Tab betshemesh ke log kahne lage, is pavitra Parmeshwar Yahowa ke samhane kaun khada rah sakta hai? Aur vah hamare paas se kis ke paas chala jaye?
तब उन्होंने किर्यत्यारीम के निवासियों के पास यों कहने को दूत भेजे, कि पलिश्तियों ने यहोवा का सन्दूक लौटा दिया है; इसलिये तुम आकर उसे अपने यहां ले जाओ॥
Tab unhonne kiryatyareem ke nivasiyon ke paas yon kahne ko doot bheje, ki palishtiyon ne Yahowa ka sandook lauta diya hai; isliye tum aakar use apne yahan le jao.