1 Samuel 4 · 22 verses

1 शमूएल 4 1 Samuel 4 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 4.

1

और शमूएल का वचन सारे इस्राएल के पास पहुंचा। और इस्राएली पलिश्तियों से युद्ध करने को निकले; और उन्होंने तो एबेनेजेर के आस-पास छावनी डाली, और पलिश्तियों ने अपेक में छावनी डाली।

Aur shamooyel ka vachan sare Israel ke paas pahuncha. Aur Israeli palishtiyon se yuddh karne ko nikle; aur unhonne to ebenejer ke aas-paas chhavni dali, aur palishtiyon ne apek mein chhavni dali.

2

तब पलिश्तियों ने इस्राएल के विरुद्ध पांति बान्धी, और जब घमासान युद्ध होने लगा तब इस्राएली पलिश्तियों से हार गए, और उन्होंने कोई चार हजार इस्राएली सेना के पुरूषों को मैदान ही में मार डाला।

Tab palishtiyon ne Israel ke viruddh panti bandhi, aur jab ghamasaan yuddh hone laga tab Israeli palishtiyon se haar gaye, aur unhonne koi chaar hajaar Israeli sena ke purooshon ko maidaan hi mein maar dala.

3

और जब वे लोग छावनी में लौट आए, तब इस्राएल के वृद्ध लोग कहने लगे, कि यहोवा ने आज हमें पलिश्तियों से क्यों हरवा दिया है? आओ, हम यहोवा की वाचा का सन्दूक शीलो से मांग ले आएं, कि वह हमारे बीच में आकर हमें शत्रुओं के हाथ से बचाए।

Aur jab ve log chhavni mein laut aaye, tab Israel ke vriddh log kahne lage, ki Yahowa ne aaj hamein palishtiyon se kyon harva diya hai? Aao, ham Yahowa ki vacha ka sandook sheelo se maang le aayen, ki vah hamare beech mein aakar hamein shatruon ke haath se bachaye.

4

तब उन लोगों ने शीलो में भेज कर वहां से करूबों के ऊपर विराजने वाले सेनाओं के यहोवा की वाचा का सन्दूक मंगा लिया; और परमेश्वर की वाचा के सन्दूक के साथ एली के दोनों पुत्र, होप्नी और पीनहास भी वहां थे।

Tab un logon ne sheelo mein bhej kar vahan se karoobon ke oopar virajne vale senaon ke Yahowa ki vacha ka sandook manga liya; aur Parmeshwar ki vacha ke sandook ke saath eli ke donon putra, hopni aur peenhaas bhi vahan the.

5

जब यहोवा की वाचा का सन्दूक छावनी में पहुंचा, तब सारे इस्राएली इतने बल से ललकार उठे, कि भूमि गूंज उठी।

Jab Yahowa ki vacha ka sandook chhavni mein pahuncha, tab sare Israeli itne bal se lalkaar uthe, ki bhoomi goonj uthi.

6

इस ललकार का शब्द सुनकर पलिश्तियों ने पूछा, इब्रियों की छावनी में ऐसी बड़ी ललकार का क्या कारण है? तब उन्होंने जान लिया, कि यहोवा का सन्दूक छावनी में आया है।

Is lalkaar ka shabd sunkar palishtiyon ne poochha, ibriyon ki chhavni mein aisi badi lalkaar ka kya karan hai? Tab unhonne jaan liya, ki Yahowa ka sandook chhavni mein aaya hai.

7

तब पलिश्ती डरकर कहने लगे, उस छावनी में परमेश्वर आ गया है। फिर उन्होंने कहा, हाय! हम पर ऐसी बात पहिले नहीं हुई थी।

Tab palishti darkar kahne lage, us chhavni mein Parmeshwar aa gaya hai. Phir unhonne kaha, haay! Ham par aisi baat pahile nahi hui thi.

8

हाय! ऐसे महाप्रतापी देवताओं के हाथ से हम को कौन बचाएगा? ये तो वे ही देवता हैं जिन्होंने मिस्रियों पर जंगल में सब प्रकार की विपत्तियां डाली थीं।

Haay! Aise mahapratapi devtaon ke haath se ham ko kaun bachayega? Ye to ve hi devta hain jinhonne misriyon par jangal mein sab prakaar ki vipattiyan dali thi.

9

हे पलिश्तियों, तुम हियाव बान्धो, और पुरूषार्थ जगाओ, कहीं ऐसा न हो कि जैसे इब्री तुम्हारे आधीन हो गए वैसे तुम भी उनके आधीन हो जाओ; पुरूषार्थ करके संग्राम करो।

He palishtiyon, tum hiyaav bandho, aur purooshaarth jagao, kahi aisa na ho ki jaise ibri tumhare aadheen ho gaye vaise tum bhi unke aadheen ho jao; purooshaarth karke sangraam karo.

10

तब पलिश्ती लड़ाई के मैदान में टूट पड़े, और इस्राएली हार कर अपने अपने डेरे को भागने लगे; और ऐसा अत्यन्त संहार हुआ, कि तीस हजार इस्राएली पैदल खेत आए।

Tab palishti ladai ke maidaan mein toot pade, aur Israeli haar kar apne apne dere ko bhagne lage; aur aisa atyant sanhaar huaa, ki tees hajaar Israeli paidal khet aaye.

11

और परमेश्वर का सन्दूक छीन लिया गया; और एली के दोनों पुत्र, होप्नी और पीनहास, भी मारे गए।

Aur Parmeshwar ka sandook chheen liya gaya; aur eli ke donon putra, hopni aur peenhaas, bhi mare gaye.

12

तब एक बिन्यामीनी मनुष्य ने सेना में से दौड़कर उसी दिन अपने वस्त्र फाड़े और सिर पर मिट्टी डाले हुए शीलो में पहुंचा।

Tab ek binyameeni manushya ne sena mein se daudkar usi din apne vastra phade aur sir par mitti dale hue sheelo mein pahuncha.

13

वह जब पहुंचा उस समय एली, जिसका मन परमेश्वर के सन्दूक की चिन्ता से थरथरा रहा था, वह मार्ग के किनारे कुर्सी पर बैठा बाट जोह रहा था। और ज्योंही उस मनुष्य ने नगर में पहुंचकर वह समाचार दिया त्योंही सारा नगर चिल्ला उठा।

Vah jab pahuncha us samay eli, jiska man Parmeshwar ke sandook ki chinta se tharathra raha tha, vah maarg ke kinare kursi par baitha baat joh raha tha. Aur jyonhi us manushya ne nagar mein pahunchkar vah samachaar diya tyonhi sara nagar chilla utha.

14

चिल्लाने का शब्द सुनकर एली ने पूछा, ऐसे हुल्लड़ और हाहाकार मचने का क्या कारण है? और उस मनुष्य ने जट जा कर एली को पूरा हाल सुनाया।

Chillane ka shabd sunkar eli ne poochha, aise hullad aur hahakaar machne ka kya karan hai? Aur us manushya ne jat ja kar eli ko poora haal sunaya.

15

एली तो अट्ठानवे वर्ष का था, और उसकी आंखें धुन्धली पड़ गई थीं, और उसे कुछ सूझता न था।

Eli to atthanve varsh ka tha, aur uski aankhein dhundhali pad gai thi, aur use kuchh soojhta na tha.

16

उस मनुष्य ने एली से कहा, मैं वही हूं जो सेना में से आया हूं; और मैं सेना से आज ही भाग आया। वह बोला, हे मेरे बेटे, क्या समाचार है?

Us manushya ne eli se kaha, main vahi hoon jo sena mein se aaya hoon; aur main sena se aaj hi bhaag aaya. Vah bola, he mere bete, kya samachaar hai?

17

उस समाचार देने वाले ने उत्तर दिया, कि इस्राएली पलिश्तियों के साम्हने से भाग गए हैं, और लोगों का बड़ा भयानक संहार भी हुआ है, और तेरे दोनों पुत्र होप्नी और पीनहास भी मारे गए, और परमेश्वर का सन्दूक भी छीन लिया गया है।

Us samachaar dene vale ne uttar diya, ki Israeli palishtiyon ke samhane se bhaag gaye hain, aur logon ka bada bhayanak sanhaar bhi huaa hai, aur tere donon putra hopni aur peenhaas bhi mare gaye, aur Parmeshwar ka sandook bhi chheen liya gaya hai.

18

ज्योंही उसने परमेश्वर के सन्दूक का नाम लिया त्योंही एली फाटक के पास कुर्सी पर से पछाड़ खाकर गिर पड़ा; और बूढ़े और भारी होने के कारण उसकी गर्दन टूट गई, और वह मर गया। उसने तो इस्राएलियों का न्याय चालीस वर्ष तक किया था।

Jyonhi usne Parmeshwar ke sandook ka naam liya tyonhi eli phatak ke paas kursi par se pachhaad khakar gir pada; aur boodhe aur bhari hone ke karan uski gardan toot gai, aur vah mar gaya. Usne to Israeliyon ka nyaay chalees varsh tak kiya tha.

19

उसकी बहू पीनहास की स्त्री गर्भवती थी, और उसका समय समीप था। और जब उसने परमेश्वर के सन्दूक के छीन लिए जाने, और अपने ससुर और पति के मरने का समाचार सुना, तब उसको जच्चा का दर्द उठा, और वह दुहर गई, और उसके एक पुत्र उत्पन्न हुआ।

Uski bahu peenhaas ki stri garbhavti thi, aur uska samay sameep tha. Aur jab usne Parmeshwar ke sandook ke chheen liye jane, aur apne sasur aur pati ke marne ka samachaar suna, tab usko jachcha ka dard utha, aur vah duhar gai, aur uske ek putra utpann huaa.

20

उसके मरते मरते उन स्त्रियों ने जो उसके आस पास खड़ी थीं उस से कहा, मत डर, क्योंकि तेरे पुत्र उत्पन्न हुआ है। परन्तु उसने कुछ उत्तर न दिया, और न कुछ ध्यान दिया।

Uske marte marte un striyon ne jo uske aas paas khadi thi us se kaha, mat dar, kyonki tere putra utpann huaa hai. Parantu usne kuchh uttar na diya, aur na kuchh dhyaan diya.

21

और परमेश्वर के सन्दूक के छीन लिए जाने और अपने ससुर और पति के कारण उसने यह कहकर उस बालक का नाम ईकाबोद रखा, कि इस्राएल में से महिमा उठ गई!

Aur Parmeshwar ke sandook ke chheen liye jane aur apne sasur aur pati ke karan usne yah kahkar us balak ka naam ikabod rakha, ki Israel mein se mahima uth gai!

22

फिर उसने कहा, इस्राएल में से महिमा उठ गई है, क्योंकि परमेश्वर का सन्दूक छीन लिया गया है॥

Phir usne kaha, Israel mein se mahima uth gai hai, kyonki Parmeshwar ka sandook chheen liya gaya hai.