1 Samuel 30 · 31 verses

1 शमूएल 30 1 Samuel 30 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 30.

1

तीसरे दिन जब दाऊद अपने जनों समेत सिकलग पहुंचा, तब उन्होंने क्या देखा, कि अमालेकियों ने दक्खिन देश और सिकलग पर चढ़ाई की। और सिकलग को मार के फूंक दिया,

Teesre din jab Daud apne janon samet siklag pahuncha, tab unhonne kya dekha, ki amalekiyon ne dakkhin desh aur siklag par chadhai ki. Aur siklag ko maar ke phoonk diya,

2

और उस में की स्त्री आदि छोटे बड़े जितने थे, सब को बन्धुआई में ले गए; उन्होंने किसी को मार तो नहीं डाला, परन्तु सभों को ले कर अपना मार्ग लिया।

Aur us mein ki stri aadi chhote bade jitne the, sab ko bandhuaai mein le gaye; unhonne kisi ko maar to nahi dala, parantu sabhon ko le kar apna maarg liya.

3

इसलिये जब दाऊद अपने जनों समेत उस नगर में पहुंचा, तब नगर तो जला पड़ा था, और स्त्रियां और बेटे-बेटियां बन्धुआई में चली गई थीं।

Isliye jab Daud apne janon samet us nagar mein pahuncha, tab nagar to jala pada tha, aur striyan aur bete-betiyan bandhuaai mein chali gai thi.

4

तब दाऊद और वे लोग जो उसके साथ थे चिल्लाकर इतना रोए, कि फिर उन में रोने की शक्ति न रही।

Tab Daud aur ve log jo uske saath the chillakar itna roye, ki phir un mein rone ki shakti na rahi.

5

और दाऊद की दो स्त्रियां, यिज्रेली अहीनोअम, और कर्मैली नाबाल की स्त्री अबीगैल, बन्धुआई में गई थीं।

Aur Daud ki do striyan, yijreli aheenoam, aur karmaili nabaal ki stri abeegail, bandhuaai mein gai thi.

6

और दाऊद बड़े संकट में पड़ा; क्योंकि लोग अपने बेटे-बेटियों के कारण बहुत शोकित हो कर उस पर पत्थरवाह करने की चर्चा कर रहे थे। परन्तु दाऊद ने अपने परमेश्वर यहोवा को स्मरण करके हियाव बान्धा॥

Aur Daud bade sankat mein pada; kyonki log apne bete-betiyon ke karan bahut shokit ho kar us par pattharvaah karne ki charcha kar rahe the. Parantu Daud ne apne Parmeshwar Yahowa ko smaran karke hiyaav bandha.

7

तब दाऊद ने अहीमेलेक के पुत्र एब्यातार याजक से कहा, एपोद को मेरे पास ला। तब एब्यातार एपोद को दाऊद के पास ले आया।

Tab Daud ne aheemelek ke putra ebyataar yajak se kaha, epod ko mere paas la. Tab ebyataar epod ko Daud ke paas le aaya.

8

और दाऊद ने यहोवा से पूछा, क्या मैं इस दल का पीछा करूं? क्या उसको जा पकडूंगा? उसने उस से कहा, पीछा कर; क्योंकि तू निश्चय उसको पकड़ेगा, और निसन्देह सब कुछ छुड़ा लाएगा;

Aur Daud ne Yahowa se poochha, kya main is dal ka peechha karun? Kya usko ja pakdoonga? Usne us se kaha, peechha kar; kyonki tu nishchay usko pakdega, aur nisandeh sab kuchh chhuda layega;

9

तब दाऊद अपने छ: सौ साथी जनों को ले कर बसोर नाम नाले तक पहुंचा; वहां कुछ लोग छोड़े जा कर रह गए।

Tab Daud apne chha: sau sathi janon ko le kar basor naam nale tak pahuncha; vahan kuchh log chhode ja kar rah gaye.

10

दाऊद तो चार सौ पुरूषों समेत पीछा किए चला गया; परन्तु दौ सौ जो ऐसे थक गए थे, कि बसोर नाले के पार न जा सके वहीं रहे।

Daud to chaar sau purooshon samet peechha kiye chala gaya; parantu dau sau jo aise thak gaye the, ki basor nale ke paar na ja sake vahi rahe.

11

उन को एक मिस्री पुरूष मैदान में मिला, उन्होंने उसे दाऊद के पास ले जा कर रोटी दी; और उसने उसे खाया, तब उसे पानी पिलाया,

Un ko ek misri puroosh maidaan mein mila, unhonne use Daud ke paas le ja kar roti di; aur usne use khaya, tab use pani pilaya,

12

फिर उन्होंने उसको अंजीर की टिकिया का एक टुकड़ा और दो गुच्छे किशमिश दिए। और जब उसने खाया, तब उसके जी में जी आया; उसने तीन दिन और तीन रात से न तो रोटी खाई थी और न पानी पिया था।

Phir unhonne usko anjeer ki tikiya ka ek tukda aur do guchchhe kishmish diye. Aur jab usne khaya, tab uske ji mein ji aaya; usne teen din aur teen raat se na to roti khai thi aur na pani piya tha.

13

तब दाऊद ने उस से पूछा, तू किस का जन है? और कहां का है? उसने कहा, मैं तो मिस्री जवान और एक अमालेकी मनुष्य का दास हूँ; और तीन दिन हुए कि मैं बीमार पड़ा, और मेरा स्वामी मुझे छोड़ गया।

Tab Daud ne us se poochha, tu kis ka jan hai? Aur kahan ka hai? Usne kaha, main to misri javaan aur ek amaleki manushya ka daas hoon; aur teen din hue ki main beemaar pada, aur mera swami mujhe chhod gaya.

14

हम लोगों ने करेतियों की दक्खिन दिशा में, और यहूदा के देश में, और कालेब की दक्खिन दिशा में चढाई की; और सिकलग को आग लगाकर फूंक दिया था।

Ham logon ne karetiyon ki dakkhin disha mein, aur Yahuda ke desh mein, aur kaleb ki dakkhin disha mein chadhai ki; aur siklag ko aag lagakar phoonk diya tha.

15

दाऊद ने उस से पूछा, क्या तू मुझे उस दल के पास पहुंचा देगा? उसने कहा, मुझ से परमेश्वर की यह शपथ खा, कि मैं तुझे न तो प्राण से मारूंगा, और न तेरे स्वामी के हाथ कर दूंगा, तब मैं तुझे उस दल के पास पहुंचा दूंगा।

Daud ne us se poochha, kya tu mujhe us dal ke paas pahuncha dega? Usne kaha, mujh se Parmeshwar ki yah shapath kha, ki main tujhe na to praan se maroonga, aur na tere swami ke haath kar doonga, tab main tujhe us dal ke paas pahuncha doonga.

16

जब उसने उसे पहुंचाया, तब देखने में आया कि वे सब भूमि पर छिटके हुए खाते पीते, और उस बड़ी लूट के कारण, जो वे पलिश्तियों के देश और यहूदा देश से लाए थे, नाच रहे हैं।

Jab usne use pahunchaya, tab dekhne mein aaya ki ve sab bhoomi par chhitke hue khate peete, aur us badi loot ke karan, jo ve palishtiyon ke desh aur Yahuda desh se laye the, naach rahe hain.

17

इसलिये दाऊद उन्हें रात के पहिले पहर से ले कर दूसरे दिन की सांझ तक मारता रहा; यहां तक कि चार सौ जवान को छोड़, जो ऊंटों पर चढ़कर भाग गए, उन में से एक भी मनुष्य न बचा।

Isliye Daud unhein raat ke pahile pahar se le kar doosre din ki saanjh tak marta raha; yahan tak ki chaar sau javaan ko chhod, jo oonton par chadhkar bhaag gaye, un mein se ek bhi manushya na bacha.

18

और जो कुछ अमालेकी ले गए थे वह सब दाऊद ने छुड़ाया; और दाऊद ने अपनी दोनों स्त्रियों को भी छुड़ा लिया।

Aur jo kuchh amaleki le gaye the vah sab Daud ne chhudaya; aur Daud ne apni donon striyon ko bhi chhuda liya.

19

वरन उनके क्या छोटे, क्या बड़े,क्या बेटे, क्या बेटियां, क्या लूट का माल, सब कुछ जो अमालेकी ले गए थे, उस में से कोई वस्तु न रही जो उन को न मिली हो; क्योंकि दाऊद सब का सब लौटा लाया।

Varan unke kya chhote, kya bade,kya bete, kya betiyan, kya loot ka maal, sab kuchh jo amaleki le gaye the, us mein se koi vastu na rahi jo un ko na mili ho; kyonki Daud sab ka sab lauta laya.

20

और दाऊद ने सब भेड़-बकरियां, और गाय-बैल भी लूट लिए; और इन्हें लोग यह कहते हुए अपने जानवरों के आगे हांकते गए, कि यह दाऊद की लूट है।

Aur Daud ne sab bhed-bakriyan, aur gaay-bail bhi loot liye; aur inhein log yah kahte hue apne janavron ke aage hankte gaye, ki yah Daud ki loot hai.

21

तब दाऊद उन दो सौ पुरुषों के पास आया, जो ऐसे थक गए थे कि दाऊद के पीछे पीछे न जा सके थे, और बसोर नाले के पास छोड़ दिए गए थे; और वे दाऊद से और उसके संग के लोगों से मिलने को चले; और दाऊद ने उनके पास पहुंचकर उनका कुशल क्षेम पूछा।

Tab Daud un do sau purushon ke paas aaya, jo aise thak gaye the ki Daud ke peechhe peechhe na ja sake the, aur basor nale ke paas chhod diye gaye the; aur ve Daud se aur uske sang ke logon se milne ko chale; aur Daud ne unke paas pahunchkar unka kushal kshem poochha.

22

तब उन लोगों में से जो दाऊद के संग गए थे सब दुष्ट और ओछे लोगों ने कहा, ये लोग हमारे साथ नही चले थे, इस कारण हम उन्हें अपने छुड़ाए हुए लूट के माल में से कुछ न देंगे, केवल एक एक मनुष्य को उसकी स्त्री और बाल बच्चे देंगे, कि वे उन्हें ले कर चले जाएं।

Tab un logon mein se jo Daud ke sang gaye the sab dusht aur ochhe logon ne kaha, ye log hamare saath nahi chale the, is karan ham unhein apne chhudaye hue loot ke maal mein se kuchh na denge, keval ek ek manushya ko uski stri aur baal bachche denge, ki ve unhein le kar chale jayen.

23

परन्तु दाऊद ने कहा, हे मेरे भाइयो, तुम उस माल के साथ ऐसा न करने पाओगे जिसे यहोवा ने हमें दिया है; और उसने हमारी रक्षा की, और उस दल को जिसने हमारे ऊपर चढाई की थी हमारे हाथ में कर दिया है।

Parantu Daud ne kaha, he mere bhaiyo, tum us maal ke saath aisa na karne paoge jise Yahowa ne hamein diya hai; aur usne hamari raksha ki, aur us dal ko jisne hamare oopar chadhai ki thi hamare haath mein kar diya hai.

24

और इस विषय में तुम्हारी कौन सुनेगा? लड़ाई में जाने वाले का जैसा भाग हो, सामान के पास बैठे हए का भी वैसा ही भाग होगा; दोनों एक ही समान भाग पाएंगे।

Aur is vishay mein tumhari kaun sunega? Ladai mein jane vale ka jaisa bhaag ho, samaan ke paas baithe haye ka bhi vaisa hi bhaag hoga; donon ek hi samaan bhaag payenge.

25

और दाऊद ने इस्राएलियों के लिये ऐसी ही विधि और नियम ठहराया, और वह उस दिन से ले कर आगे को वरन आज लों बना है।

Aur Daud ne Israeliyon ke liye aisi hi vidhi aur niyam thahraya, aur vah us din se le kar aage ko varan aaj lon bana hai.

26

सिकलग में पहुंचकर दाऊद ने यहूदी पुरनियों के पास जो उसके मित्र थे लूट के माल में से कुछ कुछ भेजा, और यह कहलाया, कि यहोवा के शत्रुओं से ली हुई लूट में से तुम्हारे लिये यह भेंट है।

Siklag mein pahunchkar Daud ne Yahudi purniyon ke paas jo uske mitra the loot ke maal mein se kuchh kuchh bheja, aur yah kahlaya, ki Yahowa ke shatruon se li hui loot mein se tumhare liye yah bhent hai.

27

अर्थात बेतेल के दक्खिन देश के रामोत,यत्तीर,

Arthaat betel ke dakkhin desh ke ramot,yatteer,

28

अरोएर, सिपमोत, एश्तमो,

Aroyer, sipmot, eshtamo,

29

राकाल, यरहमेलियों के नगरों, केनियों के नगरों,

Rakaal, yarahmeliyon ke nagron, keniyon ke nagron,

30

होर्मा, कोराशान, अताक,

Horma, korashaan, ataak,

31

हेब्रोन आदि जितने स्थानों में दाऊद अपने जनों समेत फिरा करता था, उन सब के पुरनियों के पास उसने कुछ कुछ भेजा।

Hebron aadi jitne sthanon mein Daud apne janon samet phira karta tha, un sab ke purniyon ke paas usne kuchh kuchh bheja.