1 Samuel 28 · 25 verses

1 शमूएल 28 1 Samuel 28 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 28.

1

उन दिनों में पलिश्तियों ने इस्राएल से लड़ने के लिये अपनी सेना इकट्ठी की। और आकीश ने दाऊद से कहा, निश्चय जान कि तुझे अपने जनों समेत मेरे साथ सेना में जाना होगा।

Un dinon mein palishtiyon ne Israel se ladne ke liye apni sena ikatthi ki. Aur aakeesh ne Daud se kaha, nishchay jaan ki tujhe apne janon samet mere saath sena mein jana hoga.

2

दाऊद ने आकीश से कहा, इस कारण तू जान लेगा कि तेरा दास क्या करेगा। आकीश ने दाऊद से कहा, इस कारण मैं तुझे अपने सिर का रक्षक सदा के लिये ठहराऊंगा॥

Daud ne aakeesh se kaha, is karan tu jaan lega ki tera daas kya karega. Aakeesh ne Daud se kaha, is karan main tujhe apne sir ka rakshak sada ke liye thahraoonga.

3

शमूएल तो मर गया था, और समस्त इस्राएलियों ने उसके विषय छाती पीटी, और उसको उसके नगर रामा में मिट्टी दी थी। और शाऊल ने ओझों और भूतसिद्धि करने वालों को देश से निकाल दिया था॥

Shamooyel to mar gaya tha, aur samast Israeliyon ne uske vishay chhati peeti, aur usko uske nagar rama mein mitti di thi. Aur shaool ne ojhon aur bhootsiddhi karne valon ko desh se nikaal diya tha.

4

जब पलिश्ती इकट्ठे हुए और शूनेम में छावनी डाली, तो शाऊल ने सब इस्राएलियों को इकट्ठा किया, और उन्होंने गिलबो में छावनी डाली।

Jab palishti ikatthe hue aur shoonem mein chhavni dali, to shaool ne sab Israeliyon ko ikattha kiya, aur unhonne gilbo mein chhavni dali.

5

पलिश्तियों की सेना को देखकर शाऊल डर गया, और उसका मन अत्यन्त भयभीत हो कांप उठा।

Palishtiyon ki sena ko dekhkar shaool dar gaya, aur uska man atyant bhaybheet ho kaamp utha.

6

और जब शाऊल ने यहोवा से पूछा, तब यहोवा ने न तो स्वप्न के द्वारा उस उत्तर दिया, और न ऊरीम के द्वारा, और न भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा।

Aur jab shaool ne Yahowa se poochha, tab Yahowa ne na to swapn ke dwara us uttar diya, aur na ooreem ke dwara, aur na bhavishyadwaktaon ke dwara.

7

तब शाऊल ने अपने कर्मचारियों से कहा, मेरे लिये किसी भूतसिद्धि करने वाली को ढूंढो, कि मैं उसके पास जा कर उस से पूछूं। उसके कर्मचारियों ने उस से कहा, एन्दोर में एक भूतसिद्धि करने वाली रहती है।

Tab shaool ne apne karmachariyon se kaha, mere liye kisi bhootsiddhi karne vali ko dhoondho, ki main uske paas ja kar us se poochhun. Uske karmachariyon ne us se kaha, endor mein ek bhootsiddhi karne vali rahti hai.

8

तब शाऊल ने अपना भेष बदला, और दूसरे कपड़े पहिनकर, दो मनुष्य संग ले कर, रातोंरात चलकर उस स्त्री के पास गया; और कहा, अपने सिद्धि भूत से मेरे लिये भावी कहलवा, और जिसका नाम मैं लूंगा उसे बुलवा दे।

Tab shaool ne apna bhesh badla, aur doosre kapde pahinkar, do manushya sang le kar, ratonraat chalkar us stri ke paas gaya; aur kaha, apne siddhi bhoot se mere liye bhavi kahalva, aur jiska naam main loonga use bulva de.

9

स्त्री ने उस से कहा, तू जानता है कि शाऊल ने क्या किया है, कि उसने ओझों और भूतसिद्धि करने वालों को देश से नाश किया है। फिर तू मेरे प्राण के लिये क्यों फंदा लगाता है कि मुझे मरवा डाले।

Stri ne us se kaha, tu janta hai ki shaool ne kya kiya hai, ki usne ojhon aur bhootsiddhi karne valon ko desh se naash kiya hai. Phir tu mere praan ke liye kyon phanda lagata hai ki mujhe marva dale.

10

शाऊल ने यहोवा की शपथ खाकर उस से कहा, यहोवा के जीवन की शपथ, इस बात के कारण तुझे दण्ड न मिलेगा।

Shaool ne Yahowa ki shapath khakar us se kaha, Yahowa ke jeevan ki shapath, is baat ke karan tujhe dand na milega.

11

स्त्री ने पूछा, मैं तेरे लिये किस को बुलाऊं? उसने कहा, शमूएल को मेरे लिये बुला।

Stri ne poochha, main tere liye kis ko bulaun? Usne kaha, shamooyel ko mere liye bula.

12

जब स्त्री ने शमूएल को देखा, तब ऊंचे शब्द से चिल्लाई; और शाऊल से कहा, तू ने मुझे क्यों धोखा दिया? तू तो शाऊल है।

Jab stri ne shamooyel ko dekha, tab oonche shabd se chillai; aur shaool se kaha, tu ne mujhe kyon dhokha diya? Tu to shaool hai.

13

राजा ने उससे कहा, मत डर; तुझे क्या देख पड़ता है? स्त्री ने शाऊल से कहा, मुझे एक देवता पृथ्वी में से चढ़ता हुआ दिखाई पड़ता है।

Raja ne usse kaha, mat dar; tujhe kya dekh padta hai? Stri ne shaool se kaha, mujhe ek devta prithvi mein se chadhta huaa dikhai padta hai.

14

उसने उस से पूछा उस का कैसा रूप है? उसने कहा, एक बूढ़ा पुरूष बागा ओढ़े हुए चढ़ा आता है। तब शाऊल ने निश्चय जानकर कि वह शमूएल है, औंधे मुंह भूमि पर गिर के दण्डवत किया।

Usne us se poochha us ka kaisa roop hai? Usne kaha, ek boodha puroosh baga odhe hue chadha aata hai. Tab shaool ne nishchay jankar ki vah shamooyel hai, aundhe munh bhoomi par gir ke dandavat kiya.

15

शमूएल ने शाऊल से पूछा, तू ने मुझे ऊपर बुलवाकर क्यों सताया है? शाऊल ने कहा, मैं बड़े संकट में पड़ा हूं; क्योंकि पलिश्ती मेरे साथ लड़ रहे हैं और परमेश्वर ने मुझे छोड़ दिया, और अब मुझे न तो भविष्यद्वक्ताओं के द्वारा उत्तर देता है, और न स्वपनों के; इसलिये मैं ने तुझे बुलाया कि तू मुझे जता दे कि मैं क्या करूं।

Shamooyel ne shaool se poochha, tu ne mujhe oopar bulvakar kyon sataya hai? Shaool ne kaha, main bade sankat mein pada hoon; kyonki palishti mere saath lad rahe hain aur Parmeshwar ne mujhe chhod diya, aur ab mujhe na to bhavishyadwaktaon ke dwara uttar deta hai, aur na swapnon ke; isliye main ne tujhe bulaya ki tu mujhe jata de ki main kya karun.

16

शमूएल ने कहा, जब यहोवा तुझे छोड़कर तेरा शत्रु बन गया, तब तू मुझ से क्यों पूछता है?

Shamooyel ne kaha, jab Yahowa tujhe chhodkar tera shatru ban gaya, tab tu mujh se kyon poochhta hai?

17

यहोवा ने तो जैसे मुझ से कहलावाया था वैसा ही उसने व्यवहार किया है; अर्थात उसने तेरे हाथ से राज्य छीनकर तेरे पड़ोसी दाऊद को दे दिया है।

Yahowa ne to jaise mujh se kahlavaya tha vaisa hi usne vyavhaar kiya hai; arthaat usne tere haath se rajya chheenkar tere padosi Daud ko de diya hai.

18

तू ने जो यहोवा की बात न मानी, और न अमालेकियों को उसके भड़के हुए कोप के अनुसार दण्ड दिया था, इस कारण यहोवा ने तुझ से आज ऐसा बर्ताव किया।

Tu ne jo Yahowa ki baat na mani, aur na amalekiyon ko uske bhadke hue kop ke anusaar dand diya tha, is karan Yahowa ne tujh se aaj aisa bartaav kiya.

19

फिर यहोवा तुझ समेत इस्राएलियों को पलिश्तियों के हाथ में कर देगा; और तू अपने बेटों समेत कल मेरे साथ होगा; और इस्राएली सेना को भी यहोवा पलिश्तियों के हाथ में कर देगा।

Phir Yahowa tujh samet Israeliyon ko palishtiyon ke haath mein kar dega; aur tu apne beton samet kal mere saath hoga; aur Israeli sena ko bhi Yahowa palishtiyon ke haath mein kar dega.

20

तब शाऊल तुरन्त मुंह के बल भूमि पर गिर पड़ा, और शमूएल की बातों के कारण अत्यन्त डर गया; उसने पूरे दिन और रात भोजन न किया था, इस से उस में बल कुछ भी न रहा।

Tab shaool turant munh ke bal bhoomi par gir pada, aur shamooyel ki baton ke karan atyant dar gaya; usne poore din aur raat bhojan na kiya tha, is se us mein bal kuchh bhi na raha.

21

तब वह स्त्री शाऊल के पास गई, और उसको अति व्याकुल देखकर उस से कहा, सुन, तेरी दासी ने तो तेरी बात मानी; और मैं ने अपने प्राण पर खेलकर तेरे वचनों को सुन लिया जो तू ने मुझ से कहा।

Tab vah stri shaool ke paas gai, aur usko ati vyakul dekhkar us se kaha, sun, teri dasi ne to teri baat mani; aur main ne apne praan par khelkar tere vachnon ko sun liya jo tu ne mujh se kaha.

22

तो अब तू भी अपनी दासी की बात मान; और मैं तेरे साम्हने एक टुकड़ा रोटी रखूं; तू उसे खा, कि जब तू अपना मार्ग ले तब तुझे बल आ जाए।

To ab tu bhi apni dasi ki baat maan; aur main tere samhane ek tukda roti rakhun; tu use kha, ki jab tu apna maarg le tab tujhe bal aa jaye.

23

उसने इनकार करके कहा, मैं न खाऊंगा। परन्तु उसके सेवकों और स्त्री ने मिलकर यहां तक उसे दबाया कि वह उनकी बात मानकर, भूमि पर से उठ कर खाट पर बैठ गया।

Usne inkaar karke kaha, main na khaoonga. Parantu uske sevkon aur stri ne milkar yahan tak use dabaya ki vah unki baat mankar, bhoomi par se uth kar khaat par baith gaya.

24

स्त्री के घर में तो एक तैयार किया हुआ बछड़ा था, उसने फुर्ती करके उसे मारा, फिर आटा ले कर गूंधा, और अखमीरी रोटी बनाकर

Stri ke ghar mein to ek taiyaar kiya huaa bachhda tha, usne phurti karke use mara, phir aata le kar goondha, aur akhmeeri roti banakar

25

शाऊल और उसके सेवकों के आगे लाई; और उन्होंने खाया। तब वे उठ कर उसी रात चले गए॥

Shaool aur uske sevkon ke aage lai; aur unhonne khaya. Tab ve uth kar usi raat chale gaye.