1 Samuel 26 · 25 verses

1 शमूएल 26 1 Samuel 26 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 26.

1

फिर जीपी लोग गिबा में शाऊल के पास जा कर कहने लगे, क्या दाऊद उस हकीला नाम पहाड़ी पर जो यशीमोन के साम्हने है छिपा नहीं रहता?

Phir jeepi log giba mein shaool ke paas ja kar kahne lage, kya Daud us hakeela naam pahadi par jo yasheemon ke samhane hai chhipa nahi rahta?

2

तब शाऊल उठ कर इस्राएल के तीन हजार छांटे हुए योद्धा संग लिए हुए गया कि दाऊद को जीप के जंगल में खोजे।

Tab shaool uth kar Israel ke teen hajaar chhante hue yoddha sang liye hue gaya ki Daud ko jeep ke jangal mein khoje.

3

और शाऊल ने अपनी छावनी मार्ग के पास हकीला नाम पहाड़ी पर जो यशीमोन के साम्हने है डाली। परन्तु दाऊद जंगल में रहा; और उसने जान लिया, कि शाऊल मेरा पीछा करने को जंगल में आया है;

Aur shaool ne apni chhavni maarg ke paas hakeela naam pahadi par jo yasheemon ke samhane hai dali. Parantu Daud jangal mein raha; aur usne jaan liya, ki shaool mera peechha karne ko jangal mein aaya hai;

4

तब दाऊद ने भेदियों को भेज कर निश्चय कर लिया कि शाऊल सचमुच आ गया है।

Tab Daud ne bhediyon ko bhej kar nishchay kar liya ki shaool sachmuch aa gaya hai.

5

तब शाऊल उठ कर उस स्थान पर गया जहां शाऊल पड़ा था; और दाऊद ने उस स्थान को देखा जहां शाऊल अपने सेनापति नेर के पुत्र अब्नेर समेत पड़ा था; शाऊल तो गाड़ियों की आड़ में पड़ा था, और उसके लोग उसके चारों ओर डेरे डाले हुए थे।

Tab shaool uth kar us sthaan par gaya jahan shaool pada tha; aur Daud ne us sthaan ko dekha jahan shaool apne senapti ner ke putra abner samet pada tha; shaool to gadiyon ki aad mein pada tha, aur uske log uske charon or dere dale hue the.

6

तब दाऊद ने हित्ती अहीमेलेक और सरूयाह के पुत्र योआब के भाई अबीशै से कहा, मेरे साथ उस छावनी में शाऊल के पास कौन चलेगा? अबीशै ने कहा, तेरे साथ मैं चलूंगा।

Tab Daud ne hitti aheemelek aur sarooyaah ke putra yoaab ke bhai abeeshai se kaha, mere saath us chhavni mein shaool ke paas kaun chalega? Abeeshai ne kaha, tere saath main chaloonga.

7

सो दाऊद और अबीशै रातों रात उन लोगों के पास गए, और क्या देखते हैं, कि शाऊल गाड़ियों की आड़ में पड़ा सो रहा है, और उसका भाला उसके सिरहाने भूमि में गड़ा है; और अब्नेर और योद्धा लोग उसके चारों ओर पड़े हुए हैं।

So Daud aur abeeshai raton raat un logon ke paas gaye, aur kya dekhte hain, ki shaool gadiyon ki aad mein pada so raha hai, aur uska bhala uske sirhane bhoomi mein gada hai; aur abner aur yoddha log uske charon or pade hue hain.

8

तब अबीशै ने दाऊद से कहा, परमेश्वर ने आज तेरे शत्रु को तेरे हाथ में कर दिया है; इसलिये अब मैं उसको एक बार ऐसा मारूं कि भाला उसे बेधता हुआ भूमि में धंस जाए, और मुझ को उसे दूसरी बार मारना न पड़ेगा।

Tab abeeshai ne Daud se kaha, Parmeshwar ne aaj tere shatru ko tere haath mein kar diya hai; isliye ab main usko ek baar aisa marun ki bhala use bedhta huaa bhoomi mein dhans jaye, aur mujh ko use doosri baar marna na padega.

9

दाऊद ने अबीशै से कहा, उसे नाश न कर; क्योंकि यहोवा के अभिषिक्त पर हाथ चला कर कौन निर्दोष ठहर सकता है।

Daud ne abeeshai se kaha, use naash na kar; kyonki Yahowa ke abhishikt par haath chala kar kaun nirdosh thahar sakta hai.

10

फिर दाऊद ने कहा, यहोवा के जीवन की शपथ यहोवा ही उसको मारेगा; वा वह अपनी मृत्यु से मरेगा; वा वह लड़ाई में जा कर मर जाएगा।

Phir Daud ne kaha, Yahowa ke jeevan ki shapath Yahowa hi usko marega; va vah apni mrityu se marega; va vah ladai mein ja kar mar jayega.

11

यहोवा न करे कि मैं अपना हाथ यहोवा के अभिषिक्त पर बढ़ाऊं; अब उसके सिरहाने से भाला और पानी की झारी उठा ले, और हम यहां से चले जाएं।

Yahowa na kare ki main apna haath Yahowa ke abhishikt par badhaun; ab uske sirhane se bhala aur pani ki jhari utha le, aur ham yahan se chale jayen.

12

तब दाऊद ने भाले और पानी की झारी को शाऊल के सिरहाने से उठा लिया; और वे चले गए। और किसी ने इसे न देखा, और न जाना, और न कोई जागा; क्योंकि वे सब इस कारण सोए हुए थे, कि यहोवा की ओर से उन में भारी नींद समा गई थी।

Tab Daud ne bhale aur pani ki jhari ko shaool ke sirhane se utha liya; aur ve chale gaye. Aur kisi ne ise na dekha, aur na jana, aur na koi jaga; kyonki ve sab is karan soye hue the, ki Yahowa ki or se un mein bhari neend sama gai thi.

13

तब दाऊद परली ओर जा कर दूर के पहाड़ की चोटी पर खड़ा हुआ, और दोनों के बीच बड़ा अन्तर था;

Tab Daud parli or ja kar door ke pahaad ki choti par khada huaa, aur donon ke beech bada antar tha;

14

और दाऊद ने उन लोगों को, और नेर के पुत्र अब्नेर को पुकार के कहा, हे अब्नेर क्या तू नहीं सुनता? अब्नेर ने उत्तर देकर कहा, तू कौन है जो राजा को पुकारता है?

Aur Daud ne un logon ko, aur ner ke putra abner ko pukaar ke kaha, he abner kya tu nahi sunta? Abner ne uttar dekar kaha, tu kaun hai jo raja ko pukarta hai?

15

दाऊद ने अब्नेर से कहा, क्या तू पुरूष नहीं है? इस्राएल में तेरे तुल्य कौन है? तू ने अपने स्वामी राजा की चौकसी क्यों नहीं की? एक जन तो तेरे स्वामी राजा को नाश करने घुसा था

Daud ne abner se kaha, kya tu puroosh nahi hai? Israel mein tere tulya kaun hai? Tu ne apne swami raja ki chauksi kyon nahi ki? Ek jan to tere swami raja ko naash karne ghusa tha

16

जो काम तू ने किया है वह अच्छा नहीं। यहोवा के जीवन की शपथ तुम लोग मारे जाने के योग्य हो, क्योंकि तुम ने अपने स्वामी, यहोवा के अभिषिक्त की चौकसी नहीं की। और अब देख, राजा का भाला और पानी की झारी जो उसके सिरहाने थी वे कहां हैं?

Jo kaam tu ne kiya hai vah achchha nahi. Yahowa ke jeevan ki shapath tum log mare jane ke yogya ho, kyonki tum ne apne swami, Yahowa ke abhishikt ki chauksi nahi ki. Aur ab dekh, raja ka bhala aur pani ki jhari jo uske sirhane thi ve kahan hain?

17

तब शाऊल ने दाऊद का बोल पहिचानकर कहा, हे मेरे बेटे दाऊद, क्या यह तेरा बोल है, दाऊद ने कहा, हां, मेरे प्रभु राजा, मेरा ही बोल है।

Tab shaool ne Daud ka bol pahichankar kaha, he mere bete Daud, kya yah tera bol hai, Daud ne kaha, han, mere Prabhu raja, mera hi bol hai.

18

फिर उसने कहा, मेरा प्रभु अपने दास का पीछा क्यों करता है? मैं ने क्या किया है? और मुझ से कौन सी बुराई हुई है?

Phir usne kaha, mera Prabhu apne daas ka peechha kyon karta hai? Main ne kya kiya hai? Aur mujh se kaun si burai hui hai?

19

अब मेरा प्रभु राजा, अपने दास की बातें सुन ले। यदि यहोवा ने तुझे मेरे विरुद्ध उकसाया हो, तब तो वह भेंट ग्रहण करे; परन्तु यदि आदमियों ने ऐसा किया हो, तो वे यहोवा की ओर से शापित हों, क्योंकि उन्होंने अब मुझे निकाल दिया है कि मैं यहोवा के निज भाग में न रहूं, और उन्होंने कहा है, कि जा पराए देवताओं की उपासना कर।

Ab mera Prabhu raja, apne daas ki batein sun le. Yadi Yahowa ne tujhe mere viruddh uksaya ho, tab to vah bhent grahan kare; parantu yadi aadmiyon ne aisa kiya ho, to ve Yahowa ki or se shapit hon, kyonki unhonne ab mujhe nikaal diya hai ki main Yahowa ke nij bhaag mein na rahun, aur unhonne kaha hai, ki ja paraye devtaon ki upasna kar.

20

इसलिये अब मेरा लोहू यहोवा की आखों की ओट में भूमि पर न बहने पाए; इस्राएल का राजा तो एक पिस्सू ढूंढ़ने आया है, जैसा कि कोई पहाड़ों पर तीतर का अहेर करे।

Isliye ab mera lohu Yahowa ki aakhon ki ot mein bhoomi par na bahne paye; Israel ka raja to ek pissu dhoondhne aaya hai, jaisa ki koi pahadon par teetar ka aher kare.

21

शाऊल ने कहा, मैं ने पाप किया है, हे मेरे बेटे दाऊद लौट आ; मेरा प्राण आज के दिन तेरी दृष्टि में अनमोल ठहरा, इस कारण मैं फिर तेरी कुछ हानि न करूंगा; सुन, मैं ने मूर्खता की, और मुझ से बड़ी भूल हुई है।

Shaool ne kaha, main ne paap kiya hai, he mere bete Daud laut aa; mera praan aaj ke din teri drishti mein anmol thahra, is karan main phir teri kuchh hani na karoonga; sun, main ne moorkhata ki, aur mujh se badi bhool hui hai.

22

दाऊद ने उत्तर देकर कहा, हे राजा, भाले को देख, कोई जवान इधर आकर इसे ले जाए।

Daud ne uttar dekar kaha, he raja, bhale ko dekh, koi javaan idhar aakar ise le jaye.

23

यहोवा एक एक को अपने अपने धर्म और सच्चाई का फल देगा; देख, आज यहोवा ने तुझ को मेरे हाथ में कर दिया था, परन्तु मैं ने यहोवा के अभिषिक्त पर अपना हाथ बढ़ाना उचित न समझा।

Yahowa ek ek ko apne apne dharm aur sachchai ka phal dega; dekh, aaj Yahowa ne tujh ko mere haath mein kar diya tha, parantu main ne Yahowa ke abhishikt par apna haath badhana uchit na samjha.

24

इसलिये जैसे तेरे प्राण आज मेरी दृष्टि में प्रिय ठहरे, वैसे ही मेरे प्राण भी यहोवा की दृष्टि में प्रिय ठहरे, और वह मुझे समस्त विपत्तियों से छुड़ाए।

Isliye jaise tere praan aaj meri drishti mein priya thahre, vaise hi mere praan bhi Yahowa ki drishti mein priya thahre, aur vah mujhe samast vipattiyon se chhudaye.

25

शाऊल ने दाऊद से कहा, हे मेरे बेटे दाऊद तू धन्य है! तू बड़े बड़े काम करेगा और तेरे काम सफल होंगे। तब दाऊद ने अपना मार्ग लिया, और शाऊल भी अपने स्थान को लौट गया॥

Shaool ne Daud se kaha, he mere bete Daud tu dhanya hai! Tu bade bade kaam karega aur tere kaam saphal honge. Tab Daud ne apna maarg liya, aur shaool bhi apne sthaan ko laut gaya.