1 Samuel 24 · 22 verses

1 शमूएल 24 1 Samuel 24 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 24.

1

जब शाऊल पलिश्तियों का पीछा करके लौटा, तब उसको यह समाचार मिला, कि दाऊद एनगदी के जंगल में है।

Jab shaool palishtiyon ka peechha karke lauta, tab usko yah samachaar mila, ki Daud enagdi ke jangal mein hai.

2

तब शाऊल समस्त इस्राएलियों में से तीन हजार को छांटकर दाऊद और उसके जनों को बनैले बकरों की चट्टानों पर खोजने गया।

Tab shaool samast Israeliyon mein se teen hajaar ko chhantkar Daud aur uske janon ko banaile bakron ki chattanon par khojne gaya.

3

जब वह मार्ग पर के भेड़शालों के पास पहुंचा जहां एक गुफा थी, तब शाऊल दिशा फिरने को उसके भीतर गया। और उसी गुफा के कोनों में दाऊद और उसके जन बैठे हुए थे।

Jab vah maarg par ke bhedshalon ke paas pahuncha jahan ek gupha thi, tab shaool disha phirne ko uske bheetar gaya. Aur usi gupha ke konon mein Daud aur uske jan baithe hue the.

4

तब दाऊद के जनों ने उस से कहा, सुन, आज वही दिन है जिसके विषय यहोवा ने तुझ से कहा था, कि मैं तेरे शत्रु को तेरे हाथ में सौंप दूंगा, कि तू उस से मनमाना बर्ताव कर ले। तब दाऊद ने उठ कर शाऊल के बागे की छोर को छिपकर काट लिया।

Tab Daud ke janon ne us se kaha, sun, aaj vahi din hai jiske vishay Yahowa ne tujh se kaha tha, ki main tere shatru ko tere haath mein saump doonga, ki tu us se manmana bartaav kar le. Tab Daud ne uth kar shaool ke bage ki chhor ko chhipkar kaat liya.

5

इसके पीछे दाऊद शाऊल के बागे की छोर काटने से पछताया।

Iske peechhe Daud shaool ke bage ki chhor katne se pachhtaya.

6

और अपने जनों से कहने लगा, यहोवा न करे कि मैं अपने प्रभु से जो यहोवा का अभिषिक्त है ऐसा काम करूं, कि उस पर हाथ चलाऊं, क्योंकि वह यहोवा का अभिषिक्त है।

Aur apne janon se kahne laga, Yahowa na kare ki main apne Prabhu se jo Yahowa ka abhishikt hai aisa kaam karun, ki us par haath chalaun, kyonki vah Yahowa ka abhishikt hai.

7

ऐसी बातें कहकर दाऊद ने अपने जनों को घुड़की लगाई और उन्हें शाऊल की हानि करने को उठने न दिया। फिर शाऊल उठ कर गुफा से निकला और अपना मार्ग लिया।

Aisi batein kahkar Daud ne apne janon ko ghudki lagai aur unhein shaool ki hani karne ko uthne na diya. Phir shaool uth kar gupha se nikla aur apna maarg liya.

8

उसके पीछे दाऊद भी उठ कर गुफा से निकला और शाऊल को पीछे से पुकार के बोला, हे मेरे प्रभु, हे राजा। जब शाऊल ने फिर के देखा, तब दाऊद ने भूमि की ओर सिर झुका कर दण्डवत की।

Uske peechhe Daud bhi uth kar gupha se nikla aur shaool ko peechhe se pukaar ke bola, he mere Prabhu, he raja. Jab shaool ne phir ke dekha, tab Daud ne bhoomi ki or sir jhuka kar dandavat ki.

9

और दाऊद ने शाऊल से कहा, जो मनुष्य कहते हैं, कि दाऊद तेरी हानि चाहता है उनकी तू क्यों सुनता है?

Aur Daud ne shaool se kaha, jo manushya kahte hain, ki Daud teri hani chahta hai unki tu kyon sunta hai?

10

देख, आज तू ने अपनी आंखों से देखा है कि यहोवा ने आज गुफा में तुझे मेरे हाथ सौंप दिया था; और किसी किसी ने तो मुझ से तुझे मारने को कहा था, परन्तु मुझे तुझ पर तरस आया; और मैं ने कहा, मैं अपने प्रभु पर हाथ न चलाऊंगा; क्योंकि वह यहोवा का अभिषिक्त है।

Dekh, aaj tu ne apni aankhon se dekha hai ki Yahowa ne aaj gupha mein tujhe mere haath saump diya tha; aur kisi kisi ne to mujh se tujhe marne ko kaha tha, parantu mujhe tujh par taras aaya; aur main ne kaha, main apne Prabhu par haath na chalaoonga; kyonki vah Yahowa ka abhishikt hai.

11

फिर, हे मेरे पिता, देख, अपने बागे की छोर मेरे हाथ में देख; मैं ने तेरे बागे की छोर तो काट ली, परन्तु तुझे घात न किया; इस से निश्चय करके जान ले, कि मेरे मन में कोई बुराई वा अपराध का सोच नहीं है। और मैं ने तेरा कुछ अपराध नहीं किया, परन्तु तू मेरे प्राण लेने को मानो उसका अहेर करता रहता है।

Phir, he mere pita, dekh, apne bage ki chhor mere haath mein dekh; main ne tere bage ki chhor to kaat li, parantu tujhe ghaat na kiya; is se nishchay karke jaan le, ki mere man mein koi burai va apraadh ka soch nahi hai. Aur main ne tera kuchh apraadh nahi kiya, parantu tu mere praan lene ko mano uska aher karta rahta hai.

12

यहोवा मेरा और तेरा न्याय करे, और यहोवा तुझ से मेरा पलटा ले; परन्तु मेरा हाथ तुझ पर न उठेगा।

Yahowa mera aur tera nyaay kare, aur Yahowa tujh se mera palta le; parantu mera haath tujh par na uthega.

13

प्राचीनों के नीति वचन के अनुसार दुष्टता दुष्टों से होती है; परन्तु मेरा हाथ तुझ पर न उठेगा।

Pracheenon ke neeti vachan ke anusaar dushtata dushton se hoti hai; parantu mera haath tujh par na uthega.

14

इस्राएल का राजा किस का पीछा करने को निकला है? और किस के पीछे पड़ा है? एक मरे कुत्ते के पीछे! एक पिस्सू के पीछे!

Israel ka raja kis ka peechha karne ko nikla hai? Aur kis ke peechhe pada hai? Ek mare kutte ke peechhe! Ek pissu ke peechhe!

15

इसलिये यहोवा न्यायी हो कर मेरा तेरा विचार करे, और विचार करके मेरा मुकद्दमा लड़े, और न्याय करके मुझे तेरे हाथ से बचाए।

Isliye Yahowa nyayi ho kar mera tera vichaar kare, aur vichaar karke mera mukaddama lade, aur nyaay karke mujhe tere haath se bachaye.

16

दाऊद शाऊल से ये बातें कह ही चुका था, कि शाऊल ने कहा, हे मेरे बेटे दाऊद, क्या यह तेरा बोल है? तब शाऊल चिल्लाकर रोने लगा।

Daud shaool se ye batein kah hi chuka tha, ki shaool ne kaha, he mere bete Daud, kya yah tera bol hai? Tab shaool chillakar rone laga.

17

फिर उसने दाऊद से कहा, तू मुझ से अधिक धर्मी है; तू ने तो मेरे साथ भलाई की है, परन्तु मैं ने तेरे साथ बुराई की।

Phir usne Daud se kaha, tu mujh se adhik dharmi hai; tu ne to mere saath bhalai ki hai, parantu main ne tere saath burai ki.

18

और तू ने आज यह प्रगट किया है, कि तू ने मेरे साथ भलाई की है, कि जब यहोवा ने मुझे तेरे हाथ में कर दिया, तब तू ने मुझे घात न किया।

Aur tu ne aaj yah pragat kiya hai, ki tu ne mere saath bhalai ki hai, ki jab Yahowa ne mujhe tere haath mein kar diya, tab tu ne mujhe ghaat na kiya.

19

भला! क्या कोई मनुष्य अपने शत्रु को पाकर कुशल से जाने देता है? इसलिये जो तू ने आज मेरे साथ किया है, इसका अच्छा बदला यहोवा तुझे दे।

Bhala! Kya koi manushya apne shatru ko pakar kushal se jane deta hai? Isliye jo tu ne aaj mere saath kiya hai, iska achchha badla Yahowa tujhe de.

20

और अब, मुझे मालूम हुआ है कि तू निश्चय राजा को जाएगा, और इस्राएल का राज्य तेरे हाथ में स्थिर होगा।

Aur ab, mujhe maloom huaa hai ki tu nishchay raja ko jayega, aur Israel ka rajya tere haath mein sthir hoga.

21

अब मुझ से यहोवा की शपथ खा, कि मैं तेरे वंश को तेरे पीछे नाश न करूंगा, और तेरे पिता के घराने में से तेरा नाम मिटा न डालूंगा।

Ab mujh se Yahowa ki shapath kha, ki main tere vansh ko tere peechhe naash na karoonga, aur tere pita ke gharane mein se tera naam mita na daloonga.

22

तब दाऊद ने शाऊल से ऐसी ही शपथ खाई। तब शाऊल अपने घर चला गया; और दाऊद अपने जनों समेत गढ़ों में चला गया।

Tab Daud ne shaool se aisi hi shapath khai. Tab shaool apne ghar chala gaya; aur Daud apne janon samet gadhon mein chala gaya.