1 Samuel 23 · 29 verses

1 शमूएल 23 1 Samuel 23 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 23.

1

और दाऊद को यह समाचार मिला कि पलिश्ती लोग कीला नगर से युद्ध कर रहे हैं, और खलिहानों को लूट रहे हैं।

Aur Daud ko yah samachaar mila ki palishti log keela nagar se yuddh kar rahe hain, aur khalihanon ko loot rahe hain.

2

तब दाऊद ने यहोवा से पूछा, कि क्या मैं जा कर पलिश्तियों को मारूं? यहोवा ने दाऊद से कहा, जा, और पलिश्तियों को मार के कीला को बचा।

Tab Daud ne Yahowa se poochha, ki kya main ja kar palishtiyon ko marun? Yahowa ne Daud se kaha, ja, aur palishtiyon ko maar ke keela ko bacha.

3

परन्तु दाऊद के जनों ने उस से कहा, हम तो इस यहूदा देश में भी डरते रहते हैं, यदि हम कीला जा कर पलिश्तियों की सेना का साम्हना करें, तो क्या बहुत अधिक डर में न पड़ेंगे?

Parantu Daud ke janon ne us se kaha, ham to is Yahuda desh mein bhi darte rahte hain, yadi ham keela ja kar palishtiyon ki sena ka samhana karein, to kya bahut adhik dar mein na padenge?

4

तब दाऊद ने यहोवा से फिर पूछा, और यहोवा ने उसे उत्तर देकर कहा, कमर बान्धकर कीला को जा; क्योंकि मैं पलिश्तियों को तेरे हाथ में कर दूंगा।

Tab Daud ne Yahowa se phir poochha, aur Yahowa ne use uttar dekar kaha, kamar bandhakar keela ko ja; kyonki main palishtiyon ko tere haath mein kar doonga.

5

इसलिये दाऊद अपने जनों को संग ले कर कीला को गया, और पलिश्तियों से लड़कर उनके पशुओं को हांक लाया, और उन्हें बड़ी मार से मारा। यों दाऊद ने कीला के निवासियों बचाया।

Isliye Daud apne janon ko sang le kar keela ko gaya, aur palishtiyon se ladkar unke pashuon ko haank laya, aur unhein badi maar se mara. Yon Daud ne keela ke nivasiyon bachaya.

6

जब अहीमेलेक का पुत्र एब्यातार दाऊद के पास कीला को भाग गया था, तब हाथ में एपोद लिए हुए गया था॥

Jab aheemelek ka putra ebyataar Daud ke paas keela ko bhaag gaya tha, tab haath mein epod liye hue gaya tha.

7

तब शाऊल को यह समाचार मिला कि दाऊद कीला को गया है। और शाऊल ने कहा, परमेश्वर ने उसे मेरे हाथ में कर दिया है; वह तो फाटक और बेंड़ेवले नगर में घुस कर बन्द हो गया है।

Tab shaool ko yah samachaar mila ki Daud keela ko gaya hai. Aur shaool ne kaha, Parmeshwar ne use mere haath mein kar diya hai; vah to phatak aur bendevle nagar mein ghus kar band ho gaya hai.

8

तब शाऊल ने अपनी सारी सेना को लड़ाई के लिये बुलवाया, कि कीला को जा कर दाऊद और उसके जनों को घेर ले।

Tab shaool ne apni sari sena ko ladai ke liye bulvaya, ki keela ko ja kar Daud aur uske janon ko gher le.

9

तब दाऊद ने जान लिया कि शाऊल मेरी हानि कि युक्ति कर रहा है; इसलिये उसने एब्यातार याजक से कहा, एपोद को निकट ले आ।

Tab Daud ne jaan liya ki shaool meri hani ki yukti kar raha hai; isliye usne ebyataar yajak se kaha, epod ko nikat le aa.

10

तब दाऊद ने कहा, हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा, तेरे दास ने निश्चय सुना है कि शाऊल मेरे कारण कीला नगर नाश करने को आना चाहता है।

Tab Daud ne kaha, he Israel ke Parmeshwar Yahowa, tere daas ne nishchay suna hai ki shaool mere karan keela nagar naash karne ko aana chahta hai.

11

क्या कीला के लोग मुझे उसके वश में कर देंगे? क्या जैसे तेरे दास ने सुना है, वैसे ही शाऊल आएगा? हे इस्राएल के परमेश्वर यहोवा, अपने दास को यह बता। यहोवा ने कहा, हां, वह आएगा।

Kya keela ke log mujhe uske vash mein kar denge? Kya jaise tere daas ne suna hai, vaise hi shaool aayega? He Israel ke Parmeshwar Yahowa, apne daas ko yah bata. Yahowa ne kaha, han, vah aayega.

12

फिर दाऊद ने पूछा, क्या कीला के लोग मुझे और मेरे जनों को शाऊल के वश में कर देंगे? यहोवा ने कहा, हां, वे कर देंगे।

Phir Daud ne poochha, kya keela ke log mujhe aur mere janon ko shaool ke vash mein kar denge? Yahowa ne kaha, han, ve kar denge.

13

तब दाऊद और उसके जन जो कोई छ: सौ थे कीला से निकल गए, और इधर उधर जहां कहीं जा सके वहां गए। और जब शाऊल को यह बताया गया कि दाऊद कीला से निकला भाग है, तब उसने वहां जाने की मनसा छोड़ दी॥

Tab Daud aur uske jan jo koi chha: sau the keela se nikal gaye, aur idhar udhar jahan kahi ja sake vahan gaye. Aur jab shaool ko yah bataya gaya ki Daud keela se nikla bhaag hai, tab usne vahan jane ki mansa chhod di.

14

जब दाऊद जो जंगल के गढ़ों में रहने लगा, और पहाड़ी देश के जीप नाम जंगल में रहा। और शाऊल उसे प्रति दिन ढूंढ़ता रहा, परन्तु परमेश्वर ने उसे उसके हाथ में न पड़ने दिया।

Jab Daud jo jangal ke gadhon mein rahne laga, aur pahadi desh ke jeep naam jangal mein raha. Aur shaool use prati din dhoondhta raha, parantu Parmeshwar ne use uske haath mein na padne diya.

15

और दाऊद ने जान लिया कि शाऊल मेरे प्राण की खोज में निकला है। और दाऊद जीप नाम जंगल के होरेश नाम स्थान में था;

Aur Daud ne jaan liya ki shaool mere praan ki khoj mein nikla hai. Aur Daud jeep naam jangal ke horesh naam sthaan mein tha;

16

कि शाऊल का पुत्र योनातन उठ कर उसके पास होरेश में गया, और परमेश्वर की चर्चा करके उसको ढाढ़स दिलाया।

Ki shaool ka putra yonatan uth kar uske paas horesh mein gaya, aur Parmeshwar ki charcha karke usko dhadhas dilaya.

17

उसने उस से कहा, मत डर; क्योंकि तू मेरे पिता शाऊल के हाथ में न पड़ेगा; और तू ही इस्राएल का राजा होगा, और मैं तेरे नीचे हूंगा; और इस बात को मेरा पिता शाऊल भी जानता है।

Usne us se kaha, mat dar; kyonki tu mere pita shaool ke haath mein na padega; aur tu hi Israel ka raja hoga, aur main tere neeche hoonga; aur is baat ko mera pita shaool bhi janta hai.

18

तब उन दोनों ने यहोवा की शपथ खाकर आपस में वाचा बान्धी; तब दाऊद होरेश में रह गया, और योनातन अपने घर चला गया।

Tab un donon ne Yahowa ki shapath khakar aapas mein vacha bandhi; tab Daud horesh mein rah gaya, aur yonatan apne ghar chala gaya.

19

तब जीपी लोग गिबा में शाऊल के पास जा कर कहने लगे, दाऊद तो हमारे पास होरेश के गढ़ों में, अर्थात उस हकीला नाम पहाड़ी पर छिपा रहता है, जो यशीमोन के दक्खिन की ओर है।

Tab jeepi log giba mein shaool ke paas ja kar kahne lage, Daud to hamare paas horesh ke gadhon mein, arthaat us hakeela naam pahadi par chhipa rahta hai, jo yasheemon ke dakkhin ki or hai.

20

इसलिये अब, हे राजा, तेरी जो इच्छा आने की है, तो आ; और उसको राजा के हाथ में पकड़वा देना हमारा काम होगा।

Isliye ab, he raja, teri jo ichchha aane ki hai, to aa; aur usko raja ke haath mein pakadva dena hamara kaam hoga.

21

शाऊल ने कहा, यहोवा की आशीष तुम पर हो, क्योंकि तुम ने मुझ पर दया की है।

Shaool ne kaha, Yahowa ki aasheesh tum par ho, kyonki tum ne mujh par daya ki hai.

22

तुम चलकर और भी निश्चय कर लो; और देख भाल कर जान लो, और उसके अड्डे का पता लगा लो, और बूझो कि उसको वहां किसने देखा है; क्योंकि किसी ने मुझ से कहा है, कि वह बड़ी चतुराई से काम करता है।

Tum chalkar aur bhi nishchay kar lo; aur dekh bhaal kar jaan lo, aur uske adde ka pata laga lo, aur boojho ki usko vahan kisne dekha hai; kyonki kisi ne mujh se kaha hai, ki vah badi chaturai se kaam karta hai.

23

इसलिये जहां कहीं वह छिपा करता है उन सब स्थानों को देख देखकर पहिचानो, तब निश्चय करके मेरे पास लौट आना। और मैं तुम्हारे साथ चलूंगा, और यदि वह उस देश में कहीं भी हो, तो मैं उसे यहूदा के हजारों में से ढूंढ़ निकालूंगा।

Isliye jahan kahi vah chhipa karta hai un sab sthanon ko dekh dekhkar pahichano, tab nishchay karke mere paas laut aana. Aur main tumhare saath chaloonga, aur yadi vah us desh mein kahi bhi ho, to main use Yahuda ke hajaron mein se dhoondh nikaloonga.

24

तब वे चलकर शाऊल से पहिले जीप को गए। परन्तु दाऊद अपने जनों समेत माओन नाम जंगल में चला गया था, जो अराबा में यशीमोन के दक्खिन की ओर है।

Tab ve chalkar shaool se pahile jeep ko gaye. Parantu Daud apne janon samet maon naam jangal mein chala gaya tha, jo araba mein yasheemon ke dakkhin ki or hai.

25

तब शाऊल अपने जनों को साथ ले कर उसकी खोज में गया। इसका समाचार पाकर दाऊद पर्वत पर से उतर के माओन जंगल में रहने लगा। यह सुन शाऊल ने माओन जंगल में दाऊद का पीछा किया।

Tab shaool apne janon ko saath le kar uski khoj mein gaya. Iska samachaar pakar Daud parvat par se utar ke maon jangal mein rahne laga. Yah sun shaool ne maon jangal mein Daud ka peechha kiya.

26

शाऊल तो पहाड़ की एक ओर, और दाऊद अपने जनों समेत पहाड़ की दूसरी ओर जा रहा था; और दाऊद शाऊल के डर के मारे जल्दी जा रहा था, और शाऊल अपने जनों समेत दाऊद और उसके जनों को पकड़ने के लिये घेरा बनाना चाहता था,

Shaool to pahaad ki ek or, aur Daud apne janon samet pahaad ki doosri or ja raha tha; aur Daud shaool ke dar ke mare jaldi ja raha tha, aur shaool apne janon samet Daud aur uske janon ko pakadne ke liye ghera banana chahta tha,

27

कि एक दूत ने शाऊल के पास आकर कहा, फुर्ती से चला आ; क्योंकि पलिश्तियों ने देश पर चढ़ाई की है।

Ki ek doot ne shaool ke paas aakar kaha, phurti se chala aa; kyonki palishtiyon ne desh par chadhai ki hai.

28

यह सुन शाऊल दाऊद का पीछा छोड़कर पलिश्तियों का साम्हना करने को चला; इस कारण उस स्थान का नाम सेलाहम्महलकोत पड़ा।

Yah sun shaool Daud ka peechha chhodkar palishtiyon ka samhana karne ko chala; is karan us sthaan ka naam selahammahalkot pada.

29

वहां से दाऊद चढ़कर एनगदी के गढ़ों में रहने लगा॥

Vahan se Daud chadhkar enagdi ke gadhon mein rahne laga.