1 Samuel 22 · 23 verses

1 शमूएल 22 1 Samuel 22 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 22.

1

और दाऊद वहां से चला, और अदुल्लाम की गुफा में पहुंचकर बच गया; और यह सुनकर उसके भाई, वरन उसके पिता का समस्त घराना वहां उसके पास गया।

Aur Daud vahan se chala, aur adullaam ki gupha mein pahunchkar bach gaya; aur yah sunkar uske bhai, varan uske pita ka samast gharana vahan uske paas gaya.

2

और जितने संकट में पड़े थे, और जितने ऋणी थे, और जितने उदास थे, वे एक उसके पास इकट्ठे हुए; और वह उनका प्रधान हुआ। और कोई चार सौ पुरूष उसके साथ हो गए॥

Aur jitne sankat mein pade the, aur jitne rini the, aur jitne udaas the, ve ek uske paas ikatthe hue; aur vah unka pradhaan huaa. Aur koi chaar sau puroosh uske saath ho gaye.

3

वहां से दाऊद ने मोआब के मिसपे को जा कर मोआब के राजा से कहा, मेरे पिता को अपने पास तब तक आकर रहने दो, जब तक कि मैं न जानूं कि परमेश्वर मेरे लिये क्या करेगा।

Vahan se Daud ne moaab ke mispe ko ja kar moaab ke raja se kaha, mere pita ko apne paas tab tak aakar rahne do, jab tak ki main na janun ki Parmeshwar mere liye kya karega.

4

और वह उन को मोआब के राजा के सम्मुख ले गया, और जब तक दाऊद उस गढ़ में रहा, तब तक वे उसके पास रहे।

Aur vah un ko moaab ke raja ke sammukh le gaya, aur jab tak Daud us gadh mein raha, tab tak ve uske paas rahe.

5

फिर गाद नाम एक नबी ने दाऊद से कहा, इस गढ़ में मत रह; चल, यहूदा के देश में जा। और दाऊद चलकर हेरेत के बन में गया॥

Phir gaad naam ek nabi ne Daud se kaha, is gadh mein mat rah; chal, Yahuda ke desh mein ja. Aur Daud chalkar heret ke ban mein gaya.

6

तब शाऊल ने सुना कि दाऊद और उसके संगियों का पता लग गया हैं उस समय शाऊल गिबा के ऊंचे स्थान पर, एक झाऊ के पेड़ के तले, हाथ में अपना भाला लिए हुए बैठा था, और उसके कर्मचारी उसके आसपास खड़े थे।

Tab shaool ne suna ki Daud aur uske sangiyon ka pata lag gaya hain us samay shaool giba ke oonche sthaan par, ek jhau ke ped ke tale, haath mein apna bhala liye hue baitha tha, aur uske karmachari uske aaspaas khade the.

7

तब शाऊल अपने कर्मचारियों से जो उसके आसपास खड़े थे कहने लगा, हे बिन्यामीनियों, सुनो; क्या यिशै का पुत्र तुम सभों को खेत और दाख की बारियां देगा? क्या वह तुम सभों को सहस्रपति और शतपति करेगा?

Tab shaool apne karmachariyon se jo uske aaspaas khade the kahne laga, he binyameeniyon, suno; kya yishai ka putra tum sabhon ko khet aur daakh ki bariyan dega? Kya vah tum sabhon ko sahasrapti aur shatapti karega?

8

तुम सभों ने मेरे विरुद्ध क्यों राजद्रोह की गोष्ठी की है? और जब मेरे पुत्र ने यिशै के पुत्र से वाचा बान्धी, तब किसी ने मुझ पर प्रगट नहीं किया; और तुम में से किसी ने मेरे लिये शोकित हो कर मुझ पर प्रगट नहीं किया, कि मेरे पुत्र ने मेरे कर्मचारी को मेरे विरुद्ध ऐसा घात लगाने को उभारा है, जैसा आज के दिन है।

Tum sabhon ne mere viruddh kyon rajadroh ki goshthi ki hai? Aur jab mere putra ne yishai ke putra se vacha bandhi, tab kisi ne mujh par pragat nahi kiya; aur tum mein se kisi ne mere liye shokit ho kar mujh par pragat nahi kiya, ki mere putra ne mere karmachari ko mere viruddh aisa ghaat lagane ko ubhara hai, jaisa aaj ke din hai.

9

तब एदोमी दोएग ने, जो शाऊल के सेवकों के ऊपर ठहराया गया था, उत्तर देकर कहा, मैं ने तो यिशै के पुत्र को नोब में अहीतूब के पुत्र अहीमेलेक के पास आते देखा,

Tab edomi doyeg ne, jo shaool ke sevkon ke oopar thahraya gaya tha, uttar dekar kaha, main ne to yishai ke putra ko nob mein aheetoob ke putra aheemelek ke paas aate dekha,

10

और उसने उसके लिये यहोवा से पूछा, और उसे भोजन वस्तु दी, और पलिश्ती गोलियत की तलवार भी दी।

Aur usne uske liye Yahowa se poochha, aur use bhojan vastu di, aur palishti goliyat ki talvaar bhi di.

11

और राजा ने अहीतूब के पुत्र अहीमेलेक याजक को और उसके पिता के समस्त घराने को, बुलवा भेजा; और जब वे सब के सब शाऊल राज के पास आए,

Aur raja ne aheetoob ke putra aheemelek yajak ko aur uske pita ke samast gharane ko, bulva bheja; aur jab ve sab ke sab shaool raaj ke paas aaye,

12

तब शाऊल ने कहा, हे अहीतूब के पुत्र, सुन, वह बोला, हे प्रभु, क्या आज्ञा?

Tab shaool ne kaha, he aheetoob ke putra, sun, vah bola, he Prabhu, kya aagya?

13

शाऊल ने उस से पुछा, क्या कारण है कि तू और यिशै के पुत्र दोनों ने मेरे विरुद्ध राजद्रोह की गोष्ठी की है? तू ने उसे रोटी और तलवार दी, और उसके लिये परमेश्वर से पूछा भी, जिस से वह मेरे विरुद्ध उठे, और ऐसा घात लगाए जैसा आज के दिन है?

Shaool ne us se puchha, kya karan hai ki tu aur yishai ke putra donon ne mere viruddh rajadroh ki goshthi ki hai? Tu ne use roti aur talvaar di, aur uske liye Parmeshwar se poochha bhi, jis se vah mere viruddh uthe, aur aisa ghaat lagaye jaisa aaj ke din hai?

14

अहीमेलेक ने राजा को उत्तर देकर कहा, तेरे समस्त कर्मचारियों में दाऊद के तुल्य विश्वासयोग्य कौन है? वह तो राजा का दामाद है, और तेरी राजसभा में उपस्थित हुआ करता, और तेरे परिवार में प्रतिष्ठित है।

Aheemelek ne raja ko uttar dekar kaha, tere samast karmachariyon mein Daud ke tulya vishwasyogya kaun hai? Vah to raja ka damaad hai, aur teri rajasbha mein upasthit huaa karta, aur tere parivaar mein pratishthit hai.

15

क्या मैं ने आज ही उसके लिये परमेश्वर से पूछना आरम्भ किया है? वह मुझ से दूर रहे! राजा न तो अपने दास पर ऐसा कोई दोष लगाए, न मेरे पिता के समस्त घराने पर, क्योंकि तेरा दास इन सब बखेड़ों के विषय कुछ भी नहीं जानता।

Kya main ne aaj hi uske liye Parmeshwar se poochhna aarambh kiya hai? Vah mujh se door rahe! Raja na to apne daas par aisa koi dosh lagaye, na mere pita ke samast gharane par, kyonki tera daas in sab bakhedon ke vishay kuchh bhi nahi janta.

16

राजा ने कहा, हे अहीमेलेक, तू और तेरे पिता का समस्त घराना निश्चय मार डाला जाएगा।

Raja ne kaha, he aheemelek, tu aur tere pita ka samast gharana nishchay maar dala jayega.

17

फिर राजा ने उन पहरुओं से जो उसके आसपास खड़े थे आज्ञा दी, कि मुड़ो और यहोवा के याजकों को मार डालो; क्योंकि उन्होंने भी दाऊद की सहायता की है, और उसका भागना जानने पर भी मुझ पर प्रगट नहीं किया। परन्तु राजा के सेवक यहोवा के याजकों को मारने के लिये हाथ बढ़ाना न चाहते थे।

Phir raja ne un pahruon se jo uske aaspaas khade the aagya di, ki mudo aur Yahowa ke yajkon ko maar dalo; kyonki unhonne bhi Daud ki sahayta ki hai, aur uska bhagna janne par bhi mujh par pragat nahi kiya. Parantu raja ke sevak Yahowa ke yajkon ko marne ke liye haath badhana na chahte the.

18

तब राजा ने दोएग से कहा, तू मुड़कर याजकों को मार डाल। तब एदोमी दोएग ने मुड़कर याजकों को मारा, और उस दिन सनीवाला एपोद पहिने हुए पचासी पुरूषों को घात किया।

Tab raja ne doyeg se kaha, tu mudkar yajkon ko maar daal. Tab edomi doyeg ne mudkar yajkon ko mara, aur us din saneevala epod pahine hue pachasi purooshon ko ghaat kiya.

19

और याजकों के नगर नोब को उसने स्त्रियों-पुरूषों, और बाल-बच्चों, और दूधपिउवों, और बैलों, गदहों, और भेड़-बकरियों समेत तलवार से मारा।

Aur yajkon ke nagar nob ko usne striyon-purooshon, aur baal-bachchon, aur doodhpiuvon, aur bailon, gadhon, aur bhed-bakriyon samet talvaar se mara.

20

परन्तु अहीतूब के पुत्र अहीमेलेक का एब्यातार नाम एक पुत्र बच निकला, और दाऊद के पास भाग गया।

Parantu aheetoob ke putra aheemelek ka ebyataar naam ek putra bach nikla, aur Daud ke paas bhaag gaya.

21

तब एब्यातार ने दाऊद को बताया, कि शाऊल ने यहोवा के याजकों को बध किया है।

Tab ebyataar ne Daud ko bataya, ki shaool ne Yahowa ke yajkon ko badh kiya hai.

22

और दाऊद ने एब्यातार से कहा, जिस दिन एदोमी दोएग वहां था, उसी दिन मैं ने जान लिया, कि वह निश्चय शाऊल को बताएगा। तेरे पिता के समस्त घराने के मारे जाने का कारण मैं ही हुआ।

Aur Daud ne ebyataar se kaha, jis din edomi doyeg vahan tha, usi din main ne jaan liya, ki vah nishchay shaool ko batayega. Tere pita ke samast gharane ke mare jane ka karan main hi huaa.

23

इसलिये तू मेरे साथ निडर रह; जो मेरे प्राण का ग्राहक है वही तेरे प्राण का भी ग्राहक है; परन्तु मेरे साथ रहने से तेरी रक्षा होगी॥

Isliye tu mere saath nidar rah; jo mere praan ka grahak hai vahi tere praan ka bhi grahak hai; parantu mere saath rahne se teri raksha hogi.