1 Samuel 20 · 42 verses

1 शमूएल 20 1 Samuel 20 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 20.

1

फिर दाऊद रामा के नबायोत से भागा, और योनातन के पास जा कर कहने लगा, मैं ने क्या किया है? मुझ से क्या पाप हुआ? मैं ने तेरे पिता की दृष्टि में ऐसा कौन सा अपराध किया है, कि वह मेरे प्राण की खोज में रहता है?

Phir Daud rama ke nabayot se bhaga, aur yonatan ke paas ja kar kahne laga, main ne kya kiya hai? Mujh se kya paap huaa? Main ne tere pita ki drishti mein aisa kaun sa apraadh kiya hai, ki vah mere praan ki khoj mein rahta hai?

2

उसने उस से कहा, ऐसी बात नहीं है; तू मारा न जाएगा। सुन, मेरा पिता मुझ को बिना जताए न तो कोई बड़ा काम करता है और न कोई छोटा; फिर वह ऐसी बात को मुझ से क्यों छिपाएगा? ऐसी कोई बात नहीं है।

Usne us se kaha, aisi baat nahi hai; tu mara na jayega. Sun, mera pita mujh ko bina jataye na to koi bada kaam karta hai aur na koi chhota; phir vah aisi baat ko mujh se kyon chhipayega? Aisi koi baat nahi hai.

3

फिर दाऊद ने शपथ खाकर कहा, तेरा पिता निश्चय जानता है कि तेरे अनुग्रह की दृष्टि मुझ पर है; और वह सोचता होगा, कि योनातन इस बात को न जानने पाए, ऐसा न हो कि वह खेदित हो जाए। परन्तु यहोवा के जीवन की शपथ और तेरे जीवन की शपथ, नि:सन्देह, मेरे और मृत्यु के बीच डग ही भर का अन्तर है।

Phir Daud ne shapath khakar kaha, tera pita nishchay janta hai ki tere anugrah ki drishti mujh par hai; aur vah sochta hoga, ki yonatan is baat ko na janne paye, aisa na ho ki vah khedit ho jaye. Parantu Yahowa ke jeevan ki shapath aur tere jeevan ki shapath, nisandeh, mere aur mrityu ke beech dag hi bhar ka antar hai.

4

योनातान ने दाऊद से कहा, जो कुछ तेरा जी चाहे वही मैं तेरे लिये करूंगा।

Yonataan ne Daud se kaha, jo kuchh tera ji chahe vahi main tere liye karoonga.

5

दाऊद ने योनातान से कहा, सुन कल नया चाँद होगा, और मुझे उचित है कि राजा के साथ बैठकर भोजन करूं; परन्तु तू मुझे विदा कर, और मैं परसों सांझ तक मैदान में छिपा रहूंगा।

Daud ne yonataan se kaha, sun kal naya chaand hoga, aur mujhe uchit hai ki raja ke saath baithkar bhojan karun; parantu tu mujhe vida kar, aur main parson saanjh tak maidaan mein chhipa rahoonga.

6

यदि तेरा पिता मेरी कुछ चिन्ता करे, तो कहना, कि दाऊद ने अपने नगर बेतलेहेम को शीघ्र जाने के लिये मुझ से बिनती करके छुट्टी मांगी है; क्योंकि वहां उसके समस्त कुल के लिये वार्षिक यज्ञ है।

Yadi tera pita meri kuchh chinta kare, to kahna, ki Daud ne apne nagar betlehem ko sheeghra jane ke liye mujh se binti karke chhutti mangi hai; kyonki vahan uske samast kul ke liye varshik yagy hai.

7

यदि वह यों कहे, कि अच्छा! तब तो तेरे दास के लिये कुशल होगा; परन्तु यदि उसका कोप बहुत भड़क उठे, तो जान लेना कि उसने बुराई ठानी है।

Yadi vah yon kahe, ki achchha! Tab to tere daas ke liye kushal hoga; parantu yadi uska kop bahut bhadak uthe, to jaan lena ki usne burai thani hai.

8

और तू अपने दास से कृपा का व्यवहार करना, क्योंकि तू ने यहोवा की शपथ खिलाकर अपने दास को अपने साथ वाचा बन्धाई है। परन्तु यदि मुझ से कुछ अपराध हुआ हो, तो तू आप मुझे मार डाल; तू मुझे अपने पिता के पास क्यों पहुंचाए?

Aur tu apne daas se kripa ka vyavhaar karna, kyonki tu ne Yahowa ki shapath khilakar apne daas ko apne saath vacha bandhai hai. Parantu yadi mujh se kuchh apraadh huaa ho, to tu aap mujhe maar daal; tu mujhe apne pita ke paas kyon pahunchaye?

9

योनातन ने कहा, ऐसी बात कभी न होगी! यदि मैं निश्चय जानता कि मेरे पिता ने तुझ से बुराई करनी ठानी है, तो क्या मैं तुझ को न बताता?

Yonatan ne kaha, aisi baat kabhi na hogi! Yadi main nishchay janta ki mere pita ne tujh se burai karni thani hai, to kya main tujh ko na batata?

10

दाऊद ने योनातन से कहा, यदि तेरा पिता तुझ को कठोर उत्तर दे, तो कौन मुझे बताएगा?

Daud ne yonatan se kaha, yadi tera pita tujh ko kathor uttar de, to kaun mujhe batayega?

11

योनातन ने दाऊद से कहा, चल हम मैदान को निकल जाएं। और वे दोनों मैदान की ओर चले गए॥

Yonatan ne Daud se kaha, chal ham maidaan ko nikal jayen. Aur ve donon maidaan ki or chale gaye.

12

तब योनातन दाऊद से कहने लगा; इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की शपथ, जब मैं कल वा परसों इसी समय अपने पिता का भेद पाऊं, तब यदि दाऊद की भलाई देखूं, तो क्या मैं उसी समय तेरे पास दूत भेज कर तुझे न बताऊंगा?

Tab yonatan Daud se kahne laga; Israel ke Parmeshwar Yahowa ki shapath, jab main kal va parson isi samay apne pita ka bhed paun, tab yadi Daud ki bhalai dekhun, to kya main usi samay tere paas doot bhej kar tujhe na bataoonga?

13

यदि मेरे पिता का मन तेरी बुराई करने का हो, और मैं तुझ पर यह प्रगट करके तुझे विदा न करूँ कि तू कुशल के साथ चला जाए, तो यहोवा योनातन से ऐसा ही वरन इस से भी अधिक करे। और यहोवा तेरे साथ वैसा ही रहे जैसा वह मेरे पिता के साथ रहा।

Yadi mere pita ka man teri burai karne ka ho, aur main tujh par yah pragat karke tujhe vida na karun ki tu kushal ke saath chala jaye, to Yahowa yonatan se aisa hi varan is se bhi adhik kare. Aur Yahowa tere saath vaisa hi rahe jaisa vah mere pita ke saath raha.

14

और न केवल जब तक मैं जीवित रहूं, तब तक मुझ पर यहोवा की सी कृपा ऐसा करना, कि मैं न मरूं;

Aur na keval jab tak main jeevit rahun, tab tak mujh par Yahowa ki si kripa aisa karna, ki main na marun;

15

परन्तु मेरे घराने पर से भी अपनी कृपादृष्टि कभी न हटाना! वरन जब यहोवा दाऊद के हर एक शत्रु को पृथ्वी पर से नाश कर चुकेगा, तब भी ऐसा न करना।

Parantu mere gharane par se bhi apni kripadrishti kabhi na hatana! Varan jab Yahowa Daud ke har ek shatru ko prithvi par se naash kar chukega, tab bhi aisa na karna.

16

इस प्रकार योनातन ने दाऊद के घराने से यह कहकर वाचा बन्धाई, कि यहोवा दाऊद के शत्रुओं से पलटा ले।

Is prakaar yonatan ne Daud ke gharane se yah kahkar vacha bandhai, ki Yahowa Daud ke shatruon se palta le.

17

और योनातन दाऊद से प्रेम रखता था, और उसने उसको फिर शपथ खिलाई; क्योंकि वह उसने अपने प्राण के बराबर प्रेम रखता था।

Aur yonatan Daud se prem rakhta tha, aur usne usko phir shapath khilai; kyonki vah usne apne praan ke barabar prem rakhta tha.

18

तब योनातन ने उस से कहा, कल नया चाँद होगा; और तेरी चिन्ता की जाएगी, क्योंकि तेरी कुर्सी खाली रहेगी।

Tab yonatan ne us se kaha, kal naya chaand hoga; aur teri chinta ki jayegi, kyonki teri kursi khali rahegi.

19

और तू तीन दिन के बीतने पर तुरन्त आना, और उस स्थान पर जा कर जहां तू उस काम के दिन छिपा था, अर्थात एजेल नाम पत्थर के पास रहना।

Aur tu teen din ke beetne par turant aana, aur us sthaan par ja kar jahan tu us kaam ke din chhipa tha, arthaat ejel naam patthar ke paas rahna.

20

तब मैं उसकी अलंग, मानो अपने किसी ठहराए हुए चिन्ह पर तीन तीर चलाऊंगा।

Tab main uski alang, mano apne kisi thahraye hue chinh par teen teer chalaoonga.

21

फिर मैं अपने टहलुए छोकरे को यह कहकर भेजूंगा, कि जा कर तीरों को ढूंढ ले आ। यदि मैं उस छोकरे से साफ साफ कहूं, कि देख तीर इधर तेरी इस अलंग पर हैं, तो तू उसे ले आ, क्योंकि यहोवा के जीवन की शपथ, तेरे लिये कुशल को छोड़ और कुछ न होगा।

Phir main apne tahlue chhokre ko yah kahkar bhejoonga, ki ja kar teeron ko dhoondh le aa. Yadi main us chhokre se saaph saaph kahun, ki dekh teer idhar teri is alang par hain, to tu use le aa, kyonki Yahowa ke jeevan ki shapath, tere liye kushal ko chhod aur kuchh na hoga.

22

परन्तु यदि मैं छोकरे से यों कहूं, कि सुन, तीर उधर तेरे उस अलंग पर है, तो तू चला जाना, क्योंकि यहोवा ने तुझे विदा किया है।

Parantu yadi main chhokre se yon kahun, ki sun, teer udhar tere us alang par hai, to tu chala jana, kyonki Yahowa ne tujhe vida kiya hai.

23

और उस बात के विषय जिसकी चर्चा मैं ने और तू ने आपस में की है, यहोवा मेरे और तेरे मध्य में सदा रहे॥

Aur us baat ke vishay jiski charcha main ne aur tu ne aapas mein ki hai, Yahowa mere aur tere madhya mein sada rahe.

24

इसलिये दाऊद मैदान में जा छिपा; और जब नया चाँद हुआ, तक राजा भोजन करने को बैठा।

Isliye Daud maidaan mein ja chhipa; aur jab naya chaand huaa, tak raja bhojan karne ko baitha.

25

राजा तो पहिले की नाईं अपने उस आसन पर बैठा जो भीत के पास था; और योनातन खड़ा हुआ, और अब्नेर शाऊल के निकट बैठा, परन्तु दाऊद का स्थान खाली रहा।

Raja to pahile ki nai apne us aasan par baitha jo bheet ke paas tha; aur yonatan khada huaa, aur abner shaool ke nikat baitha, parantu Daud ka sthaan khali raha.

26

उस दिन तो शाऊल यह सोचकर चुप रहा, कि इसका कोई न कोई कारण होगा; वह अशुद्ध होगा, नि:सन्देह शुद्ध न होगा।

Us din to shaool yah sochkar chup raha, ki iska koi na koi karan hoga; vah ashuddh hoga, nisandeh shuddh na hoga.

27

फिर नये चाँद के दूसरे दिन को दाऊद का स्थान खाली रहा। और शाऊल ने अपने पुत्र योनातन से पूछा, क्या कारण है कि यिशै का पुत्र न तो कल भोजन पर आया था, और न आज ही आया है?

Phir naye chaand ke doosre din ko Daud ka sthaan khali raha. Aur shaool ne apne putra yonatan se poochha, kya karan hai ki yishai ka putra na to kal bhojan par aaya tha, aur na aaj hi aaya hai?

28

योनातन ने शाऊल से कहा, दाऊद ने बेतलेहेम जाने के लिये मुझ से बिनती करके छुट्टी मांगी;

Yonatan ne shaool se kaha, Daud ne betlehem jane ke liye mujh se binti karke chhutti mangi;

29

और कहा, मुझे जाने दे; क्योंकि उस नगर में हमारे कुल का यज्ञ है, और मेरे भाई ने मुझ को वहां उपस्थित होने की आज्ञा दी है। और अब यदि मुझ पर तेरे अनुग्रह की दृष्टि हो, तो मुझे जाने दे कि मैं अपने भाइयों से भेंट कर आऊं। इसी कारण वह राजा की मेज पर नहीं आया।

Aur kaha, mujhe jane de; kyonki us nagar mein hamare kul ka yagy hai, aur mere bhai ne mujh ko vahan upasthit hone ki aagya di hai. Aur ab yadi mujh par tere anugrah ki drishti ho, to mujhe jane de ki main apne bhaiyon se bhent kar aaun. Isi karan vah raja ki mej par nahi aaya.

30

तब शाऊल का कोप योनातन पर भड़क उठा, और उसने उस से कहा, हे कुटिला राजद्रोही के पुत्र, क्या मैं नहीं जानता कि तेरा मन तो यिशै के पुत्र पर लगा है? इसी से तेरी आशा का टूटना और तेरी माता का अनादर ही होगा।

Tab shaool ka kop yonatan par bhadak utha, aur usne us se kaha, he kutila rajadrohi ke putra, kya main nahi janta ki tera man to yishai ke putra par laga hai? Isi se teri aasha ka tootna aur teri mata ka anadar hi hoga.

31

क्योंकि जब तक यिशै का पुत्र भूमि पर जीवित रहेगा, तब तक न तो तू और न तेरा राज्य स्थिर रहेगा। इसलिये अभी भेज कर उसे मेरे पास ला, क्योंकि निश्चय वह मार डाला जाएगा।

Kyonki jab tak yishai ka putra bhoomi par jeevit rahega, tab tak na to tu aur na tera rajya sthir rahega. Isliye abhi bhej kar use mere paas la, kyonki nishchay vah maar dala jayega.

32

योनातन ने अपने पिता शाऊल को उत्तर देकर उस से कहा, वह क्यों मारा जाए? उसने क्या किया है?

Yonatan ne apne pita shaool ko uttar dekar us se kaha, vah kyon mara jaye? Usne kya kiya hai?

33

तब शाऊल ने उसको मारने के लिये उस पर भाला चलाया; इससे योनातन ने जान लिया, कि मेरे पिता ने दाऊद को मार डालना ठान लिया है।

Tab shaool ne usko marne ke liye us par bhala chalaya; isse yonatan ne jaan liya, ki mere pita ne Daud ko maar dalna thaan liya hai.

34

तब योनातन क्रोध से जलता हुआ मेज पर से उठ गया, और महीने के दूसरे दिन को भोजन न किया, क्योंकि वह बहुत खेदित था, इसलिये कि उसके पिता ने दाऊद का अनादर किया था॥

Tab yonatan krodh se jalta huaa mej par se uth gaya, aur maheene ke doosre din ko bhojan na kiya, kyonki vah bahut khedit tha, isliye ki uske pita ne Daud ka anadar kiya tha.

35

बिहान को योनातन एक छोटा लड़का संग लिए हुए मैदान में दाऊद के साथ ठहराए हुए स्थान को गया।

Bihaan ko yonatan ek chhota ladka sang liye hue maidaan mein Daud ke saath thahraye hue sthaan ko gaya.

36

तब उसने अपने छोकरे से कहा, दौड़कर जो जो तीर मैं चलाऊं उन्हें ढूंढ़ ले आ। छोकरा दौड़ता ही था, कि उसने एक तीर उसके परे चलाया।

Tab usne apne chhokre se kaha, daudkar jo jo teer main chalaun unhein dhoondh le aa. Chhokra daudta hi tha, ki usne ek teer uske pare chalaya.

37

जब छोकरा योनातन के चलाए तीर के स्थान पर पहुंचा, तब योनातन ने उसके पीछे से पुकार के कहा, तीर तो तेरी परली ओर है।

Jab chhokra yonatan ke chalaye teer ke sthaan par pahuncha, tab yonatan ne uske peechhe se pukaar ke kaha, teer to teri parli or hai.

38

फिर योनातन ने छोकरे के पीछे से पुकारकर कहा, बड़ी फुर्ती कर, ठहर मत। और योनातन ने छोकरे के पीछे से पुकार के कहा, बड़ी फुर्ती कर, ठहर मत! और योनातन का छोकरा तीरों को बटोर के अपने स्वामी के पास ल आया।

Phir yonatan ne chhokre ke peechhe se pukarkar kaha, badi phurti kar, thahar mat. Aur yonatan ne chhokre ke peechhe se pukaar ke kaha, badi phurti kar, thahar mat! Aur yonatan ka chhokra teeron ko bator ke apne swami ke paas la aaya.

39

इसका भेद छोकरा तो कुछ न जानता था; केवल योनातन और दाऊद इस बात को जानते थे।

Iska bhed chhokra to kuchh na janta tha; keval yonatan aur Daud is baat ko jante the.

40

और योनातन ने अपने हथियार अपने छोकरे को देकर कहा, जा, इन्हें नगर को पहुंचा।

Aur yonatan ne apne hathiyaar apne chhokre ko dekar kaha, ja, inhein nagar ko pahuncha.

41

ज्योंही छोकरा चला गया, त्योंही दाऊद दक्खिन दिशा की अलंग से निकला, और भूमि पर औंधे मुंह गिरके तीन बार दण्डवत की; तब उन्होंने एक दूसरे को चूमा, और एक दूसरे के साथ रोए, परन्तु दाऊद को रोना अधिक था।

Jyonhi chhokra chala gaya, tyonhi Daud dakkhin disha ki alang se nikla, aur bhoomi par aundhe munh girke teen baar dandavat ki; tab unhonne ek doosre ko chooma, aur ek doosre ke saath roye, parantu Daud ko rona adhik tha.

42

तब योनातन ने दाऊद से कहा, कुशल से चला जा; क्योंकि हम दोनों ने एक दूसरे से यह कहके यहोवा के नाम की शपथ खाई है, कि यहोवा मेरे और तेरे मध्य, और मेरे और तेरे वंश के मध्य में सदा रहे। तब वह उठ कर चला गया; और योनातन नगर में गया॥

Tab yonatan ne Daud se kaha, kushal se chala ja; kyonki ham donon ne ek doosre se yah kahke Yahowa ke naam ki shapath khai hai, ki Yahowa mere aur tere madhya, aur mere aur tere vansh ke madhya mein sada rahe. Tab vah uth kar chala gaya; aur yonatan nagar mein gaya.