1 Samuel 19 · 24 verses

1 शमूएल 19 1 Samuel 19 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 19.

1

और शाऊल ने अपने पुत्र योनातन और अपने सब कर्मचारियों से दाऊद को मार डालने की चर्चा की। परन्तु शाऊल का पुत्र योनातन दाऊद से बहुत प्रसन्न था।

Aur shaool ne apne putra yonatan aur apne sab karmachariyon se Daud ko maar dalne ki charcha ki. Parantu shaool ka putra yonatan Daud se bahut prasann tha.

2

और योनातन ने दाऊद को बताया, कि मेरा पिता तुझे मरवा डालना चाहता है; इसलिये तू बिहान को सावधान रहना, और किसी गुप्त स्थान में बैठा हुआ छिपा रहना;

Aur yonatan ne Daud ko bataya, ki mera pita tujhe marva dalna chahta hai; isliye tu bihaan ko savdhaan rahna, aur kisi gupt sthaan mein baitha huaa chhipa rahna;

3

और मैं मैदान में जहां तू होगा वहां जा कर अपने पिता के पास खड़ा हो कर उस से तेरी चर्चा करूंगा; और यदि मुझे कुछ मालूम हो तो तुझे बताऊंगा।

Aur main maidaan mein jahan tu hoga vahan ja kar apne pita ke paas khada ho kar us se teri charcha karoonga; aur yadi mujhe kuchh maloom ho to tujhe bataoonga.

4

और योनातन ने अपने पिता शाऊल से दाऊद की प्रशंसा करके उस से कहा, कि हे राजा, अपने दास दाऊद का अपराधी न हो; क्योंकि उसने तेरा कुछ अपराध नहीं किया, वरन उसके सब काम तेरे बहुत हित के हैं;

Aur yonatan ne apne pita shaool se Daud ki prashansa karke us se kaha, ki he raja, apne daas Daud ka apradhi na ho; kyonki usne tera kuchh apraadh nahi kiya, varan uske sab kaam tere bahut hit ke hain;

5

उसने अपने प्राण पर खेलकर उस पलिश्ती को मार डाला, और यहोवा ने समस्त इस्राएलियों की बड़ी जय कराई। इसे देखकर तू आनन्दित हुआ था; और तू दाऊद को अकारण मारकर निर्दोष के खून का पापी क्यों बने?

Usne apne praan par khelkar us palishti ko maar dala, aur Yahowa ne samast Israeliyon ki badi jay karai. Ise dekhkar tu aanandit huaa tha; aur tu Daud ko akaran markar nirdosh ke khoon ka papi kyon bane?

6

तब शाऊल ने योनातन की बात मानकर यह शपथ खाई, कि यहोवा के जीवन की शपथ, दाऊद मार डाला न जाएगा।

Tab shaool ne yonatan ki baat mankar yah shapath khai, ki Yahowa ke jeevan ki shapath, Daud maar dala na jayega.

7

तब योनातन ने दाऊद को बुलाकर ये समस्त बातें उसको बताई। फिर योनातन दाऊद को शाऊल के पास ले गया, और वह पहिले की नाईं उसके साम्हने रहने लगा॥

Tab yonatan ne Daud ko bulakar ye samast batein usko batai. Phir yonatan Daud ko shaool ke paas le gaya, aur vah pahile ki nai uske samhane rahne laga.

8

तब फिर लड़ाई होने लगी; और दाऊद जा कर पलिश्तियों से लड़ा, और उन्हें बड़ी मार से मारा, और वे उसके साम्हने से भाग गए।

Tab phir ladai hone lagi; aur Daud ja kar palishtiyon se lada, aur unhein badi maar se mara, aur ve uske samhane se bhaag gaye.

9

और जब शाऊल हाथ में भाला लिए हुए घर में बैठा था; और दाऊद हाथ से बजा रहा था, तब यहोवा की ओर से एक दुष्ट आत्मा शाऊल पर चढ़ा।

Aur jab shaool haath mein bhala liye hue ghar mein baitha tha; aur Daud haath se baja raha tha, tab Yahowa ki or se ek dusht aatma shaool par chadha.

10

और शाऊल ने चाहा, कि दाऊद को ऐसा मारे कि भाला उसे बेधते हुए भीत में धंस जाए; परन्तु दाऊद शाऊल के साम्हने से ऐसा हट गया कि भाला जा कर भीत ही में धंस गया। और दाऊद भागा, और उस रात को बच गया।

Aur shaool ne chaha, ki Daud ko aisa mare ki bhala use bedhte hue bheet mein dhans jaye; parantu Daud shaool ke samhane se aisa hat gaya ki bhala ja kar bheet hi mein dhans gaya. Aur Daud bhaga, aur us raat ko bach gaya.

11

और शाऊल ने दाऊद के घर पर दूत इसलिये भेजे कि वे उसकी घात में रहें, और बिहान को उसे मार डालें, तब दाऊद की स्त्री मीकल ने उसे यह कहकर जताया, कि यदि तू इस रात को अपना प्राण न बचाए, तो बिहान को मारा जाएगा।

Aur shaool ne Daud ke ghar par doot isliye bheje ki ve uski ghaat mein rahein, aur bihaan ko use maar dalein, tab Daud ki stri meekal ne use yah kahkar jataya, ki yadi tu is raat ko apna praan na bachaye, to bihaan ko mara jayega.

12

तब मीकल ने दाऊद को खिड़की से उतार दिया; और वह भाग कर बच निकला।

Tab meekal ne Daud ko khidki se utaar diya; aur vah bhaag kar bach nikla.

13

तब मीकल ने गृहदेवताओं को ले चारपाई पर लिटाया, और बकरियों के रोएं की तकिया उसके सिरहाने पर रखकर उन को वस्त्र ओढ़ा दिए।

Tab meekal ne grihdevtaon ko le charpai par litaya, aur bakriyon ke royen ki takiya uske sirhane par rakhkar un ko vastra odha diye.

14

जब शाऊल ने दाऊद को पकड़ लाने के लिये दूत भेजे, तब वह बोली, वह तो बीमार है।

Jab shaool ne Daud ko pakad lane ke liye doot bheje, tab vah boli, vah to beemaar hai.

15

तब शाऊल ने दूतों को दाऊद के देखने के लिये भेजा, और कहा, उसे चारपाई समेत मेरे पास लाओ कि मैं उसे मार डालूं।

Tab shaool ne dooton ko Daud ke dekhne ke liye bheja, aur kaha, use charpai samet mere paas lao ki main use maar dalun.

16

जब दूत भीतर गए, तब क्या देखते हैं कि चारपाई पर गृहदेवता पड़े हैं, और सिरहाने पर बकरियों के रोएं की तकिया है।

Jab doot bheetar gaye, tab kya dekhte hain ki charpai par grihdevta pade hain, aur sirhane par bakriyon ke royen ki takiya hai.

17

सो शाऊल ने मीकल से कहा, तू ने मुझे ऐसा धोखा क्यों दिया? तू ने मेरे शत्रु को ऐसा क्यों जाने दिया कि वह बच निकला है? मीकल ने शाऊल से कहा, उसने मुझ से कहा, कि मुझे जाने दे; मैं तुझे क्यों मार डालूं॥

So shaool ne meekal se kaha, tu ne mujhe aisa dhokha kyon diya? Tu ne mere shatru ko aisa kyon jane diya ki vah bach nikla hai? Meekal ne shaool se kaha, usne mujh se kaha, ki mujhe jane de; main tujhe kyon maar dalun.

18

और दाऊद भागकर बच निकला, और रामा में शमूएल के पास पहुंचकर जो कुछ शाऊल ने उस से किया था सब उसे कह सुनाया। तब वह और शमूएल जा कर नबायोत में रहने लगे।

Aur Daud bhagkar bach nikla, aur rama mein shamooyel ke paas pahunchkar jo kuchh shaool ne us se kiya tha sab use kah sunaya. Tab vah aur shamooyel ja kar nabayot mein rahne lage.

19

जब शाऊल को इसका समाचार मिला कि दाऊद रामा के नबायोत में है

Jab shaool ko iska samachaar mila ki Daud rama ke nabayot mein hai

20

तब शाऊल ने दाऊद के पकड़ लाने के लिये दूत भेजे; और जब शाऊल के दूतों ने नबियों के दल को नबूवत करते हुए, और शमूएल को उनकी प्रधानता करते हुए देखा, तब परमेश्वर का आत्मा उन पर चढ़ा, और वे भी नबूवत करने लगे।

Tab shaool ne Daud ke pakad lane ke liye doot bheje; aur jab shaool ke dooton ne nabiyon ke dal ko naboovat karte hue, aur shamooyel ko unki pradhanta karte hue dekha, tab Parmeshwar ka aatma un par chadha, aur ve bhi naboovat karne lage.

21

इसका समाचार पाकर शाऊल ने और दूत भेजे, और वे भी नबूवत करने लगे। फिर शाऊल ने तीसरी बार दूत भेजे, और वे भी नबूवत करने लगे।

Iska samachaar pakar shaool ne aur doot bheje, aur ve bhi naboovat karne lage. Phir shaool ne teesri baar doot bheje, aur ve bhi naboovat karne lage.

22

तब वह आप ही रामा को चला, और उस बड़े गड़हे पर जो सेकू में है पहुंचकर पूछने लगा, कि शमूएल और दाऊद कहां है? किसी ने कहा, वे तो रामा के नबायोत में हैं।

Tab vah aap hi rama ko chala, aur us bade gadhe par jo seku mein hai pahunchkar poochhne laga, ki shamooyel aur Daud kahan hai? Kisi ne kaha, ve to rama ke nabayot mein hain.

23

तब वह उधर, अर्थात रामा के नबायोत को चला; और परमेश्वर का आत्मा उस पर भी चढ़ा, और वह रामा के नबायोत को पहुंचने तक नबूवत करता हुआ चला गया।

Tab vah udhar, arthaat rama ke nabayot ko chala; aur Parmeshwar ka aatma us par bhi chadha, aur vah rama ke nabayot ko pahunchne tak naboovat karta huaa chala gaya.

24

और उसने भी अपने वस्त्र उतारे, और शमूएल के साम्हने नबूवत करने लगा, और भूमि पर गिरकर दिन और रात नंगा पड़ा रहा। इस कारण से यह कहावत चली, कि क्या शाऊल भी नबियों में से है?

Aur usne bhi apne vastra utare, aur shamooyel ke samhane naboovat karne laga, aur bhoomi par girkar din aur raat nanga pada raha. Is karan se yah kahavat chali, ki kya shaool bhi nabiyon mein se hai?