1 Samuel 2 · 36 verses

1 शमूएल 2 1 Samuel 2 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 2.

1

और हन्ना ने प्रार्थना करके कहा, मेरा मन यहोवा के कारण मगन है; मेरा सींग यहोवा के कारण ऊंचा, हुआ है। मेरा मुंह मेरे शत्रुओं के विरुद्ध खुल गया, क्योंकि मैं तेरे किए हुए उद्धार से आनन्दित हूं।

Aur hanna ne prarthana karke kaha, mera man Yahowa ke karan magan hai; mera seeng Yahowa ke karan ooncha, huaa hai. Mera munh mere shatruon ke viruddh khul gaya, kyonki main tere kiye hue uddhaar se aanandit hoon.

2

यहोवा के तुल्य कोई पवित्र नहीं, क्योंकि तुझ को छोड़ और कोई है ही नहीं; और हमारे परमेश्वर के समान कोई चट्टान नहीं है॥

Yahowa ke tulya koi pavitra nahi, kyonki tujh ko chhod aur koi hai hi nahi; aur hamare Parmeshwar ke samaan koi chattaan nahi hai.

3

फूलकर अहंकार की ओर बातें मत करो, और अन्धेर की बातें तुम्हारे मुंह से न निकलें; क्योंकि यहोवा ज्ञानी ईश्वर है, और कामों को तौलने वाला है॥

Phoolkar ahankaar ki or batein mat karo, aur andher ki batein tumhare munh se na niklein; kyonki Yahowa gyani ishwar hai, aur kamon ko taulne vala hai.

4

शूरवीरों के धनुष टूट गए, और ठोकर खाने वालों की कटि में बल का फेंटा कसा गया॥

Shoorveeron ke dhanush toot gaye, aur thokar khane valon ki kati mein bal ka phenta kasa gaya.

5

जो पेट भरते थे उन्हें रोटी के लिये मजदूरी करनी पड़ी, जो भूखे थे वे फिर ऐसे न रहे। वरन जो बांझ थी उसके सात हुए, और अनेक बालकों की माता घुलती जाती है।

Jo pet bharte the unhein roti ke liye majdoori karni padi, jo bhookhe the ve phir aise na rahe. Varan jo baanjh thi uske saat hue, aur anek balkon ki mata ghulti jati hai.

6

यहोवा मारता है और जिलाता भी है; वही अधोलोक में उतारता और उस से निकालता भी है॥

Yahowa marta hai aur jilata bhi hai; vahi adholok mein utarta aur us se nikalta bhi hai.

7

यहोवा निर्धन करता है और धनी भी बनाता है, वही नीचा करता और ऊंचा भी करता है।

Yahowa nirdhan karta hai aur dhani bhi banata hai, vahi neecha karta aur ooncha bhi karta hai.

8

वह कंगाल को धूलि में से उठाता; और दरिद्र को घूरे में से निकाल खड़ा करता है, ताकि उन को अधिपतियों के संग बिठाए, और महिमायुक्त सिंहासन के अधिकारी बनाए। क्योंकि पृथ्वी के खम्भे यहोवा के हैं, और उसने उन पर जगत को धरा है।

Vah kangaal ko dhooli mein se uthata; aur daridra ko ghoore mein se nikaal khada karta hai, taki un ko adhiptiyon ke sang bithaye, aur mahimayukt sinhasan ke adhikari banaye. Kyonki prithvi ke khambhe Yahowa ke hain, aur usne un par jagat ko dhara hai.

9

वह अपने भक्तों के पावों को सम्भाले रहेगा, परन्तु दुष्ट अन्धियारे में चुपचाप पड़े रहेंगे; क्योंकि कोई मनुष्य अपने बल के कारण प्रबल न होगा॥

Vah apne bhakton ke pavon ko sambhale rahega, parantu dusht andhiyare mein chupchaap pade rahenge; kyonki koi manushya apne bal ke karan prabal na hoga.

10

जो यहोवा से झगड़ते हैं वे चकनाचूर होंगे; वह उनके विरुद्ध आकाश में गरजेगा। यहोवा पृथ्वी की छोर तक न्याय करेगा; और अपने राजा को बल देगा, और अपने अभिषिक्त के सींग को ऊंचा करेगा॥

Jo Yahowa se jhagadte hain ve chaknachoor honge; vah unke viruddh aakaash mein garjega. Yahowa prithvi ki chhor tak nyaay karega; aur apne raja ko bal dega, aur apne abhishikt ke seeng ko ooncha karega.

11

तब एल्काना रामा को अपने घर चला गया। और वह बालक एली याजक के साम्हने यहोवा की सेवा टहल करने लगा॥

Tab elkana rama ko apne ghar chala gaya. Aur vah balak eli yajak ke samhane Yahowa ki seva tahal karne laga.

12

एली के पुत्र तो लुच्चे थे; उन्होंने यहोवा को न पहिचाना।

Eli ke putra to luchche the; unhonne Yahowa ko na pahichana.

13

और याजकों की रीति लोगों के साथ यह थी, कि जब कोई मनुष्य मेलबलि चढ़ाता था तब याजक का सेवक मांस पकाने के समय एक त्रिशूली कांटा हाथ में लिये हुए आकर,

Aur yajkon ki reeti logon ke saath yah thi, ki jab koi manushya melabli chadhata tha tab yajak ka sevak maans pakane ke samay ek trishooli kanta haath mein liye hue aakar,

14

उसे कड़ाही, वा हांडी, वा हंडे, वा तसले के भीतर डालता था; और जितना मांस कांटे में लग जाता था उतना याजक आप लेता था। यों ही वे शीलो में सारे इस्राएलियों से किया करते थे जो वहां आते थे।

Use kadahi, va handi, va hande, va tasle ke bheetar dalta tha; aur jitna maans kante mein lag jata tha utna yajak aap leta tha. Yon hi ve sheelo mein sare Israeliyon se kiya karte the jo vahan aate the.

15

और चर्बी जलाने से पहिले भी याजक का सेवक आकर मेलबलि चढ़ाने वाले से कहता था, कि कबाब के लिये याजक को मांस दे; वह तुझ से पका हुआ नहीं, कच्चा ही मांस लेगा।

Aur charbi jalane se pahile bhi yajak ka sevak aakar melabli chadhane vale se kahta tha, ki kabaab ke liye yajak ko maans de; vah tujh se paka huaa nahi, kachcha hi maans lega.

16

और जब कोई उस से कहता, कि निश्चय चर्बी अभी जलाई जाएगी, तब जितना तेरा जी चाहे उतना ले लेना, तब वह कहता था, नहीं, अभी दे; नहीं तो मैं छीन लूंगा।

Aur jab koi us se kahta, ki nishchay charbi abhi jalai jayegi, tab jitna tera ji chahe utna le lena, tab vah kahta tha, nahi, abhi de; nahi to main chheen loonga.

17

इसलिये उन जवानों का पाप यहोवा की दृष्टि में बहुत भारी हुआ; क्योंकि वे मनुष्य यहोवा की भेंट का तिरस्कार करते थे॥

Isliye un javanon ka paap Yahowa ki drishti mein bahut bhari huaa; kyonki ve manushya Yahowa ki bhent ka tiraskaar karte the.

18

परन्तु शमूएल जो बालक था सनी का एपोद पहिने हुए यहोवा के साम्हने सेवा टहल किया करता था।

Parantu shamooyel jo balak tha sani ka epod pahine hue Yahowa ke samhane seva tahal kiya karta tha.

19

और उसकी माता प्रति वर्ष उसके लिये एक छोटा सा बागा बनाकर जब अपने पति के संग प्रति वर्ष की मेलबलि चढ़ाने आती थी तब बागे को उसके पास लाया करती थी।

Aur uski mata prati varsh uske liye ek chhota sa baga banakar jab apne pati ke sang prati varsh ki melabli chadhane aati thi tab bage ko uske paas laya karti thi.

20

और एली ने एल्काना और उसकी पत्नी को आशीर्वाद देकर कहा, यहोवा इस अर्पण किए हुए बालक की सन्ती जो उसको अर्पण किया गया है तुझ को इस पत्नी से वंश दे; तब वे अपने यहां चले गए।

Aur eli ne elkana aur uski patni ko aasheervaad dekar kaha, Yahowa is arpan kiye hue balak ki santi jo usko arpan kiya gaya hai tujh ko is patni se vansh de; tab ve apne yahan chale gaye.

21

और यहोवा ने हन्ना की सुधि ली, और वह गर्भवती हुई ओर उसके तीन बेटे और दो बेटियां उत्पन्न हुई। और शमूएल बालक यहोवा के संग रहता हुआ बढ़ता गया।

Aur Yahowa ne hanna ki sudhi li, aur vah garbhavti hui or uske teen bete aur do betiyan utpann hui. Aur shamooyel balak Yahowa ke sang rahta huaa badhta gaya.

22

और एली तो अति बूढ़ा हो गया था, और उसने सुना कि मेरे पुत्र सारे इस्राएल से कैसा कैसा व्यवहार करते हैं, वरन मिलापवाले तम्बू के द्वार पर सेवा करने वाली स्त्रियों के संग कुकर्म भी करते हैं।

Aur eli to ati boodha ho gaya tha, aur usne suna ki mere putra sare Israel se kaisa kaisa vyavhaar karte hain, varan milapvale tambu ke dwaar par seva karne vali striyon ke sang kukarm bhi karte hain.

23

तब उसने उन से कहा, तुम ऐसे ऐसे काम क्यों करते हो? मैं तो इन सब लोगों से तुम्हारे कुकर्मों की चर्चा सुना करता हूं।

Tab usne un se kaha, tum aise aise kaam kyon karte ho? Main to in sab logon se tumhare kukarmon ki charcha suna karta hoon.

24

हे मेरे बेटों, ऐसा न करो, क्योंकि जो समाचार मेरे सुनने में आता है वह अच्छा नहीं; तुम तो यहोवा की प्रजा से अपराध कराते हो।

He mere beton, aisa na karo, kyonki jo samachaar mere sunne mein aata hai vah achchha nahi; tum to Yahowa ki praja se apraadh karate ho.

25

यदि एक मनुष्य दूसरे मनुष्य का अपराध करे, तब तो परमेश्वर उसका न्याय करेगा; परन्तु यदि कोई मनुष्य यहोवा के विरुद्ध पाप करे, तो उसके लिये कौन बिनती करेगा? तौभी उन्होंने अपने पिता की बात न मानी; क्योंकि यहोवा की इच्छा उन्हें मार डालने की थी।

Yadi ek manushya doosre manushya ka apraadh kare, tab to Parmeshwar uska nyaay karega; parantu yadi koi manushya Yahowa ke viruddh paap kare, to uske liye kaun binti karega? Taubhi unhonne apne pita ki baat na mani; kyonki Yahowa ki ichchha unhein maar dalne ki thi.

26

परन्तु शमूएल बालक बढ़ता गया और यहोवा और मनुष्य दोनों उस से प्रसन्न रहते थे॥

Parantu shamooyel balak badhta gaya aur Yahowa aur manushya donon us se prasann rahte the.

27

और परमेश्वर का एक जन एली के पास जा कर उस से कहने लगा, यहोवा यों कहता है, कि जब तेरे मूलपुरूष का घराना मिस्र में फिरौन के घराने के वश में था, तब क्या मैं उस पर निश्चय प्रगट न हुआ था?

Aur Parmeshwar ka ek jan eli ke paas ja kar us se kahne laga, Yahowa yon kahta hai, ki jab tere moolpuroosh ka gharana Misr mein Firaun ke gharane ke vash mein tha, tab kya main us par nishchay pragat na huaa tha?

28

और क्या मैं ने उसे इस्राएल के सब गोत्रों में से इसलिये चुन नहीं लिया था, कि मेरा याजक हो कर मेरी वेदी के ऊपर चढ़ावे चढ़ाए, और धूप जलाए, और मेरे साम्हने एपोद पहिना करे? और क्या मैं ने तेरे मूलपुरूष के घराने को इस्राएलियों के कुल हव्य न दिए थे?

Aur kya main ne use Israel ke sab gotron mein se isliye chun nahi liya tha, ki mera yajak ho kar meri vedi ke oopar chadhave chadhaye, aur dhoop jalaye, aur mere samhane epod pahina kare? Aur kya main ne tere moolpuroosh ke gharane ko Israeliyon ke kul havya na diye the?

29

इसलिये मेरे मेलबलि और अन्नबलि जिन को मैं ने अपने धाम में चढ़ाने की आज्ञा दी है, उन्हें तुम लोग क्यों पांव तले रौंदते हो? और तू क्यों अपने पुत्रों का आदर मेरे आदर से अधिक करता है, कि तुम लोग मेरी इस्राएली प्रजा की अच्छी से अच्छी भेंटें खा खाके मोटे हो जाओ?

Isliye mere melabli aur annabli jin ko main ne apne dhaam mein chadhane ki aagya di hai, unhein tum log kyon paanv tale raundte ho? Aur tu kyon apne putron ka aadar mere aadar se adhik karta hai, ki tum log meri Israeli praja ki achchhi se achchhi bhentein kha khake mote ho jao?

30

इसलिये इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की यह वाणी है, कि मैं ने कहा तो था, कि तेरा घराना और तेरे मूलपुरूष का घराना मेरे साम्हने सदैव चला करेगा; परन्तु अब यहोवा की वाणी यह है, कि यह बात मुझ से दूर हो; क्योंकि जो मेरा आदर करें मैं उनका आदर करूंगा, और जो मुझे तुच्छ जानें वे छोटे समझे जाएंगे।

Isliye Israel ke Parmeshwar Yahowa ki yah vani hai, ki main ne kaha to tha, ki tera gharana aur tere moolpuroosh ka gharana mere samhane sadaiv chala karega; parantu ab Yahowa ki vani yah hai, ki yah baat mujh se door ho; kyonki jo mera aadar karein main unka aadar karoonga, aur jo mujhe tuchchh janein ve chhote samjhe jayenge.

31

सुन, वे दिन आते हैं, कि मैं तेरा भुजबल और तेरे मूलपुरूष के घराने का भुजबल ऐसा तोड़ डालूंगा, कि तेरे घराने में कोई बूढ़ा होने न पाएगा।

Sun, ve din aate hain, ki main tera bhujbal aur tere moolpuroosh ke gharane ka bhujbal aisa tod daloonga, ki tere gharane mein koi boodha hone na payega.

32

इस्राएल का कितना ही कल्याण क्यों न हो, तौभी तुझे मेरे धाम का दु:ख देख पड़ेगा, और तेरे घराने में कोई कभी बूढ़ा न होने पाएगा।

Israel ka kitna hi kalyaan kyon na ho, taubhi tujhe mere dhaam ka dukh dekh padega, aur tere gharane mein koi kabhi boodha na hone payega.

33

मैं तेरे कुल के सब किसी से तो अपनी वेदी की सेवा न छीनूंगा, परन्तु तौभी तेरी आंखें देखती रह जाएंगी, और तेरा मन शोकित होगा, और तेरे घर की बढ़ती सब अपनी पूरी जवानी ही में मर मिटेंगें।

Main tere kul ke sab kisi se to apni vedi ki seva na chheenoonga, parantu taubhi teri aankhein dekhti rah jayengi, aur tera man shokit hoga, aur tere ghar ki badhti sab apni poori javani hi mein mar mitengein.

34

और मेरी इस बात का चिन्ह वह विपत्ति होगी जो होप्नी और पीनहास नाम तेरे दोनों पुत्रों पर पड़ेगी; अर्थात वे दोनों के दोनों एक ही दिन मर जाएंगे।

Aur meri is baat ka chinh vah vipatti hogi jo hopni aur peenhaas naam tere donon putron par padegi; arthaat ve donon ke donon ek hi din mar jayenge.

35

और मैं अपने लिये एक विश्वासयोग्य याजक ठहराऊंगा, जो मेरे हृदय और मन की इच्छा के अनुसार किया करेगा, और मैं उसका घर बसाऊंगा और स्थिर करूंगा, और वह मेरे अभिषिक्त के आगे सब दिन चला फिरा करेगा।

Aur main apne liye ek vishwasyogya yajak thahraoonga, jo mere hriday aur man ki ichchha ke anusaar kiya karega, aur main uska ghar basaoonga aur sthir karoonga, aur vah mere abhishikt ke aage sab din chala phira karega.

36

और ऐसा होगा कि जो कोई तेरे घराने में बचा रहेगा वह उसी के पास जा कर एक छोटे से टुकड़े चान्दी के वा एक रोटी के लिये दण्डवत करके कहेगा, याजक के किसी काम में मुझे लगा, जिस से मुझे एक टुकड़ा रोटी मिले॥

Aur aisa hoga ki jo koi tere gharane mein bacha rahega vah usi ke paas ja kar ek chhote se tukde chandi ke va ek roti ke liye dandavat karke kahega, yajak ke kisi kaam mein mujhe laga, jis se mujhe ek tukda roti mile.