1 Samuel 18 · 30 verses

1 शमूएल 18 1 Samuel 18 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 18.

1

जब वह शाऊल से बातें कर चुका, तब योनातान का मन दाऊद पर ऐसा लग गया, कि योनातान उसे अपने प्राण के बराबर प्यार करने लगा।

Jab vah shaool se batein kar chuka, tab yonataan ka man Daud par aisa lag gaya, ki yonataan use apne praan ke barabar pyaar karne laga.

2

और उस दिन से शाऊल ने उसे अपने पास रखा, और पिता के घर को फिर लौटने न दिया।

Aur us din se shaool ne use apne paas rakha, aur pita ke ghar ko phir lautne na diya.

3

तब योनातान ने दाऊद से वाचा बान्धी, क्योंकि वह उसको अपने प्राण के बराबर प्यार करता था।

Tab yonataan ne Daud se vacha bandhi, kyonki vah usko apne praan ke barabar pyaar karta tha.

4

और योनातान ने अपना बागा जो वह स्वयं पहिने था उतारकर अपने वस्त्र समेत दाऊद को दे दिया, वरन अपनी तलवार और धनुष और कटिबन्ध भी उसको दे दिए।

Aur yonataan ne apna baga jo vah swayan pahine tha utarkar apne vastra samet Daud ko de diya, varan apni talvaar aur dhanush aur katibandh bhi usko de diye.

5

और जहां कहीं शाऊल दाऊद को भेजता था वहां वह जा कर बुद्धिमानी के साथ काम करता था; और शाऊल ने उसे योद्धाओं का प्रधान नियुक्त किया। और समस्त प्रजा के लोग और शाऊल के कर्मचारी उस से प्रसन्न थे॥

Aur jahan kahi shaool Daud ko bhejta tha vahan vah ja kar buddhimani ke saath kaam karta tha; aur shaool ne use yoddhaon ka pradhaan niyukt kiya. Aur samast praja ke log aur shaool ke karmachari us se prasann the.

6

जब दाऊद उस पलिश्ती को मारकर लौटा आता था, और वे सब लोग भी आ रहे थे, तब सब इस्राएली नगरों से स्त्रियों ने निकलकर डफ और तिकोने बाजे लिए हुए, आनन्द के साथ गाती और नाचती हुई, शाऊल राजा के स्वागत में निकलीं।

Jab Daud us palishti ko markar lauta aata tha, aur ve sab log bhi aa rahe the, tab sab Israeli nagron se striyon ne nikalkar daph aur tikone baje liye hue, aanand ke saath gati aur nachti hui, shaool raja ke swagat mein nikli.

7

और वे स्त्रियां नाचती हुई एक दूसरी के साथ यह गाती गईं, कि शाऊल ने तो हजारों को, परन्तु दाऊद ने लाखों को मारा है॥

Aur ve striyan nachti hui ek doosri ke saath yah gati gai, ki shaool ne to hajaron ko, parantu Daud ne lakhon ko mara hai.

8

तब शाऊल अति क्रोधित हुआ, और यह बात उसको बुरी लगी; और वह कहने लगा, उन्होंने दाऊद के लिये तो लाखों और मेरे लिये हजारों को ठहराया; इसलिये अब राज्य को छोड़ उसको अब क्या मिलना बाकी है?

Tab shaool ati krodhit huaa, aur yah baat usko buri lagi; aur vah kahne laga, unhonne Daud ke liye to lakhon aur mere liye hajaron ko thahraya; isliye ab rajya ko chhod usko ab kya milna baki hai?

9

तब उस दिन से भविष्य में शाऊल दाऊद की ताक में लगा रहा॥

Tab us din se bhavishya mein shaool Daud ki taak mein laga raha.

10

दूसरे दिन परमेश्वर की ओर से एक दुष्ट आत्मा शाऊल पर बल से उतरा, और वह अपने घर के भीतर नबूवत करने लगा; दाऊद प्रति दिवस की नाईं अपने हाथ से बजा रहा था। और शाऊल अपने हाथ में अपना भाला लिए हुए था;

Doosre din Parmeshwar ki or se ek dusht aatma shaool par bal se utra, aur vah apne ghar ke bheetar naboovat karne laga; Daud prati divas ki nai apne haath se baja raha tha. Aur shaool apne haath mein apna bhala liye hue tha;

11

तब शाऊल ने यह सोचकर, कि मैं ऐसा मारूंगा कि भाला दाऊद को बेधकर भीत में धंस जाए, भाले को चलाया, परन्तु दाऊद उसके साम्हने से दो बार हट गया।

Tab shaool ne yah sochkar, ki main aisa maroonga ki bhala Daud ko bedhkar bheet mein dhans jaye, bhale ko chalaya, parantu Daud uske samhane se do baar hat gaya.

12

और शाऊल दाऊद से डरा करता था, क्योंकि यहोवा दाऊद के साथ था और शाऊल के पास से अलग हो गया था।

Aur shaool Daud se dara karta tha, kyonki Yahowa Daud ke saath tha aur shaool ke paas se alag ho gaya tha.

13

शाऊल ने उसको अपने पास से अलग करके सहस्रपति किया, और वह प्रजा के साम्हने आया जाया करता था।

Shaool ne usko apne paas se alag karke sahasrapti kiya, aur vah praja ke samhane aaya jaya karta tha.

14

और दाऊद अपनी समस्त चाल में बुद्धिमानी दिखाता था; और यहोवा उसके साथ साथ था।

Aur Daud apni samast chaal mein buddhimani dikhata tha; aur Yahowa uske saath saath tha.

15

और जब शाऊल ने देखा कि वह बहुत बुद्धिमान है, तब वह उस से डर गया।

Aur jab shaool ne dekha ki vah bahut buddhimaan hai, tab vah us se dar gaya.

16

परन्तु इस्राएल और यहूदा के समस्त लोग दाऊद से प्रेम रखते थे; क्योंकि वह उनके देखते आया जाया करता था॥

Parantu Israel aur Yahuda ke samast log Daud se prem rakhte the; kyonki vah unke dekhte aaya jaya karta tha.

17

और शाऊल ने यह सोचकर, कि मेरा हाथ नहीं, वरन पलिश्तियों ही का हाथ दाऊद पर पड़े, उस से कहा, सुन, मैं अपनी बड़ी बेटी मेरब को तुझे ब्याह दूंगा; इतना कर, कि तू मेरे लिये वीरता के साथ यहोवा की ओर से युद्ध कर।

Aur shaool ne yah sochkar, ki mera haath nahi, varan palishtiyon hi ka haath Daud par pade, us se kaha, sun, main apni badi beti merab ko tujhe byaah doonga; itna kar, ki tu mere liye veerta ke saath Yahowa ki or se yuddh kar.

18

दाऊद ने शाऊल से कहा, मैं क्या हूं, और मेरा जीवन क्या है, और इस्राएल में मेरे पिता का कुल क्या है, कि मैं राजा का दामाद हो जाऊं?

Daud ne shaool se kaha, main kya hoon, aur mera jeevan kya hai, aur Israel mein mere pita ka kul kya hai, ki main raja ka damaad ho jaun?

19

जब समय आ गया कि शाऊल की बेटी मेरब दाऊद से ब्याही जाए, तब वह महोलाई अद्रीएल से ब्याही गई।

Jab samay aa gaya ki shaool ki beti merab Daud se byahi jaye, tab vah maholai adreeyel se byahi gai.

20

और शाऊल की बेटी मीकल दाऊद से प्रीति रखने लगी; और जब इस बात का समाचार शाऊल को मिला, तब वह प्रसन्न हुआ।

Aur shaool ki beti meekal Daud se preeti rakhne lagi; aur jab is baat ka samachaar shaool ko mila, tab vah prasann huaa.

21

शाऊल तो सोचता था, कि वह उसके लिये फन्दा हो, और पलिश्तियों का हाथ उस पर पड़े। और शाऊल ने दाऊद से कहा, अब की बार तो तू अवश्य ही मेरा दामाद हो जाएगा।

Shaool to sochta tha, ki vah uske liye phanda ho, aur palishtiyon ka haath us par pade. Aur shaool ne Daud se kaha, ab ki baar to tu avashya hi mera damaad ho jayega.

22

फिर शाऊल ने अपने कर्मचारियों को आज्ञा दी, कि दाऊद से छिपकर ऐसी बातें करो, कि सुन, राजा तुझ से प्रसन्न है, और उसके सब कर्मचारी भी तुझ से प्रेम रखते हैं; इसलिये अब तू राजा का दामाद हो जा।

Phir shaool ne apne karmachariyon ko aagya di, ki Daud se chhipkar aisi batein karo, ki sun, raja tujh se prasann hai, aur uske sab karmachari bhi tujh se prem rakhte hain; isliye ab tu raja ka damaad ho ja.

23

तब शाऊल के कर्मचारियों ने दाऊद से ऐसी ही बातें कहीं। परन्तु दाऊद ने कहा, मैं तो निर्धन और तुच्छ मनुष्य हूं, फिर क्या तुम्हारी दृष्टि में राजा का दामाद होना छोटी बात है?

Tab shaool ke karmachariyon ne Daud se aisi hi batein kahi. Parantu Daud ne kaha, main to nirdhan aur tuchchh manushya hoon, phir kya tumhari drishti mein raja ka damaad hona chhoti baat hai?

24

जब शाऊल के कर्मचारियों ने उसे बताया, कि दाऊद ने ऐसी ऐसी बातें कहीं।

Jab shaool ke karmachariyon ne use bataya, ki Daud ne aisi aisi batein kahi.

25

तब शाऊल ने कहा, तुम दाऊद से यों कहो, कि राजा कन्या का मोल तो कुछ नहीं चाहता, केवल पलिश्तियों की एक सौ खलड़ियां चाहता है, कि वह अपने शत्रुओं से पलटा ले। शाऊल की मनसा यह थी, कि पलिश्तियों से दाऊद को मरवा डाले।

Tab shaool ne kaha, tum Daud se yon kaho, ki raja kanya ka mol to kuchh nahi chahta, keval palishtiyon ki ek sau khaldiyan chahta hai, ki vah apne shatruon se palta le. Shaool ki mansa yah thi, ki palishtiyon se Daud ko marva dale.

26

जब उसके कर्मचारियों ने दाऊद से यह बातें बताईं, तब वह राजा का दामाद होने को प्रसन्न हुआ। जब ब्याह के दिन कुछ रह गए,

Jab uske karmachariyon ne Daud se yah batein batai, tab vah raja ka damaad hone ko prasann huaa. Jab byaah ke din kuchh rah gaye,

27

तब दाऊद अपने जनों को संग ले कर चला, और पलिश्तियों के दो सौ पुरूषों को मारा; तब दाऊद उनकी खलड़ियों को ले आया, और वे राजा को गिन गिन कर दी गईं, इसलिये कि वह राजा का दामाद हो जाए। और शाऊल ने अपनी बेटी मीकल को उसे ब्याह दिया।

Tab Daud apne janon ko sang le kar chala, aur palishtiyon ke do sau purooshon ko mara; tab Daud unki khaldiyon ko le aaya, aur ve raja ko gin gin kar di gai, isliye ki vah raja ka damaad ho jaye. Aur shaool ne apni beti meekal ko use byaah diya.

28

जब शाऊल ने देखा, और निश्चय किया कि यहोवा दाऊद के साथ है, और मेरी बेटी मीकल उस से प्रेम रखती है,

Jab shaool ne dekha, aur nishchay kiya ki Yahowa Daud ke saath hai, aur meri beti meekal us se prem rakhti hai,

29

तब शाऊल दाऊद से और भी डर गया। और शाऊल सदा के लिये दाऊद का बैरी बन गया॥

Tab shaool Daud se aur bhi dar gaya. Aur shaool sada ke liye Daud ka bairi ban gaya.

30

फिर पलिश्तियों के प्रधान निकल आए, और जब जब वे निकल आए तब तब दाऊद ने शाऊल के और सब कर्मचारियों से अधिक बुद्धिमानी दिखाई; इस से उसका नाम बहुत बड़ा हो गया॥

Phir palishtiyon ke pradhaan nikal aaye, aur jab jab ve nikal aaye tab tab Daud ne shaool ke aur sab karmachariyon se adhik buddhimani dikhai; is se uska naam bahut bada ho gaya.