1 Samuel 15 · 35 verses

1 शमूएल 15 1 Samuel 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 shamooyel 15.

1

शमूएल ने शाऊल से कहा, यहोवा ने अपनी प्रजा इस्राएल पर राज्य करने के लिये तेरा अभिषेक करने को मुझे भेजा था; इसलिये अब यहोवा की बातें सुन ले।

Shamooyel ne shaool se kaha, Yahowa ne apni praja Israel par rajya karne ke liye tera abhishek karne ko mujhe bheja tha; isliye ab Yahowa ki batein sun le.

2

सेनाओं का यहोवा यों कहता है, कि मुझे चेत आता है कि अमालेकियों ने इस्राएलियों से क्या किया; और जब इस्राएली मिस्र से आ रहे थे, तब उन्होंने मार्ग में उनका साम्हना किया।

Senaon ka Yahowa yon kahta hai, ki mujhe chet aata hai ki amalekiyon ne Israeliyon se kya kiya; aur jab Israeli Misr se aa rahe the, tab unhonne maarg mein unka samhana kiya.

3

इसलिये अब तू जा कर अमालेकियों को मार, और जो कुछ उनका है उसे बिना कोमलता किए सत्यानाश कर; क्या पुरूष, क्या स्त्री, क्या बच्चा, क्या दूधपिउवा, क्या गाय-बैल, क्या भेड़-बकरी, क्या ऊंट, क्या गदहा, सब को मार डाल॥

Isliye ab tu ja kar amalekiyon ko maar, aur jo kuchh unka hai use bina komalta kiye satyanaash kar; kya puroosh, kya stri, kya bachcha, kya doodhpiuva, kya gaay-bail, kya bhed-bakri, kya oont, kya gadha, sab ko maar daal.

4

तब शाऊल ने लोगों को बुलाकर इकट्ठा किया, और उन्हें तलाईम में गिना, और वे दो लाख प्यादे, और दस हजार यहूदी पुरूष भी थे।

Tab shaool ne logon ko bulakar ikattha kiya, aur unhein talaim mein gina, aur ve do laakh pyade, aur das hajaar Yahudi puroosh bhi the.

5

तब शाऊल ने अमालेक नगर के पास जा कर एक नाले में घातकों को बिठाया।

Tab shaool ne amalek nagar ke paas ja kar ek nale mein ghatkon ko bithaya.

6

और शाऊल ने केनियों से कहा, कि वहां से हटो, अमालेकियों के मध्य में से निकल जाओ कहीं ऐसा न हो कि मैं उनके साथ तुम्हारा भी अन्त कर डालूं; क्योंकि तुम ने सब इस्राएलियों पर उनके मिस्र से आते समय प्रीति दिखाई थी। और केनी अमालेकियों के मध्य में से निकल गए।

Aur shaool ne keniyon se kaha, ki vahan se hato, amalekiyon ke madhya mein se nikal jao kahi aisa na ho ki main unke saath tumhara bhi ant kar dalun; kyonki tum ne sab Israeliyon par unke Misr se aate samay preeti dikhai thi. Aur keni amalekiyon ke madhya mein se nikal gaye.

7

तब शाऊल ने हवीला से ले कर शूर तक जो मिस्र के साम्हने है अमालेकियों को मारा।

Tab shaool ne haveela se le kar shoor tak jo Misr ke samhane hai amalekiyon ko mara.

8

और उनके राजा अगाग को जीवित पकड़ा, और उसकी सब प्रजा को तलवार से सत्यानाश कर डाला।

Aur unke raja agaag ko jeevit pakda, aur uski sab praja ko talvaar se satyanaash kar dala.

9

परन्तु अगाग पर, और अच्छी से अच्छी भेड़-बकरियों, गाय-बैलों, मोटे पशुओं, और मेम्नों, और जो कुछ अच्छा था, उन पर शाऊल और उसकी प्रजा ने कोमलता की, और उन्हें सत्यानाश करना न चाहा; परन्तु जो कुछ तुच्छ और निकम्मा था उसको उन्होंने सत्यानाश किया॥

Parantu agaag par, aur achchhi se achchhi bhed-bakriyon, gaay-bailon, mote pashuon, aur memnon, aur jo kuchh achchha tha, un par shaool aur uski praja ne komalta ki, aur unhein satyanaash karna na chaha; parantu jo kuchh tuchchh aur nikamma tha usko unhonne satyanaash kiya.

10

तब यहोवा का यह वचन शमूएल के पास पहुंचा,

Tab Yahowa ka yah vachan shamooyel ke paas pahuncha,

11

कि मैं शाऊल को राजा बना के पछताता हूं; क्योंकि उसने मेरे पीछे चलना छोड़ दिया, और मेरी आज्ञाओं का पालन नहीं किया। तब शमूएल का क्रोध भड़का; और वह रात भर यहोवा की दोहाई देता रहा।

Ki main shaool ko raja bana ke pachhtata hoon; kyonki usne mere peechhe chalna chhod diya, aur meri aagyaon ka palan nahi kiya. Tab shamooyel ka krodh bhadka; aur vah raat bhar Yahowa ki dohai deta raha.

12

बिहान को जब शमूएल शाऊल से भेंट करने के लिये सवेरे उठा; तब शमूएल को यह बताया गया, कि शाऊल कर्म्मेल को आया था, और अपने लिये एक निशानी खड़ी की, और घूमकर गिलगाल को चला गया है।

Bihaan ko jab shamooyel shaool se bhent karne ke liye savere utha; tab shamooyel ko yah bataya gaya, ki shaool karmmel ko aaya tha, aur apne liye ek nishani khadi ki, aur ghoomkar gilgaal ko chala gaya hai.

13

तब शमूएल शाऊल के पास गया, और शाऊल ने उस से कहा, तुझे यहोवा की ओर से आशीष मिले; मैं ने यहोवा की आज्ञा पूरी की है।

Tab shamooyel shaool ke paas gaya, aur shaool ne us se kaha, tujhe Yahowa ki or se aasheesh mile; main ne Yahowa ki aagya poori ki hai.

14

शमूएल ने कहा, फिर भेड़-बकरियों का यह मिमियाना, और गय-बैलों का यह बंबाना जो मुझे सुनाई देता है, यह क्यों हो रहा है?

Shamooyel ne kaha, phir bhed-bakriyon ka yah mimiyana, aur gay-bailon ka yah bambana jo mujhe sunai deta hai, yah kyon ho raha hai?

15

शाऊल ने कहा, वे तो अमालेकियों के यहां से आए हैं; अर्थात प्रजा के लोगों ने अच्छी से अच्छी भेड़-बकरियों और गाय-बैलों को तेरे परमेश्वर यहोवा के लिये बलि करने को छोड़ दिया है; और बाकी सब को तो हम ने सत्यानाश कर दिया है।

Shaool ne kaha, ve to amalekiyon ke yahan se aaye hain; arthaat praja ke logon ne achchhi se achchhi bhed-bakriyon aur gaay-bailon ko tere Parmeshwar Yahowa ke liye bali karne ko chhod diya hai; aur baki sab ko to ham ne satyanaash kar diya hai.

16

तब शमूएल ने शाऊल से कहा, ठहर जा! और जो बात यहोवा ने आज रात को मुझ से कही है वह मैं तुझ को बताता हूं। उसने कहा, कह दे।

Tab shamooyel ne shaool se kaha, thahar ja! Aur jo baat Yahowa ne aaj raat ko mujh se kahi hai vah main tujh ko batata hoon. Usne kaha, kah de.

17

शमूएल ने कहा, जब तू अपनी दृष्टि में छोटा था, तब क्या तू इस्राएली गोत्रियों का प्रधान न हो गया, और क्या यहोवा ने इस्राएल पर राज्य करने को तेरा अभिषेक नहीं किया?

Shamooyel ne kaha, jab tu apni drishti mein chhota tha, tab kya tu Israeli gotriyon ka pradhaan na ho gaya, aur kya Yahowa ne Israel par rajya karne ko tera abhishek nahi kiya?

18

और यहोवा ने तुझे यात्रा करने की आज्ञा दी, और कहा, जा कर उन पापी अमालेकियों को सत्यानाश कर, और जब तक वे मिट न जाएं, तब तक उन से लड़ता रह।

Aur Yahowa ne tujhe yatra karne ki aagya di, aur kaha, ja kar un papi amalekiyon ko satyanaash kar, aur jab tak ve mit na jayen, tab tak un se ladta rah.

19

फिर तू ने किस लिये यहोवा की वह बात टालकर लूट पर टूट के वह काम किया जो यहोवा की दृष्टि में बुरा है?

Phir tu ne kis liye Yahowa ki vah baat talkar loot par toot ke vah kaam kiya jo Yahowa ki drishti mein bura hai?

20

शाऊल ने शमूएल से कहा, नि:सन्देह मैं ने यहोवा की बात मानकर जिधर यहोवा ने मुझे भेजा उधर चला, और अमालेकियों को सत्यानाश किया है।

Shaool ne shamooyel se kaha, nisandeh main ne Yahowa ki baat mankar jidhar Yahowa ne mujhe bheja udhar chala, aur amalekiyon ko satyanaash kiya hai.

21

परन्तु प्रजा के लोग लूट में से भेड़-बकरियों, और गाय-बैलों, अर्थात सत्यानाश होने की उत्तम उत्तम वस्तुओं को गिलगाल में तेरे परमेश्वर यहोवा के लिये बलि चढ़ाने को ले आए हैं।

Parantu praja ke log loot mein se bhed-bakriyon, aur gaay-bailon, arthaat satyanaash hone ki uttam uttam vastuon ko gilgaal mein tere Parmeshwar Yahowa ke liye bali chadhane ko le aaye hain.

22

शमूएल ने कहा, क्या यहोवा होमबलियों, और मेलबलियों से उतना प्रसन्न होता है, जितना कि अपनी बात के माने जाने से प्रसन्न होता है? सुन मानना तो बलि चढ़ाने और कान लगाना मेढ़ों की चर्बी से उत्तम है।

Shamooyel ne kaha, kya Yahowa homabliyon, aur melabliyon se utna prasann hota hai, jitna ki apni baat ke mane jane se prasann hota hai? Sun manna to bali chadhane aur kaan lagana medhon ki charbi se uttam hai.

23

देख बलवा करना और भावी कहने वालों से पूछना एक ही समान पाप है, और हठ करना मूरतों और गृहदेवताओं की पूजा के तुल्य है। तू ने जो यहोवा की बात को तुच्छ जाना, इसलिये उसने तुझे राजा होने के लिये तुच्छ जाना है।

Dekh balva karna aur bhavi kahne valon se poochhna ek hi samaan paap hai, aur hath karna moorton aur grihdevtaon ki pooja ke tulya hai. Tu ne jo Yahowa ki baat ko tuchchh jana, isliye usne tujhe raja hone ke liye tuchchh jana hai.

24

शाऊल ने शमूएल से कहा, मैं ने पाप किया है; मैं ने तो अपनी प्रजा के लोगों का भय मानकर और उनकी बात सुनकर यहोवा की आज्ञा और तेरी बातों का उल्लंघन किया है।

Shaool ne shamooyel se kaha, main ne paap kiya hai; main ne to apni praja ke logon ka bhay mankar aur unki baat sunkar Yahowa ki aagya aur teri baton ka ullanghan kiya hai.

25

परन्तु अब मेरे पाप को क्षमा कर, और मेरे साथ लौट आ, कि मैं यहोवा को दण्डवत करूं।

Parantu ab mere paap ko kshama kar, aur mere saath laut aa, ki main Yahowa ko dandavat karun.

26

शमूएल ने शाऊल से कहा, मैं तेरे साथ न लौटूंगा; क्योंकि तू ने यहोवा की बात को तुच्छ जाना है, और यहोवा ने तुझे इस्राएल का राजा होने के लिये तुच्छ जाना है।

Shamooyel ne shaool se kaha, main tere saath na lautoonga; kyonki tu ne Yahowa ki baat ko tuchchh jana hai, aur Yahowa ne tujhe Israel ka raja hone ke liye tuchchh jana hai.

27

तब शमूएल जाने के लिये घूमा, और शाऊल ने उसके बागे की छोर को पकड़ा, और वह फट गया।

Tab shamooyel jane ke liye ghooma, aur shaool ne uske bage ki chhor ko pakda, aur vah phat gaya.

28

तब शमूएल ने उस से कहा आज यहोवा ने इस्राएल के राज्य को फाड़कर तुझ से छीन लिया, और तेरे एक पड़ोसी को जो तुझ से अच्छा है दे दिया है।

Tab shamooyel ne us se kaha aaj Yahowa ne Israel ke rajya ko phadkar tujh se chheen liya, aur tere ek padosi ko jo tujh se achchha hai de diya hai.

29

और जो इस्राएल का बलमूल है वह न तो झूठ बोलता और न पछताता है; क्योंकि वह मनुष्य नहीं है, कि पछताए।

Aur jo Israel ka balmool hai vah na to jhooth bolta aur na pachhtata hai; kyonki vah manushya nahi hai, ki pachhtaye.

30

उसने कहा, मैं ने पाप तो किया है; तौभी मेरी प्रजा के पुरनियों और इस्राएल के साम्हने मेरा आदर कर, और मेरे साथ लौट, कि मैं तेरे परमेश्वर यहोवा को दण्डवत करूं।

Usne kaha, main ne paap to kiya hai; taubhi meri praja ke purniyon aur Israel ke samhane mera aadar kar, aur mere saath laut, ki main tere Parmeshwar Yahowa ko dandavat karun.

31

तब शमूएल लौटकर शाऊल के पीछे गया; और शाऊल ने यहोवा का दण्डवत की।

Tab shamooyel lautkar shaool ke peechhe gaya; aur shaool ne Yahowa ka dandavat ki.

32

तब शमूएल ने कहा, अमालेकियों के राजा आगाग को मेरे पास ले आओ। तब आगाग आनन्द के साथ यह कहता हुआ उसके पास गया, कि निश्चय मृत्यु का दु:ख जाता रहा।

Tab shamooyel ne kaha, amalekiyon ke raja aagaag ko mere paas le aao. Tab aagaag aanand ke saath yah kahta huaa uske paas gaya, ki nishchay mrityu ka dukh jata raha.

33

शमूएल ने कहा, जैसे स्त्रियां तेरी तलवार से निर्वंश हुई हैं, वैसे ही तेरी माता स्त्रियों में निर्वंश होगी। तब शमूएल ने आगाग को गिलगाल में यहोवा के साम्हने टुकड़े टुकड़े किया॥

Shamooyel ne kaha, jaise striyan teri talvaar se nirvansh hui hain, vaise hi teri mata striyon mein nirvansh hogi. Tab shamooyel ne aagaag ko gilgaal mein Yahowa ke samhane tukde tukde kiya.

34

तब शमूएल रामा को चला गया; और शाऊल अपने नगर गिबा को अपने घर गया।

Tab shamooyel rama ko chala gaya; aur shaool apne nagar giba ko apne ghar gaya.

35

और शमूएल ने अपने जीवन भर शाऊल से फिर भेंट न की, क्योंकि शमूएल शाऊल के लिये विलाप करता रहा। और यहोवा शाऊल को इस्राएल का राजा बनाकर पछताता था॥

Aur shamooyel ne apne jeevan bhar shaool se phir bhent na ki, kyonki shamooyel shaool ke liye vilaap karta raha. Aur Yahowa shaool ko Israel ka raja banakar pachhtata tha.