1 Chronicles 29 · 30 verses

1 इतिहास 29 1 Chronicles 29 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 29.

1

फिर राजा दाऊद ने सारी सभा से कहा, मेरा पुत्र सुलैमान सुकुमार लड़का है, और केवल उसी को परमेश्वर ने चुना है; काम तो भारी है, क्योंकि यह भवन मनुष्य के लिये नहीं, यहोवा परमेश्वर के लिये बनेगा।

Phir raja Daud ne sari sabha se kaha, mera putra sulaimaan sukumaar ladka hai, aur keval usi ko Parmeshwar ne chuna hai; kaam to bhari hai, kyonki yah bhavan manushya ke liye nahi, Yahowa Parmeshwar ke liye banega.

2

मैं ने तो अपनी शक्ति भर, अपने परमेश्वर के भवन के निमित्त सोने की वस्तुओं के लिये सोना, चान्दी की वस्तुओं के लिये चान्दी, पीतल की वस्तुओं के लिये पीतल, लोहे की वस्तुओं के लिये लोहा, और लकड़ी की वस्तुओं के लिये लकड़ी, और सुलैमानी पत्थर, और जड़ने के योग्य मणि, और पच्ची के काम के लिये रंग रंग के नग, और सब भांति के मणि और बहुत संगमर्मर इकट्ठा किया है।

Main ne to apni shakti bhar, apne Parmeshwar ke bhavan ke nimitt sone ki vastuon ke liye sona, chandi ki vastuon ke liye chandi, peetal ki vastuon ke liye peetal, lohe ki vastuon ke liye loha, aur lakdi ki vastuon ke liye lakdi, aur sulaimani patthar, aur jadne ke yogya mani, aur pachchi ke kaam ke liye rang rang ke nag, aur sab bhanti ke mani aur bahut sangmarmar ikattha kiya hai.

3

फिर मेरा मन अपने परमेश्वर के भवन में लगा है, इस कारण जो कुछ मैं ने पवित्र भवन के लिये इकट्ठा किया है, उस सब से अधिक मैं अपना निज धन भी जो सोना चान्दी के रूप में मेरे पास है, अपने परमेश्वर के भवन के लिये दे देता हूँ।

Phir mera man apne Parmeshwar ke bhavan mein laga hai, is karan jo kuchh main ne pavitra bhavan ke liye ikattha kiya hai, us sab se adhik main apna nij dhan bhi jo sona chandi ke roop mein mere paas hai, apne Parmeshwar ke bhavan ke liye de deta hoon.

4

अर्थात तीन हजार किक्कार ओपीर का सोना, और सात हजार किक्कार तपाई हुई चान्दी, जिस से कोठरियों की भीतें मढ़ी जाएं।

Arthaat teen hajaar kikkaar opeer ka sona, aur saat hajaar kikkaar tapai hui chandi, jis se kothriyon ki bheetein madhi jayen.

5

और सोने की वस्तुओं के लिये सोना, और चान्दी की वस्तुओं के लिये चान्दी, और कारीगरों से बनाने वाले सब प्रकार के काम के लिये मैं उसे देता हूँ। और कौन अपनी इच्छा से यहोवा के लिये अपने को अर्पण कर देता है?

Aur sone ki vastuon ke liye sona, aur chandi ki vastuon ke liye chandi, aur kareegron se banane vale sab prakaar ke kaam ke liye main use deta hoon. Aur kaun apni ichchha se Yahowa ke liye apne ko arpan kar deta hai?

6

तब पितरों के घरानों के प्रधानों और इस्राएल के गोत्रों के हाकिमों और सहस्रपतियों और शतपतियों और राजा के काम के अधिकारियों ने अपनी अपनी इच्छा से,

Tab pitron ke gharanon ke pradhanon aur Israel ke gotron ke hakimon aur sahasraptiyon aur shataptiyon aur raja ke kaam ke adhikariyon ne apni apni ichchha se,

7

परमेश्वर के भवन के काम के लिये पांच हजार किक्कार और दस हजार दर्कनोन सोना, दस हजार किक्कार चान्दी, अठारह हजार किक्कार पीतल, और एक लाख किक्कार लोहा दे दिया।

Parmeshwar ke bhavan ke kaam ke liye paanch hajaar kikkaar aur das hajaar darkanon sona, das hajaar kikkaar chandi, atharah hajaar kikkaar peetal, aur ek laakh kikkaar loha de diya.

8

और जिनके पास मणि थे, उन्होंने उन्हें यहोवा के भवन के खजाने के लिये गेर्शोनी यहीएल के हाथ में दे दिया।

Aur jinke paas mani the, unhonne unhein Yahowa ke bhavan ke khajane ke liye gershoni yaheeyel ke haath mein de diya.

9

तब प्रजा के लोग आनन्दित हुए, क्योंकि हाकिमों ने प्रसन्न हो कर खरे मन और अपनी अपनी इच्छा से यहोवा के लिये भेंट दी थी; और दाऊद राजा बहुत ही आनन्दित हुआ।

Tab praja ke log aanandit hue, kyonki hakimon ne prasann ho kar khare man aur apni apni ichchha se Yahowa ke liye bhent di thi; aur Daud raja bahut hi aanandit huaa.

10

तब दाऊद ने सारी सभा के सम्मुख यहोवा का धन्यवाद किया, और दाऊद ने कहा, हे यहोवा! हे हमारे मूल पुरुष इस्राएल के परमेश्वर! अनादिकाल से अनन्तकाल तक तू धन्य है।

Tab Daud ne sari sabha ke sammukh Yahowa ka dhanyavaad kiya, aur Daud ne kaha, he Yahowa! He hamare mool purush Israel ke Parmeshwar! Anadikaal se anantakaal tak tu dhanya hai.

11

हे यहोवा! महिमा, पराक्रम, शोभा, सामर्थ्य और वैभव, तेरा ही है; क्योंकि आकाश और पृथ्वी में जो कुछ है, वह तेरा ही है; हे यहोवा! राज्य तेरा है, और तू सभों के ऊपर मुख्य और महान ठहरा है।

He Yahowa! Mahima, parakram, shobha, samarthya aur vaibhav, tera hi hai; kyonki aakaash aur prithvi mein jo kuchh hai, vah tera hi hai; he Yahowa! Rajya tera hai, aur tu sabhon ke oopar mukhya aur mahaan thahra hai.

12

धन और महिमा तेरी ओर से मिलती हैं, और तू सभों के ऊपर प्रभुता करता है। सामर्थ्य और पराक्रम तेरे ही हाथ में हैं, और सब लोगों को बढ़ाना और बल देना तेरे हाथ में है।

Dhan aur mahima teri or se milti hain, aur tu sabhon ke oopar prabhuta karta hai. Samarthya aur parakram tere hi haath mein hain, aur sab logon ko badhana aur bal dena tere haath mein hai.

13

इसलिये अब हे हमारे परमेश्वर! हम तेरा धन्यवाद और तेरे महिमायुक्त नाम की स्तुति करते हैं।

Isliye ab he hamare Parmeshwar! Ham tera dhanyavaad aur tere mahimayukt naam ki stuti karte hain.

14

मैं क्या हूँ? और मेरी प्रजा क्या है? कि हम को इस रीति से अपनी इच्छा से तुझे भेंट देने की शक्ति मिले? तुझी से तो सब कुछ मिलता है, और हम ने तेरे हाथ से पाकर तुझे दिया है।

Main kya hoon? Aur meri praja kya hai? Ki ham ko is reeti se apni ichchha se tujhe bhent dene ki shakti mile? Tujhi se to sab kuchh milta hai, aur ham ne tere haath se pakar tujhe diya hai.

15

तेरी दृष्टि में हम तो अपने सब पुरखाओं की नाईं पराए और परदेशी हैं; पृथ्वी पर हमारे दिन छाया की नाईं बीते जाते हैं, और हमारा कुछ ठिकाना नहीं।

Teri drishti mein ham to apne sab purkhaon ki nai paraye aur pardeshi hain; prithvi par hamare din chhaya ki nai beete jate hain, aur hamara kuchh thikana nahi.

16

हे हमारे परमेश्वर यहोवा! वह जो बड़ा संचय हम ने तेरे पवित्र नाम का एक भवन बनाने के लिये किया है, वह तेरे ही हाथ से हमे मिला था, और सब तेरा ही है।

He hamare Parmeshwar Yahowa! Vah jo bada sanchay ham ne tere pavitra naam ka ek bhavan banane ke liye kiya hai, vah tere hi haath se hame mila tha, aur sab tera hi hai.

17

और हे मेरे परमेश्वर! मैं जानता हूँ कि तू मन को जांचता है और सिधाई से प्रसन्न रहता है; मैं ने तो यह सब कुछ मन की सिधाई और अपनी इच्छा से दिया है; और अब मैं ने आनन्द से देखा है, कि तेरी प्रजा के लोग जो यहां उपस्थित हैं, वह अपनी इच्छा से तेरे लिये भेंट देते हैं।

Aur he mere Parmeshwar! Main janta hoon ki tu man ko janchta hai aur sidhai se prasann rahta hai; main ne to yah sab kuchh man ki sidhai aur apni ichchha se diya hai; aur ab main ne aanand se dekha hai, ki teri praja ke log jo yahan upasthit hain, vah apni ichchha se tere liye bhent dete hain.

18

हे यहोवा! हे हमारे पुरखा इब्राहीम, इसहाक और इस्राएल के परमेश्वर! अपनी प्रजा के मन के विचारों में यह बात बनाए रख और उनके मन अपनी ओर लगाए रख।

He Yahowa! He hamare purkha Ibrahim, Ishaq aur Israel ke Parmeshwar! Apni praja ke man ke vicharon mein yah baat banaye rakh aur unke man apni or lagaye rakh.

19

और मेरे पुत्र सुलैमान का मन ऐसा खरा कर दे कि वह तेरी आज्ञाओं चितौनियों और विधियों को मानता रहे और यह सब कुछ करे, और उस भवन को बनाए, जिसकी तैयारी मैं ने की है।

Aur mere putra sulaimaan ka man aisa khara kar de ki vah teri aagyaon chitauniyon aur vidhiyon ko manta rahe aur yah sab kuchh kare, aur us bhavan ko banaye, jiski taiyari main ne ki hai.

20

तब दाऊद ने सारी सभा से कहा, तुम अपने परमेश्वर यहोवा का धन्यवाद करो। तब सभा के सब लोगों ने अपने पितरों के परमेश्वर यहोवा का धन्यवाद किया, और अपना अपना सिर झुका कर यहोवा को और राजा को दण्डवत किया।

Tab Daud ne sari sabha se kaha, tum apne Parmeshwar Yahowa ka dhanyavaad karo. Tab sabha ke sab logon ne apne pitron ke Parmeshwar Yahowa ka dhanyavaad kiya, aur apna apna sir jhuka kar Yahowa ko aur raja ko dandavat kiya.

21

और दूसरे दिन उन्होंने यहोवा के लिये बलिदान किए, अर्थात अर्घों समेत एक हजार बैल, एक हजार मेढ़े और एक हजार भेड़ के बच्चे होमबलि कर के चढ़ाए, और सब इस्राएल के लिये बहुत से मेलबलि चढ़ाए। उसी दिन यहोवा के साम्हने उन्होंने बड़े आनन्द से खाया और पिया।

Aur doosre din unhonne Yahowa ke liye balidaan kiye, arthaat arghon samet ek hajaar bail, ek hajaar medhe aur ek hajaar bhed ke bachche homabli kar ke chadhaye, aur sab Israel ke liye bahut se melabli chadhaye. Usi din Yahowa ke samhane unhonne bade aanand se khaya aur piya.

22

फिर उन्होंने दाऊद के पुत्र सुलैमान को दूसरी बार राजा ठहरा कर यहोवा की ओर से प्रधान होने के लिये उसका और याजक होने के लिये सादोक का अभिषेक किया।

Phir unhonne Daud ke putra sulaimaan ko doosri baar raja thahra kar Yahowa ki or se pradhaan hone ke liye uska aur yajak hone ke liye sadok ka abhishek kiya.

23

तब सुलैमान अपने पिता दाऊद के स्थान पर राजा हो कर यहोवा के सिंहासन पर विराजने लगा और भाग्यवान हुआ, और इस्राएल उसके आधीन हुआ।

Tab sulaimaan apne pita Daud ke sthaan par raja ho kar Yahowa ke sinhasan par virajne laga aur bhagyavaan huaa, aur Israel uske aadheen huaa.

24

और सब हाकिमों और शूरवीरों और राजा दाऊद के सब पुत्रों ने सुलैमान राजा की आधीनता अंगीकार की।

Aur sab hakimon aur shoorveeron aur raja Daud ke sab putron ne sulaimaan raja ki aadheenta angeekaar ki.

25

और यहोवा ने सुलैमान को सब इस्राएल के देखते बहुत बढ़ाया, और उसे ऐसा राजकीय ऐश्वर्य दिया, जैसा उस से पहिले इस्राएल के किसी राजा का न हुआ था।

Aur Yahowa ne sulaimaan ko sab Israel ke dekhte bahut badhaya, aur use aisa rajkeeya aishwarya diya, jaisa us se pahile Israel ke kisi raja ka na huaa tha.

26

इस प्रकार यिशै के पुत्र दाऊद ने सारे इस्राएल के ऊपर राज्य किया।

Is prakaar yishai ke putra Daud ne sare Israel ke oopar rajya kiya.

27

और उसके इस्राएल पर राज्य करने का समय चालीस वर्ष का था; उसने सात वर्ष तो हेब्रोन में और तैंतीस वर्ष यरूशलेम में राज्य किया।

Aur uske Israel par rajya karne ka samay chalees varsh ka tha; usne saat varsh to hebron mein aur taintees varsh Yerushalem mein rajya kiya.

28

और वह पूरे बुढ़ापे की अवस्था में दीर्घायु हो कर और धन और वैभव, मनमाना भोग कर मर गया; और उसका पुत्र सुलैमान उसके स्थान पर राजा हुआ।

Aur vah poore budhape ki avastha mein deerghayu ho kar aur dhan aur vaibhav, manmana bhog kar mar gaya; aur uska putra sulaimaan uske sthaan par raja huaa.

29

आदि से अन्त तक राजा दाऊद के सब कामों का वृत्तान्त,

Aadi se ant tak raja Daud ke sab kamon ka vrittaant,

30

और उसके सब राज्य और पराक्रम का, और उस पर और इस्राएल पर, वरन देश देश के सब राज्यों पर जो कुछ बीता, इसका भी वृत्तान्त शमूएल दशीं और नातान नबी और गाद दशीं की पुस्तकों में लिखा हुआ है।

Aur uske sab rajya aur parakram ka, aur us par aur Israel par, varan desh desh ke sab rajyon par jo kuchh beeta, iska bhi vrittaant shamooyel dashi aur nataan nabi aur gaad dashi ki pustakon mein likha huaa hai.