फिर द्वारपालों के दल ये थे: कोरहियों में से तो मशेलेम्याह, जो कोरे का पुत्र और आसाप के सन्तानों में से था।
Phir dwarpalon ke dal ye the: korhiyon mein se to mashelemyaah, jo kore ka putra aur aasaap ke santanon mein se tha.
1 Chronicles 26 · 32 verses
फिर द्वारपालों के दल ये थे: कोरहियों में से तो मशेलेम्याह, जो कोरे का पुत्र और आसाप के सन्तानों में से था।
Phir dwarpalon ke dal ye the: korhiyon mein se to mashelemyaah, jo kore ka putra aur aasaap ke santanon mein se tha.
और मशेलेम्याह के पुत्र हुए, अर्थात उसका जेठा जकर्याह दूसरा यदीएल, तीसरा जवद्याह,
Aur mashelemyaah ke putra hue, arthaat uska jetha jakaryaah doosra yadeeyel, teesra javadyaah,
चौथा यतीएल, पांचवां एलाम, छठवां यहोहानान और सातवां एल्यहोएनै।
Chautha yateeyel, panchvan elaam, chhathvan yahohanaan aur satvan elyahoyenai.
फिर ओबेदेदोम के भी पुत्र हुए, उसका जेठा शमायाह, दूसरा यहोजाबाद, तीसरा योआह, चौथा साकार, पांचवां नतनेल,
Phir obededom ke bhi putra hue, uska jetha shamayaah, doosra yahojabaad, teesra yoaah, chautha sakaar, panchvan natnel,
छठवां अम्मीएल, सातवां इस्साकार और आठवां पुल्लतै, क्योंकि परमेश्वर ने उसे आशीष दी थी।
Chhathvan ammeeyel, satvan issakaar aur aathvan pullatai, kyonki Parmeshwar ne use aasheesh di thi.
और उसके पुत्र शमायाह के भी पुत्र उत्पन्न हुए, जो शूरवीर होने के कारण अपने पिता के घराने पर प्रभुता करते थे।
Aur uske putra shamayaah ke bhi putra utpann hue, jo shoorveer hone ke karan apne pita ke gharane par prabhuta karte the.
शमायाह के पुत्र ये थे, अर्थात ओती, रपाएल, ओबेद, एलजाबाद और उनके भाई एलीहू और समक्याह बलवान पुरुष थे।
Shamayaah ke putra ye the, arthaat oti, rapayel, obed, eljabaad aur unke bhai eleehu aur samakyaah balvaan purush the.
ये सब ओबेदेदोम की सन्तान में से थे, वे और उनके पुत्र और भाई इस सेवकाई के लिये बलवान और शक्तिमान थे; ये ओबेदेदोमी बासठ थे।
Ye sab obededom ki santaan mein se the, ve aur unke putra aur bhai is sevkai ke liye balvaan aur shaktimaan the; ye obededomi basath the.
और मशेलेम्याह के पुत्र और भाई अठारह थे, जो बलवान थे।
Aur mashelemyaah ke putra aur bhai atharah the, jo balvaan the.
फिर मरारी के वंश में से होसा के भी पुत्र थे, अर्थात मुख्य तो शिम्री (जिस को जेठा न होने पर भी उसके पिता ने मुख्य ठहराया ),
Phir marari ke vansh mein se hosa ke bhi putra the, arthaat mukhya to shimri (jis ko jetha na hone par bhi uske pita ne mukhya thahraya ),
दूसरा हिल्किय्याह, तीसरा तबल्याह और चौथा जकर्याह था; होसा के सब पुत्र और भाई मिलकर तेरह थे।
Doosra hilkiyyaah, teesra tabalyaah aur chautha jakaryaah tha; hosa ke sab putra aur bhai milkar terah the.
द्वारपालों के दल इन मुख्य पुरुषों के थे, ये अपने भाइयों के बराबर ही यहोवा के भवन में सेवा टहल करते थे।
Dwarpalon ke dal in mukhya purushon ke the, ye apne bhaiyon ke barabar hi Yahowa ke bhavan mein seva tahal karte the.
इन्होंने क्या छोटे, क्या बड़े, अपने अपने पितरों के घरानों के अनुसार एक एक फाटक के लिये चिट्ठी डाली।
Inhonne kya chhote, kya bade, apne apne pitron ke gharanon ke anusaar ek ek phatak ke liye chitthi dali.
पूर्व की ओर की चिट्ठी शेलेम्याह के नाम पर निकली। तब उन्होंने उसके पुत्र जकर्याह के नाम की चिट्ठी डाली (वह बुद्धिमान मंत्री था ) और चिट्ठी उत्तर की ओर के लिये निकली।
Poorva ki or ki chitthi shelemyaah ke naam par nikli. Tab unhonne uske putra jakaryaah ke naam ki chitthi dali (vah buddhimaan mantri tha ) aur chitthi uttar ki or ke liye nikli.
दक्खिन की ओर के लिये ओबेदेदोम के नाम पर चिट्ठी निकली, और उसके बेटों के नाम पर खजाने की कोठरी के लिये।
Dakkhin ki or ke liye obededom ke naam par chitthi nikli, aur uske beton ke naam par khajane ki kothri ke liye.
फिर शुप्पीम और होसा के नामों की चिट्ठी पश्चिम की ओर के लिये निकली, कि वे शल्लेकेत नाम फाटक के पास चढ़ाई की सड़क पर आम्हने साम्हने चौकीदारी किया करें।
Phir shuppeem aur hosa ke namon ki chitthi pashchim ki or ke liye nikli, ki ve shalleket naam phatak ke paas chadhai ki sadak par aamhane samhane chaukeedari kiya karein.
पूर्व ओर जो छ: लेवीय थे, उत्तर की ओर प्रतिदिन चार, दक्खिन की ओर प्रतिदिन चार, और खजाने की कोठरी के पास दो ठहरे।
Poorva or jo chha: leveeya the, uttar ki or pratidin chaar, dakkhin ki or pratidin chaar, aur khajane ki kothri ke paas do thahre.
पश्चिम ओर के पर्बार नाम स्थान पर ऊंची सड़क के पास तो चार और पर्बार के पास दो रहे।
Pashchim or ke parbaar naam sthaan par oonchi sadak ke paas to chaar aur parbaar ke paas do rahe.
ये द्वारपालों के दल थे, जिन में से कितने तो कोरह के थे और कितने मरारी के वंश के थे।
Ye dwarpalon ke dal the, jin mein se kitne to korah ke the aur kitne marari ke vansh ke the.
फिर लेवियों में से अहिय्याह परमेश्वर के भवन और पवित्र की हुई वस्तुओं, दोनों के भण्डारों का अधिकारी नियुक्त हुआ।
Phir leviyon mein se ahiyyaah Parmeshwar ke bhavan aur pavitra ki hui vastuon, donon ke bhandaron ka adhikari niyukt huaa.
ये लादान की सन्तान के थे, अर्थात गेर्शोनियों की सन्तान जो लादान के कुल के थे, अर्थात लादान और गेर्शेनी के पितरों के घरानों के मुख्य पुरुष थे, अर्थात यहोएली।
Ye ladaan ki santaan ke the, arthaat gershoniyon ki santaan jo ladaan ke kul ke the, arthaat ladaan aur gersheni ke pitron ke gharanon ke mukhya purush the, arthaat yahoyeli.
यहोएली के पुत्र ये थे, अर्थात जेताम और उसका भाई योएल जो यहोवा के भवन के खजाने के अधिकारी थे।
Yahoyeli ke putra ye the, arthaat jetaam aur uska bhai yoyel jo Yahowa ke bhavan ke khajane ke adhikari the.
अम्रामियों, यिसहारियों, हेब्रोनियों और उज्जीएलियों में से।
Amramiyon, yishariyon, hebroniyon aur ujjeeyeliyon mein se.
और शबूएल जो मूसा के पुत्र गेर्शेम के वंश का था, वह खजानों का मुख्य अधिकारी था।
Aur shabooyel jo Musa ke putra gershem ke vansh ka tha, vah khajanon ka mukhya adhikari tha.
और उसके भाइयों का वृत्तान्त यह है: एलीआजर के कुल में उसका पुत्र रहब्याह, रहब्याह का पुत्र यशायाह, यशायाह का पुत्र योराम, योराम का पुत्र जिक्री, और जिक्री का पुत्र शलोमोत था।
Aur uske bhaiyon ka vrittaant yah hai: eleeaajar ke kul mein uska putra rahabyaah, rahabyaah ka putra yashayaah, yashayaah ka putra yoraam, yoraam ka putra jikri, aur jikri ka putra shalomot tha.
यही शलोमोत अपने भाइयों समेत उन सब पवित्र की हुई वस्तुओं के भण्डारों का अधिकारी था, जो राजा दाऊद और पितरों के घरानों के मुख्य मुख्य पुरुषों और सहस्रपतियों और शतपतियों और मुख्य सेनापतियों ने पवित्र की थीं।
Yahi shalomot apne bhaiyon samet un sab pavitra ki hui vastuon ke bhandaron ka adhikari tha, jo raja Daud aur pitron ke gharanon ke mukhya mukhya purushon aur sahasraptiyon aur shataptiyon aur mukhya senaptiyon ne pavitra ki thi.
जो लूट लड़ाइयों में मिलती थी, उस में से उन्होंने यहोवा का भवन दृढ़ करने के लिये कुछ पवित्र किया।
Jo loot ladaiyon mein milti thi, us mein se unhonne Yahowa ka bhavan dridh karne ke liye kuchh pavitra kiya.
वरन जितना शमूएल दशीं, कीश के पुत्र शाऊल, नेर के पुत्र अब्नेर, और सरूयाह के पुत्र योआब ने पवित्र किया था, और जो कुछ जिस किसी ने पवित्र कर रखा था, वह सब शलोमोत और उसके भाइयों के अधिकार में था।
Varan jitna shamooyel dashi, keesh ke putra shaool, ner ke putra abner, aur sarooyaah ke putra yoaab ne pavitra kiya tha, aur jo kuchh jis kisi ne pavitra kar rakha tha, vah sab shalomot aur uske bhaiyon ke adhikaar mein tha.
यिसहारियों में से कनन्याह और उसके पुत्र, इस्राएल के देश का काम अर्थात सरदार और न्यायी का काम करने के लिये नियुक्त हुए।
Yishariyon mein se kananyaah aur uske putra, Israel ke desh ka kaam arthaat sardaar aur nyayi ka kaam karne ke liye niyukt hue.
और हेब्रोनियों में से हशय्याह और उसके भाई जो सत्रह सौ बलवान पुरुष थे, वे यहोवा के सब काम और राजा की सेवा के विषय यरदन की पश्चिम ओर रहने वाले इस्राएलियों के अधिकारी ठहरे।
Aur hebroniyon mein se hashayyaah aur uske bhai jo satrah sau balvaan purush the, ve Yahowa ke sab kaam aur raja ki seva ke vishay yardan ki pashchim or rahne vale Israeliyon ke adhikari thahre.
हेब्रोनियों में से यरिय्याह मुख्य था, अर्थात हेब्रोनियों की पीढ़ी पीढ़ी के पितरों के घरानों के अनुसार दाऊद के राज्य के चालीसवें वर्ष में वे ढूंढ़े गए, और उन में से कई शूरवीर गिलाद के याजेर में मिले।
Hebroniyon mein se yariyyaah mukhya tha, arthaat hebroniyon ki peedhi peedhi ke pitron ke gharanon ke anusaar Daud ke rajya ke chaleesvein varsh mein ve dhoondhe gaye, aur un mein se kai shoorveer gilaad ke yajer mein mile.
और उसके भाई जो वीर थे, पितरों के घरानों के दो हाजार सात सौ मुख्य पुरुष थे, इन को दाऊद राजा ने परमेश्वर के सब विषयों और राजा के विषय में रूबेनियों, गादियों और मनश्शे के आधे गोत्र का अधिकारी ठहराया।
Aur uske bhai jo veer the, pitron ke gharanon ke do hajaar saat sau mukhya purush the, in ko Daud raja ne Parmeshwar ke sab vishyon aur raja ke vishay mein roobeniyon, gadiyon aur manashshe ke aadhe gotra ka adhikari thahraya.