इसके बाद दाऊद ने पलिश्तियों को जीतकर अपने आधीन कर लिया, और गांवों समेत गत नगर को पलिश्तियों के हाथ से छीन लिया।
Iske baad Daud ne palishtiyon ko jeetkar apne aadheen kar liya, aur ganvon samet gat nagar ko palishtiyon ke haath se chheen liya.
1 Chronicles 18 · 17 verses
इसके बाद दाऊद ने पलिश्तियों को जीतकर अपने आधीन कर लिया, और गांवों समेत गत नगर को पलिश्तियों के हाथ से छीन लिया।
Iske baad Daud ne palishtiyon ko jeetkar apne aadheen kar liya, aur ganvon samet gat nagar ko palishtiyon ke haath se chheen liya.
फिर उसने मोआबियों को भी जीत लिया, और मोआबी दाऊद के आधीन हो कर भेंट लाने लगे।
Phir usne moaabiyon ko bhi jeet liya, aur moaabi Daud ke aadheen ho kar bhent lane lage.
फिर जब सोबा का राजा हदरेजेर परात महानद के पास अपने राज्य स्थिर करने को जा रहा था, तब दाऊद ने उसको हमात के पास जीत लिया।
Phir jab soba ka raja hadrejer paraat mahanad ke paas apne rajya sthir karne ko ja raha tha, tab Daud ne usko hamaat ke paas jeet liya.
और दाऊद ने उस से एक हजार रथ, सात हजार सवार, और बीस हजार पियादे हर लिए, और दाऊद ने सब रथ वाले घोड़ों के सुम की नस कटवाई, परन्तु एक सौ रथ वाले घोड़े बचा रखे।
Aur Daud ne us se ek hajaar rath, saat hajaar savaar, aur bees hajaar piyade har liye, aur Daud ne sab rath vale ghodon ke sum ki nas katvai, parantu ek sau rath vale ghode bacha rakhe.
और जब दमिश्क के अरामी, सोबा के राजा हदरेजेर की सहायता करने को आए, तब दाऊद ने अरामियों में से बाईस हजार पुरुष मारे।
Aur jab damishk ke arami, soba ke raja hadrejer ki sahayta karne ko aaye, tab Daud ne aramiyon mein se bais hajaar purush mare.
तब दाऊद ने दमिश्क के अराम में सिपाहियों की चौकियां बैठाईं; सो अरामी दाऊद के आधीन हो कर भेंट ले आने लगे। और जहां जहां दाऊद जाता, वहां वहां यहोवा उसको जय दिलाता था।
Tab Daud ne damishk ke araam mein sipahiyon ki chaukiyan baithai; so arami Daud ke aadheen ho kar bhent le aane lage. Aur jahan jahan Daud jata, vahan vahan Yahowa usko jay dilata tha.
और हदरेजेर के कर्मचारियों के पास सोने की जो ढालें थीं, उन्हें दाऊद ले कर यरूशलेम को आया।
Aur hadrejer ke karmachariyon ke paas sone ki jo dhalein thi, unhein Daud le kar Yerushalem ko aaya.
और हदरेजेर के तिभत और कून नाम नगरों से दाऊद बहुत सा पीतल ले आया; और उसी से सुलैमान ने पीतल के हौद और खम्भों और पीतल के पात्रों को बनवाया।
Aur hadrejer ke tibhat aur koon naam nagron se Daud bahut sa peetal le aaya; aur usi se sulaimaan ne peetal ke haud aur khambhon aur peetal ke patron ko banvaya.
जब हमात के राजा तोऊ ने सुना, कि दाऊद ने सोबा के राजा हदरेजेर की समस्त सेना को जीत लिया है,
Jab hamaat ke raja tou ne suna, ki Daud ne soba ke raja hadrejer ki samast sena ko jeet liya hai,
तब उसने हदोराम नाम अपने पुत्र को दाऊद राजा के पास उसका कुशल क्षेम पूछने और उसे बधाई देने को भेजा, इसलिये कि उसने हदरेजेर से लड़ कर उसे जीत लिया था; (क्योंकि हदरेजेर तोऊ से लड़ा करता था ) और हदोराम सोने चांदी और पीतल के सब प्रकार के पात्र लिये हुए आया।
Tab usne hadoraam naam apne putra ko Daud raja ke paas uska kushal kshem poochhne aur use badhai dene ko bheja, isliye ki usne hadrejer se lad kar use jeet liya tha; (kyonki hadrejer tou se lada karta tha ) aur hadoraam sone chandi aur peetal ke sab prakaar ke patra liye hue aaya.
इन को दाऊद राजा ने यहोवा के लिये पवित्र कर के रखा, और वैसा ही उस सोने-चांदी से भी किया जिसे सब जातियों से, अर्थात एदोमियों मोआबियों, अम्मोनियों, पलिश्तियों, और अमालेकियों से प्राप्त किया था।
In ko Daud raja ne Yahowa ke liye pavitra kar ke rakha, aur vaisa hi us sone-chandi se bhi kiya jise sab jatiyon se, arthaat edomiyon moaabiyon, ammoniyon, palishtiyon, aur amalekiyon se praapt kiya tha.
फिर सरूयाह के पुत्र अबीशै ने लोन की तराई में अठारह हजार एदोमियों को मार लिया।
Phir sarooyaah ke putra abeeshai ne lon ki tarai mein atharah hajaar edomiyon ko maar liya.
तब उसने एदोम में सिपाहियों की चौकियां बैठाईं; और सब एदोमी दाऊद के आधीन हो गए। और दाऊद जहां जहां जाता था वहां वहां यहोवा उसको जय दिलाता था।
Tab usne edom mein sipahiyon ki chaukiyan baithai; aur sab edomi Daud ke aadheen ho gaye. Aur Daud jahan jahan jata tha vahan vahan Yahowa usko jay dilata tha.
दाऊद तो सारे इस्राएल पर राज्य करता था, और वह अपनी सब प्रजा के साथ न्याय और धर्म के काम करता था।
Daud to sare Israel par rajya karta tha, aur vah apni sab praja ke saath nyaay aur dharm ke kaam karta tha.
और प्रधान सेनापति सरूयाह का पुत्र योआब था; इतिहास का लिखने वाला अहीलूद का पुत्र यहोशापात था।
Aur pradhaan senapti sarooyaah ka putra yoaab tha; itihaas ka likhne vala aheelood ka putra yahoshapaat tha.
प्रधान याजक, अहीतूब का पुत्र सादोक और एब्यातार का पुत्र अबीमेलेक थे; मंत्री शबशा था।
Pradhaan yajak, aheetoob ka putra sadok aur ebyataar ka putra abeemelek the; mantri shabsha tha.
करेतियों और पकेतियों का प्रधान यहोयादा का पुत्र बनायाह था; और दाऊद के पुत्र राजा के पास मुखिये हो कर रहते थे।
Karetiyon aur paketiyon ka pradhaan yahoyada ka putra banayaah tha; aur Daud ke putra raja ke paas mukhiye ho kar rahte the.