1 Chronicles 17 · 27 verses

1 इतिहास 17 1 Chronicles 17 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 17.

1

जब दाऊद अपने भवन में रहने लगा, तब दाऊद ने नातान नबी से कहा, देख, मैं तो देवदारु के बने हुए घर में रहता हूँ, परन्तु यहोवा की वाचा का सन्दूक तम्बू में रहता है।

Jab Daud apne bhavan mein rahne laga, tab Daud ne nataan nabi se kaha, dekh, main to devdaru ke bane hue ghar mein rahta hoon, parantu Yahowa ki vacha ka sandook tambu mein rahta hai.

2

नातान ने दाऊद से कहा, जो कुछ तेरे मन में हो उसे कर, क्योंकि परमेश्वर तेरे संग है।

Nataan ne Daud se kaha, jo kuchh tere man mein ho use kar, kyonki Parmeshwar tere sang hai.

3

उसी दिन रात को परमेश्वर का यह वचन नातान के पास पहुंचा, जा कर मेरे दास दाऊद से कह,

Usi din raat ko Parmeshwar ka yah vachan nataan ke paas pahuncha, ja kar mere daas Daud se kah,

4

यहोवा यों कहता है, कि मेरे निवास के लिये तू घर बनवाने न पाएगा।

Yahowa yon kahta hai, ki mere nivaas ke liye tu ghar banvane na payega.

5

क्योंकि जिस दिन से मैं इस्राएलियों को मिस्र से ले आया, आज के दिन तक मैं कभी घर में नहीं रहा; परन्तु एक तम्बू से दूसरे तम्बू को ओर एक निवास से दूसरे निवास को आया जाया करता हूँ।

Kyonki jis din se main Israeliyon ko Misr se le aaya, aaj ke din tak main kabhi ghar mein nahi raha; parantu ek tambu se doosre tambu ko or ek nivaas se doosre nivaas ko aaya jaya karta hoon.

6

जहां जहां मैं ने सब इस्राएलियों के बीच आना जाना किया, क्या मैं ने इस्राएल के न्यायियों में से जिन को मैं ने अपनी प्रजा की चरवाही करने को ठहराया था, किसी से ऐसी बात कभी कही, कि तुम लोगों ने मेरे लिये देवदारु का घर क्यों नहीं बनवाया?

Jahan jahan main ne sab Israeliyon ke beech aana jana kiya, kya main ne Israel ke nyayiyon mein se jin ko main ne apni praja ki charvahi karne ko thahraya tha, kisi se aisi baat kabhi kahi, ki tum logon ne mere liye devdaru ka ghar kyon nahi banvaya?

7

सो अब तू मेरे दास दाऊद से ऐसा कह, कि सेनाओं का यहोवा यों कहता है, कि मैं ने तो तुझ को भेड़शाला से और भेड़-बकरियों के पीछे पीछे फिरने से इस मनसा से बुला लिया, कि तू मेरी प्रजा इस्राएल का प्रधान हो जाए;

So ab tu mere daas Daud se aisa kah, ki senaon ka Yahowa yon kahta hai, ki main ne to tujh ko bhedshala se aur bhed-bakriyon ke peechhe peechhe phirne se is mansa se bula liya, ki tu meri praja Israel ka pradhaan ho jaye;

8

और जहां कहीं तू आया और गया, वहां मैं तेरे संग रहा, और तेरे सब शत्रुओं को तेरे साम्हने से नष्ट किया है। अब मैं तेरे नाम को पृथ्वी के बड़े बड़े लोगों के नामों के समान बड़ा कर दूंगा।

Aur jahan kahi tu aaya aur gaya, vahan main tere sang raha, aur tere sab shatruon ko tere samhane se nasht kiya hai. Ab main tere naam ko prithvi ke bade bade logon ke namon ke samaan bada kar doonga.

9

और मैं अपनी प्रजा इस्राएल के लिये एक स्थान ठहराऊंगा, और उसको स्थिर करूंगा कि वह अपने ही स्थान में बसी रहे और कभी चलायमान न हो; और कुटिल लोग उन को नाश न करने पाएंगे, जैसे कि पहिले दिनों में करते थे;

Aur main apni praja Israel ke liye ek sthaan thahraoonga, aur usko sthir karoonga ki vah apne hi sthaan mein basi rahe aur kabhi chalaymaan na ho; aur kutil log un ko naash na karne payenge, jaise ki pahile dinon mein karte the;

10

उस समय भी जब मैं अपनी प्रजा इस्राएल के ऊपर न्यायी ठहराता था; सो मैं तेरे सब शत्रुओं को दबा दूंगा। फिर मैं तुझे यह भी बताता हूँ, कि यहोवा तेरा घर बनाये रखेगा।

Us samay bhi jab main apni praja Israel ke oopar nyayi thahrata tha; so main tere sab shatruon ko daba doonga. Phir main tujhe yah bhi batata hoon, ki Yahowa tera ghar banaye rakhega.

11

जब तेरी आयु पूरी हो जायेगी और तुझे अपने पितरों के संग जाना पड़ेगा, तब मैं तेरे बाद तेरे वंश को जो तेरे पुत्रों में से होगा, खड़ा कर के उसके राज्य को स्थिर करूंगा।

Jab teri aayu poori ho jayegi aur tujhe apne pitron ke sang jana padega, tab main tere baad tere vansh ko jo tere putron mein se hoga, khada kar ke uske rajya ko sthir karoonga.

12

मेरे लिए एक घर वही बनाएगा, और मैं उसकी राजगद्दी को सदैव स्थिर रखूंगा।

Mere liye ek ghar vahi banayega, aur main uski rajgaddi ko sadaiv sthir rakhoonga.

13

मैं उसका पिता ठहरूंगा और वह मेरा पुत्र ठहरेगा; और जैसे मैं ने अपनी करुणा उस पर से जो तुझ से पहिले था हटाई, वैसे मैं उस पर से न हटाऊंगा,

Main uska pita thahroonga aur vah mera putra thahrega; aur jaise main ne apni karuna us par se jo tujh se pahile tha hatai, vaise main us par se na hataoonga,

14

वरन मैं उसको अपने घर और अपने राज्य में सदैव स्थिर रखूंगा और उसकी राजगद्दी सदैव अटल रहेगी।

Varan main usko apne ghar aur apne rajya mein sadaiv sthir rakhoonga aur uski rajgaddi sadaiv atal rahegi.

15

इन सब बातों और इस दर्शन के अनुसार नातान ने दाऊद को समझा दिया।

In sab baton aur is darshan ke anusaar nataan ne Daud ko samjha diya.

16

तब दाऊद राजा भीतर जा कर यहोवा के सम्मुख बैठा, और कहने लगा, हे यहोवा परमेश्वर! मैं क्या हूँ? और मेरा घराना क्या है? कि तू ने मुझे यहां तक पहुंचाया है?

Tab Daud raja bheetar ja kar Yahowa ke sammukh baitha, aur kahne laga, he Yahowa Parmeshwar! Main kya hoon? Aur mera gharana kya hai? Ki tu ne mujhe yahan tak pahunchaya hai?

17

और हे परमेश्वर! यह तेरी दृष्टि में छोटी सी बात हुई, क्योंकि तू ने अपने दास के घराने के विषय भविष्य के बहुत दिनों तक की चर्चा की है, और हे यहोवा परमेश्वर! तू ने मुझे ऊंचे पद का मनुष्य सा जाना है।

Aur he Parmeshwar! Yah teri drishti mein chhoti si baat hui, kyonki tu ne apne daas ke gharane ke vishay bhavishya ke bahut dinon tak ki charcha ki hai, aur he Yahowa Parmeshwar! Tu ne mujhe oonche pad ka manushya sa jana hai.

18

जो महिमा तेरे दास पर दिखाई गई है, उसके विषय दाऊद तुझ से और क्या कह सकता है? तू तो अपने दास को जानता है।

Jo mahima tere daas par dikhai gai hai, uske vishay Daud tujh se aur kya kah sakta hai? Tu to apne daas ko janta hai.

19

हे यहोवा! तू ने अपने दास के निमित्त और अपने मन के अनुसार यह बड़ा काम किया है, कि तेरा दास उसको जान ले।

He Yahowa! Tu ne apne daas ke nimitt aur apne man ke anusaar yah bada kaam kiya hai, ki tera daas usko jaan le.

20

हे यहोवा! जो कुछ हम ने अपने कानों से सुना है, उसके अनुसार तेरे तुल्य कोई नहीं, और न तुझे छोड़ और कोई परमेश्वर है।

He Yahowa! Jo kuchh ham ne apne kanon se suna hai, uske anusaar tere tulya koi nahi, aur na tujhe chhod aur koi Parmeshwar hai.

21

फिर तेरी प्रजा इस्राएल के भी तुल्य कौन है? वह तो पृथ्वी भर में एक ही जाति है, उसे परमेश्वर ने जा कर अपनी निज प्रजा करने को छुड़ाया, इसलिये कि तू बड़े और डरावने काम कर के अपना नाम करे, और अपनी प्रजा के साम्हने से जो तू ने मिस्र से छुड़ा ली थी, जाति जाति के लोगों को निकाल दे।

Phir teri praja Israel ke bhi tulya kaun hai? Vah to prithvi bhar mein ek hi jati hai, use Parmeshwar ne ja kar apni nij praja karne ko chhudaya, isliye ki tu bade aur daravne kaam kar ke apna naam kare, aur apni praja ke samhane se jo tu ne Misr se chhuda li thi, jati jati ke logon ko nikaal de.

22

क्योंकि तू ने अपनी प्रजा इस्राएल को अपनी सदा की प्रजा होने के लिये ठहराया, और हे यहोवा! तू आप उसका परमेश्वर ठहरा।

Kyonki tu ne apni praja Israel ko apni sada ki praja hone ke liye thahraya, aur he Yahowa! Tu aap uska Parmeshwar thahra.

23

इसलिये, अब हे यहोवा, तू ने जो वचन अपने दास के और उसके घराने के विषय दिया है, वह सदैव अटल रहे, और अपने वचन के अनुसार ही कर।

Isliye, ab he Yahowa, tu ne jo vachan apne daas ke aur uske gharane ke vishay diya hai, vah sadaiv atal rahe, aur apne vachan ke anusaar hi kar.

24

और तेरा नाम सदैव अटल रहे, और यह कह कर तेरी बड़ाई सदा की जाए, कि सेनाओं का यहोवा इस्राएल का परमेश्वर है, वरन वह इस्राएल ही के लिये परमेश्वर है, और तेरा दास दाऊद का घराना तेरे साम्हने स्थिर रहे।

Aur tera naam sadaiv atal rahe, aur yah kah kar teri badai sada ki jaye, ki senaon ka Yahowa Israel ka Parmeshwar hai, varan vah Israel hi ke liye Parmeshwar hai, aur tera daas Daud ka gharana tere samhane sthir rahe.

25

क्योंकि हे मेरे परमेश्वर, तू ने यह कह कर अपने दास पर प्रगट किया है कि मैं तेरा घर बनाए रखूंगा, इस कारण तेरे दास को तेरे सम्मुख प्रार्थना करने का हियाव हुआ है।

Kyonki he mere Parmeshwar, tu ne yah kah kar apne daas par pragat kiya hai ki main tera ghar banaye rakhoonga, is karan tere daas ko tere sammukh prarthana karne ka hiyaav huaa hai.

26

और अब हे यहोवा तू ही परमेश्वर है, और तू ने अपने दास को यह भलाई करने का वचन दिया है।

Aur ab he Yahowa tu hi Parmeshwar hai, aur tu ne apne daas ko yah bhalai karne ka vachan diya hai.

27

और अब तू ने प्रसन्न हो कर, अपने दास के घराने पर ऐसी आशीष दी है, कि वह तेरे सम्मुख सदैव बना रहे, क्योंकि हे यहोवा, तू आशीष दे चुका है, इसलिये वह सदैव आशीषित बना रहे।

Aur ab tu ne prasann ho kar, apne daas ke gharane par aisi aasheesh di hai, ki vah tere sammukh sadaiv bana rahe, kyonki he Yahowa, tu aasheesh de chuka hai, isliye vah sadaiv aasheeshit bana rahe.