1 Chronicles 16 · 43 verses

1 इतिहास 16 1 Chronicles 16 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 16.

1

तब परमेश्वर का सन्दूक ले आकर उस तम्बू में रखा गया जो दाऊद ने उसके लिये खड़ा कराया था; और परमेश्वर के साम्हने होमबलि और मेलबलि चढ़ाए गए।

Tab Parmeshwar ka sandook le aakar us tambu mein rakha gaya jo Daud ne uske liye khada karaya tha; aur Parmeshwar ke samhane homabli aur melabli chadhaye gaye.

2

जब दाऊद होमबलि और मेलबलि चढ़ा जूका, तब उसने यहोवा के नाम से प्रजा को आशीर्वाद दिया।

Jab Daud homabli aur melabli chadha jooka, tab usne Yahowa ke naam se praja ko aasheervaad diya.

3

और उसने क्या पुरुष, क्या स्त्री, सब इस्राएलियों को एक एक रोटी और एक एक टुकड़ा मांस और किशमिश की एक एक टिकिया बंटवा दी।

Aur usne kya purush, kya stri, sab Israeliyon ko ek ek roti aur ek ek tukda maans aur kishmish ki ek ek tikiya bantva di.

4

तब उसने कई लेवियों को इसलिये ठहरा दिया, कि यहोवा के सन्दूक के साम्हने सेवा टहल किया करें, और इस्राएल के परमेश्वर यहोवा की चर्चा और उसका धन्यवाद और स्तुति किया करें।

Tab usne kai leviyon ko isliye thahra diya, ki Yahowa ke sandook ke samhane seva tahal kiya karein, aur Israel ke Parmeshwar Yahowa ki charcha aur uska dhanyavaad aur stuti kiya karein.

5

उनका मुखिया तो आसाप था, और उसके नीचे जकर्याह था, फिर यीएल, शमीरामोत, यहीएल, मत्तित्याह, एलीआब बनायाह, ओबेदेदोम और यीएल थे; ये तो सारंगियां और वीणाएं लिये हुए थे, और आसाप झांझ पर राग बजाता था।

Unka mukhiya to aasaap tha, aur uske neeche jakaryaah tha, phir yeeyel, shameeramot, yaheeyel, mattityaah, eleeaab banayaah, obededom aur yeeyel the; ye to sarangiyan aur veenayen liye hue the, aur aasaap jhaanjh par raag bajata tha.

6

और बनायाह और यहजीएल नाम याजक परमेश्वर की वाचा के सन्दूक के साम्हने नित्य तुरहियां बजाने के लिए नियुक्त किए गए।

Aur banayaah aur yahjeeyel naam yajak Parmeshwar ki vacha ke sandook ke samhane nitya turhiyan bajane ke liye niyukt kiye gaye.

7

तब उसी दिन दाऊद ने यहोवा का धन्यवाद करने का काम आसाप और उसके भाइयों को सौंप दिया।

Tab usi din Daud ne Yahowa ka dhanyavaad karne ka kaam aasaap aur uske bhaiyon ko saump diya.

8

यहोवा का धन्यवाद करो, उस से प्रार्थना करो; देश देश में उसके कामों का प्रचार करो।

Yahowa ka dhanyavaad karo, us se prarthana karo; desh desh mein uske kamon ka prachaar karo.

9

उसका गीत गाओ, उसका भजन करो, उसके सब आश्चर्य-कर्मों का ध्यान करो।

Uska geet gao, uska bhajan karo, uske sab aashcharya-karmon ka dhyaan karo.

10

उसके पवित्र नाम पर घमंड करो; यहोवा के खोजियों का हृदय आनन्दित हो।

Uske pavitra naam par ghamand karo; Yahowa ke khojiyon ka hriday aanandit ho.

11

यहोवा और उसकी सामर्थ की खोज करो; उसके दर्शन के लिए लगातार खोज करो।

Yahowa aur uski samarth ki khoj karo; uske darshan ke liye lagataar khoj karo.

12

उसके किए हुए आश्चर्यकर्म, उसके चमत्कार और न्यायवचन स्मरण करो।

Uske kiye hue aashcharyakarm, uske chamatkaar aur nyayavchan smaran karo.

13

हे उसके दास इस्राएल के वंश, हे याकूब की सन्तान तुम जो उसके चुने हुए हो!

He uske daas Israel ke vansh, he Yakub ki santaan tum jo uske chune hue ho!

14

वही हमारा परमेश्वर यहोवा है, उसके न्याय के काम पृथ्वी भर में होते हैं।

Vahi hamara Parmeshwar Yahowa hai, uske nyaay ke kaam prithvi bhar mein hote hain.

15

उसकी वाचा को सदा स्मरण रखो, यह वही वचन है जो उसने हजार पीढ़ियों के लिये ठहरा दिया।

Uski vacha ko sada smaran rakho, yah vahi vachan hai jo usne hajaar peedhiyon ke liye thahra diya.

16

वह वाचा उसने इब्राहीम के साथ बान्धी, और उसी के विषय उसने इसहाक से शपथ खाई,

Vah vacha usne Ibrahim ke saath bandhi, aur usi ke vishay usne Ishaq se shapath khai,

17

और उसी को उसने याकूब के लिये विधि कर के और इस्राएल के लिये सदा की वाचा बान्ध कर यह कह कर दृढ़ किया, कि

Aur usi ko usne Yakub ke liye vidhi kar ke aur Israel ke liye sada ki vacha baandh kar yah kah kar dridh kiya, ki

18

मैं कनान देश तुझी को दूंगा, वह बांट में तुम्हारा निज भाग होगा।

Main kanaan desh tujhi ko doonga, vah baant mein tumhara nij bhaag hoga.

19

उस समय तो तुम गिनती में थोड़े थे, वरन बहुत ही थोड़े और उस देश में परदेशी थे।

Us samay to tum ginti mein thode the, varan bahut hi thode aur us desh mein pardeshi the.

20

और वे एक जाति से दूसरी जाति में, और एक राज्य से दूसरे में फिरते तो रहे,

Aur ve ek jati se doosri jati mein, aur ek rajya se doosre mein phirte to rahe,

21

परन्तु उसने किसी मनुष्य को उन पर अन्धेर करने न दिया; और वह राजाओं को उनके निमित्त यह धमकी देता था, कि

Parantu usne kisi manushya ko un par andher karne na diya; aur vah rajaon ko unke nimitt yah dhamki deta tha, ki

22

मेरे अभिषिक्तों को मत छुओ, और न मेरे नबियों की हानि करो।

Mere abhishikton ko mat chhuo, aur na mere nabiyon ki hani karo.

23

हे समस्त पृथ्वी के लोगो यहोवा का गीत गाओ। प्रतिदिन उसके किए हुए उद्धार का शुभ समाचार सुनाते रहो।

He samast prithvi ke logo Yahowa ka geet gao. Pratidin uske kiye hue uddhaar ka shubh samachaar sunate raho.

24

अन्यजातियों में उसकी महिमा का, और देश देश के लोगों में उसके आश्चर्य-कर्मों का वर्णन करो।

Anyajatiyon mein uski mahima ka, aur desh desh ke logon mein uske aashcharya-karmon ka varnan karo.

25

क्योंकि यहोवा महान और स्तुति के अति योग्य है, वह तो सब देवताओं से अधिक भययोग्य है।

Kyonki Yahowa mahaan aur stuti ke ati yogya hai, vah to sab devtaon se adhik bhayyogya hai.

26

क्योंकि देश देश के सब देवता मूर्तियां ही हैं; परन्तु यहोवा ही ने स्वर्ग को बनाया है।

Kyonki desh desh ke sab devta moortiyan hi hain; parantu Yahowa hi ne swarg ko banaya hai.

27

उसके चारों ओर वैभव और ऐश्वर्य है; उसके स्थान में सामर्थ और आनन्द है।

Uske charon or vaibhav aur aishwarya hai; uske sthaan mein samarth aur aanand hai.

28

हे देश देश के कुलो, यहोवा का गुणानुवाद करो,।

He desh desh ke kulo, Yahowa ka gunanuvaad karo,.

29

यहोवा की महिमा और सामर्थ को मानो। यहोवा के नाम की महिमा ऐसी मानो जो उसके नाम के योग्य है। भेंट ले कर उसके सम्मुख आओ, पवित्रता से शोभायमान हो कर यहोवा को दण्डवत करो।

Yahowa ki mahima aur samarth ko mano. Yahowa ke naam ki mahima aisi mano jo uske naam ke yogya hai. Bhent le kar uske sammukh aao, pavitrata se shobhaymaan ho kar Yahowa ko dandavat karo.

30

हे सारी पृथ्वी के लोगो उसके साम्हने थरथराओ! जगत ऐसा स्थिर है, कि वह टलने का नहीं।

He sari prithvi ke logo uske samhane tharathrao! Jagat aisa sthir hai, ki vah talne ka nahi.

31

आकाश आनन्द करे और पृथ्वी मगन हो, और जाति जाति में लोग कहें, कि यहोवा राजा हुआ है।

Aakaash aanand kare aur prithvi magan ho, aur jati jati mein log kahein, ki Yahowa raja huaa hai.

32

समुद्र और उस में की सब वस्तुएं गरज उठें, मैदान और जो कुछ उस में है सो प्रफुल्लित हों।

Samudra aur us mein ki sab vastuein garaj uthein, maidaan aur jo kuchh us mein hai so praphullit hon.

33

उसी समय वन के वृक्ष यहोवा के साम्हने जयजयकार करें, क्योंकि वह पृथ्वी का न्याय करने को आने वाला है।

Usi samay van ke vriksh Yahowa ke samhane jayjaykaar karein, kyonki vah prithvi ka nyaay karne ko aane vala hai.

34

यहोवा का धन्यवाद करो, क्योंकि वह भला है; उसकी करुणा सदा की है।

Yahowa ka dhanyavaad karo, kyonki vah bhala hai; uski karuna sada ki hai.

35

और यह कहो, कि हे हमारे उद्धार करने वाले परमेश्वर हमारा उद्धार कर, और हम को इकट्ठा कर के अन्यजातियों से छुड़ा, कि हम तेरे पवित्र नाम का धन्यवाद करें, और तेरी स्तुति करते हुए तेरे विषय बड़ाई करें।

Aur yah kaho, ki he hamare uddhaar karne vale Parmeshwar hamara uddhaar kar, aur ham ko ikattha kar ke anyajatiyon se chhuda, ki ham tere pavitra naam ka dhanyavaad karein, aur teri stuti karte hue tere vishay badai karein.

36

अनादिकाल से अनन्तकाल तक इस्राएल का परमेश्वर यहोवा धन्य है। तब सब प्रजा ने आमीन कहा: और यहोवा की स्तुति की।

Anadikaal se anantakaal tak Israel ka Parmeshwar Yahowa dhanya hai. Tab sab praja ne Aamin kaha: aur Yahowa ki stuti ki.

37

तब उसने वहां अर्थात यहोवा की वाचा के सन्दूक के साम्हने आसाप और उसके भाइयों को छोड़ दिया, कि प्रतिदिन के प्रयोजन के अनुसार वे सन्दूक के साम्हने नित्य सेवा टहल किया करें!

Tab usne vahan arthaat Yahowa ki vacha ke sandook ke samhane aasaap aur uske bhaiyon ko chhod diya, ki pratidin ke prayojan ke anusaar ve sandook ke samhane nitya seva tahal kiya karein!

38

और अड़सठ भाइयों समेत ओबेदेदोम को, और द्वारपालों के लिये यदूतून के पुत्र ओबेदेदोम और होसा को छोड़ दिया।

Aur adsath bhaiyon samet obededom ko, aur dwarpalon ke liye yadootoon ke putra obededom aur hosa ko chhod diya.

39

फिर उसने सादोक याजक और उसके भाई याजकों को यहोवा के निवास के साम्हने, जो गिबोन के ऊंचे स्थान में था, ठहरा दिया,

Phir usne sadok yajak aur uske bhai yajkon ko Yahowa ke nivaas ke samhane, jo gibon ke oonche sthaan mein tha, thahra diya,

40

कि वे नित्य सवेरे और सांझ को होमबलि की वेदी पर यहोवा को होमबलि चढ़ाया करें, और उन सब के अनुसार किया करें, जो यहोवा की व्यवस्था में लिखा है, जिसे उसने इस्राएल को दिया था।

Ki ve nitya savere aur saanjh ko homabli ki vedi par Yahowa ko homabli chadhaya karein, aur un sab ke anusaar kiya karein, jo Yahowa ki vyavastha mein likha hai, jise usne Israel ko diya tha.

41

और उनके संग उसने हेमान और यदूतून और दूसरों को भी जो नाम ले कर चुने गए थे ठहरा दिया, कि यहोवा की सदा की करुणा के कारण उसका धन्यवाद करें।

Aur unke sang usne hemaan aur yadootoon aur doosron ko bhi jo naam le kar chune gaye the thahra diya, ki Yahowa ki sada ki karuna ke karan uska dhanyavaad karein.

42

और उनके संग उसने हेमान और यदूतून को बजाने वालों के लिये तुरहियां और झांझें और परमेश्वर के गीत गाने के लिये बाजे दिए, और यदूतून के बेटों को फाटक की रखवाली करने को ठहरा दिया।

Aur unke sang usne hemaan aur yadootoon ko bajane valon ke liye turhiyan aur jhanjhein aur Parmeshwar ke geet gane ke liye baje diye, aur yadootoon ke beton ko phatak ki rakhvali karne ko thahra diya.

43

निदान प्रजा के सब लोग अपने अपने घर चले गए, और दाऊद अपने घराने को आशीर्वाद देने लौट गया।

Nidaan praja ke sab log apne apne ghar chale gaye, aur Daud apne gharane ko aasheervaad dene laut gaya.