1 Chronicles 15 · 29 verses

1 इतिहास 15 1 Chronicles 15 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 15.

1

तब दाऊद ने दाऊदपुर में भवन बनवाए, और परमेश्वर के सन्दूक के लिये एक स्थान तैयार कर के एक तम्बू खड़ा किया।

Tab Daud ne daoodpur mein bhavan banvaye, aur Parmeshwar ke sandook ke liye ek sthaan taiyaar kar ke ek tambu khada kiya.

2

तब दाऊद ने कहा, लेवियों को छोड़ और किसी को परमेश्वर का सन्दूक उठाना नहीं चाहिये, क्योंकि यहोवा ने उन को इसी लिये चुना है कि वे परमेश्वर का सन्दूक उठाएं और उसकी सेवा टहल सदा किया करें।

Tab Daud ne kaha, leviyon ko chhod aur kisi ko Parmeshwar ka sandook uthana nahi chahiye, kyonki Yahowa ne un ko isi liye chuna hai ki ve Parmeshwar ka sandook uthayen aur uski seva tahal sada kiya karein.

3

तब दाऊद ने सब इस्राएलियों को यरूशलेम में इसलिये इकट्ठा किया कि यहोवा का सन्दूक उस स्थान पर पहुंचाएं, जिसे उसने उसके लिये तैयार किया था।

Tab Daud ne sab Israeliyon ko Yerushalem mein isliye ikattha kiya ki Yahowa ka sandook us sthaan par pahunchayen, jise usne uske liye taiyaar kiya tha.

4

इसलिये दाऊद ने हारून के सन्तानों और लेवियों को इकट्ठा किया:

Isliye Daud ne haroon ke santanon aur leviyon ko ikattha kiya:

5

अर्थात कहातियों में से ऊरीएल नाम प्रधान को और उसके एक सौ बीस भाइयों को;

Arthaat kahatiyon mein se ooreeyel naam pradhaan ko aur uske ek sau bees bhaiyon ko;

6

मरारियों में से असायाह नाम प्रधान को और उसके दो सौ बीस भाइयों को;

Marariyon mein se asayaah naam pradhaan ko aur uske do sau bees bhaiyon ko;

7

गेर्शोमियों में से योएल नाम प्रधान को और उसके एक सौ तीस भाइयों को;

Gershomiyon mein se yoyel naam pradhaan ko aur uske ek sau tees bhaiyon ko;

8

एलीसापानियों में से शमायाह नाम प्रधान को और उसके दो सौ भाइयों को;

Eleesapaniyon mein se shamayaah naam pradhaan ko aur uske do sau bhaiyon ko;

9

हेब्रोनियों में से एलीएल नाम प्रधान को और उसके अस्सी भाइयों को;

Hebroniyon mein se eleeyel naam pradhaan ko aur uske assi bhaiyon ko;

10

और उज्जीएलियों में से अम्मीनादाब नाम प्रधान को और उसके एक सौ बारह भाइयों को।

Aur ujjeeyeliyon mein se ammeenadaab naam pradhaan ko aur uske ek sau barah bhaiyon ko.

11

तब दाऊद ने सादोक और एब्यातार नाम याजकों को, और ऊरीएल, असायाह, योएल, शमायाह, एलीएल और अम्मीनादाब नाम लेवियों को बुलवा कर उन से कहा,

Tab Daud ne sadok aur ebyataar naam yajkon ko, aur ooreeyel, asayaah, yoyel, shamayaah, eleeyel aur ammeenadaab naam leviyon ko bulva kar un se kaha,

12

तुम तो लेवीय पितरों के घरानों में मुख्य पुरुष हो; इसलिये अपने भाइयों समेत अपने अपने को पवित्र करो, कि तुम इस्राएल के परमेश्वर यहोवा का सन्दूक उस स्थान पर पहुंचा सको जिस को मैं ने उसके लिये तैयार किया है।

Tum to leveeya pitron ke gharanon mein mukhya purush ho; isliye apne bhaiyon samet apne apne ko pavitra karo, ki tum Israel ke Parmeshwar Yahowa ka sandook us sthaan par pahuncha sako jis ko main ne uske liye taiyaar kiya hai.

13

क्योंकि पहिली बार तुम ने उसको न उठाया इस कारण हमारा परमेश्वर यहोवा हम पर टूट पड़ा, क्योंकि हम उसकी खोज में नियम के अनुसार न लगे थे।

Kyonki pahili baar tum ne usko na uthaya is karan hamara Parmeshwar Yahowa ham par toot pada, kyonki ham uski khoj mein niyam ke anusaar na lage the.

14

तब याजकों और लेवियों ने अपने अपने को पवित्र किया, कि इस्राएल के परमेश्वर यहोवा का सन्दूक ले जा सकें।

Tab yajkon aur leviyon ne apne apne ko pavitra kiya, ki Israel ke Parmeshwar Yahowa ka sandook le ja sakein.

15

तब उस आज्ञा के अनुसार जो मूसा ने यहोवा का वचन सुन कर दी थी, लेवियों ने सन्दूक को डंडों के बल अपने कंधों पर उठा लिया।

Tab us aagya ke anusaar jo Musa ne Yahowa ka vachan sun kar di thi, leviyon ne sandook ko dandon ke bal apne kandhon par utha liya.

16

और दाऊद ने प्रधान लेवियों को आज्ञा दी, कि अपने भाई गवैयों को बाजे अर्थात सारंगी, वीणा और झांझ देकर बजाने और आनन्द के साथ ऊंचे स्वर से गाने के लिये नियुक्त करें।

Aur Daud ne pradhaan leviyon ko aagya di, ki apne bhai gavaiyon ko baje arthaat sarangi, veena aur jhaanjh dekar bajane aur aanand ke saath oonche swar se gane ke liye niyukt karein.

17

तब लेवियों ने योएल के पुत्र हेमान को, और उसके भाइयों में से बेरेक्याह के पुत्र आसाप को, और अपने भाई मरारियों में से कूशायाह के पुत्र एतान को ठहराया।

Tab leviyon ne yoyel ke putra hemaan ko, aur uske bhaiyon mein se berekyaah ke putra aasaap ko, aur apne bhai marariyon mein se kooshayaah ke putra etaan ko thahraya.

18

और उनके साथ उन्होंने दूसरे पद के अपने भाइयों को अर्थात जकर्याह, बेन, याजीएल, शमीरामोत, यहीएल, उन्नी, एलीआब, बनायाह, मासेयाह, मत्तित्याह, एलीपकेह, मिकनेयाह, और ओबेदेदोम और पीएल को जो द्वारपाल थे ठहराया।

Aur unke saath unhonne doosre pad ke apne bhaiyon ko arthaat jakaryaah, ben, yajeeyel, shameeramot, yaheeyel, unni, eleeaab, banayaah, maseyaah, mattityaah, eleepkeh, mikneyaah, aur obededom aur peeyel ko jo dwarpaal the thahraya.

19

यों हेमान, आसाप और एतान नाम के गवैये तो पीतल की झांझ बजा बजाकर राग चलाने को;

Yon hemaan, aasaap aur etaan naam ke gavaiye to peetal ki jhaanjh baja bajakar raag chalane ko;

20

और जकर्याह, अजीएल, शमीरामोत, यहीएल, उन्नी, एलीआब, मासेयाह, और बनायाह, अलामोत, नाम राग में सारंगी बजाने को;

Aur jakaryaah, ajeeyel, shameeramot, yaheeyel, unni, eleeaab, maseyaah, aur banayaah, alamot, naam raag mein sarangi bajane ko;

21

और मत्तित्याह, एलीपकेह, मिकनेयाह ओबेदेदोम, यीएल और अजज्याह वीणा खर्ज में छेड़ने को ठहराए गए।

Aur mattityaah, eleepkeh, mikneyaah obededom, yeeyel aur ajajyaah veena kharj mein chhedne ko thahraye gaye.

22

और राग उठाने का अधिकारी कनन्याह नाम लेवियों का प्रधान था, वह राग उठाने के विषय शिक्षा देता था, क्योंकि वह निपुण था।

Aur raag uthane ka adhikari kananyaah naam leviyon ka pradhaan tha, vah raag uthane ke vishay shiksha deta tha, kyonki vah nipun tha.

23

और बेरेक्याह और एलकाना सन्दूक के द्वारपाल थे।

Aur berekyaah aur elkana sandook ke dwarpaal the.

24

और शबन्याह, योशापात, नतनेल, अमासै, जकर्याह, बनायाह और एलीएजेर नाम याजक परमेश्वर के सन्दूक के आगे आगे तुरहियां बजाते हुए चले, और ओबेदेदोम और यहिय्याह उसके द्वारपाल थे।

Aur shabanyaah, yoshapaat, natnel, amasai, jakaryaah, banayaah aur eleeyejer naam yajak Parmeshwar ke sandook ke aage aage turhiyan bajate hue chale, aur obededom aur yahiyyaah uske dwarpaal the.

25

और दाऊद और इस्राएलियों के पुरनिये और सहस्त्रपति सब मिल कर यहोवा की वाचा का सन्दूक ओबेदेदोम के घर से आनन्द के साथ ले आने के लिए गए।

Aur Daud aur Israeliyon ke purniye aur sahastrapti sab mil kar Yahowa ki vacha ka sandook obededom ke ghar se aanand ke saath le aane ke liye gaye.

26

जब परमेश्वर ने लेवियों की सहायता की जो यहोवा की वाचा का सन्दूक उठाने वाले थे, तब उन्होंने सात बैल और सात मेढ़े बलि किए।

Jab Parmeshwar ne leviyon ki sahayta ki jo Yahowa ki vacha ka sandook uthane vale the, tab unhonne saat bail aur saat medhe bali kiye.

27

दाऊद, और यहोवा की वाचा का सन्दूक उठाने वाले सब लेवीय और गाने वाले और गाने वालों के साथ राग उठाने वाले का प्रधान कनन्याह, ये सब तो सन के कपड़े के बागे पहिने थे, और दाऊद सन के कपड़े का एपोद पहिने था।

Daud, aur Yahowa ki vacha ka sandook uthane vale sab leveeya aur gane vale aur gane valon ke saath raag uthane vale ka pradhaan kananyaah, ye sab to san ke kapde ke bage pahine the, aur Daud san ke kapde ka epod pahine tha.

28

इस प्रकार सब इस्राएली यहोवा की वाचा के सन्दूक को जयजयकार करते, और नरसिंगे, तुरहियां और झांझ बजाते और सारंगियां और वीणा बजाते हुए ले चले।

Is prakaar sab Israeli Yahowa ki vacha ke sandook ko jayjaykaar karte, aur narsinge, turhiyan aur jhaanjh bajate aur sarangiyan aur veena bajate hue le chale.

29

जब यहोवा की वाचा का सन्दूक दाऊदपुर में पहुंचा तब शाऊल की बेटी मीकल ने खिड़की में से झांक कर दाऊद राजा को कूदते और खेलते हुए देखा, और उसे मन ही मन तुच्छ जाना।

Jab Yahowa ki vacha ka sandook daoodpur mein pahuncha tab shaool ki beti meekal ne khidki mein se jhaank kar Daud raja ko koodte aur khelte hue dekha, aur use man hi man tuchchh jana.