1 Chronicles 14 · 17 verses

1 इतिहास 14 1 Chronicles 14 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 14.

1

और सोर के राजा हीराम ने दाऊद के पास दूत भेजे, और उसका भवन बनाने को देवदारु की लकड़ी और राज और बढ़ई भेजे।

Aur sor ke raja heeraam ne Daud ke paas doot bheje, aur uska bhavan banane ko devdaru ki lakdi aur raaj aur badhai bheje.

2

और दाऊद को निश्चय हो गया कि यहोवा ने मुझे इस्राएल का राजा कर के स्थिर किया, क्योंकि उसकी प्रजा इस्राएल के निमित्त उसका राज्य अत्यन्त बढ़ गया था।

Aur Daud ko nishchay ho gaya ki Yahowa ne mujhe Israel ka raja kar ke sthir kiya, kyonki uski praja Israel ke nimitt uska rajya atyant badh gaya tha.

3

और यरूशलेम में दाऊद ने और स्त्रियां ब्याह लीं, और उन से और बेटे-बेटियां उत्पन्न हुईं।

Aur Yerushalem mein Daud ne aur striyan byaah li, aur un se aur bete-betiyan utpann hui.

4

उसके जो सन्तान यरूशलेम में उत्पन्न हुए, उनके नाम ये हैं: अर्थात शम्मू, शोबाब, नातान, सुलैमान;

Uske jo santaan Yerushalem mein utpann hue, unke naam ye hain: arthaat shammu, shobaab, nataan, sulaimaan;

5

यिभार, एलीशू, एलपेलेत;

Yibhaar, eleeshu, elpelet;

6

नोगह, नेपेग, यापी, एलीशामा,

Nogah, nepeg, yapi, eleeshama,

7

बेल्यादा और एलीपेलेद।

Belyada aur eleepeled.

8

जब पलिश्तियों ने सुना कि पूरे इस्राएल का राजा होने के लिये दाऊद का अभिषेक हुआ, तब सब पलिश्तियों ने दाऊद की खोज में चढ़ाई की; यह सुन कर दाऊद उनका साम्हना करने को निकल गया।

Jab palishtiyon ne suna ki poore Israel ka raja hone ke liye Daud ka abhishek huaa, tab sab palishtiyon ne Daud ki khoj mein chadhai ki; yah sun kar Daud unka samhana karne ko nikal gaya.

9

और पलिश्ती आए और रपाईम नाम तराई में धावा मारा।

Aur palishti aaye aur rapaim naam tarai mein dhava mara.

10

तब दाऊद ने परमेश्वर से पूछा, क्या मैं पलिश्तियों पर चढ़ाई करूं? और क्या तू उन्हें मेरे हाथ में कर देगा? यहोवा ने उस से कहा, चढ़ाई कर, क्योंकि मैं उन्हें तेरे हाथ में कर दूंगा।

Tab Daud ne Parmeshwar se poochha, kya main palishtiyon par chadhai karun? Aur kya tu unhein mere haath mein kar dega? Yahowa ne us se kaha, chadhai kar, kyonki main unhein tere haath mein kar doonga.

11

इसलिये जब वे बालपरासीम को आए, तब दाऊद ने उन को वहीं मार लिया; तब दाऊद ने कहा, परमेश्वर मेरे द्वारा मेरे शत्रुओं पर जल की धारा की नाईं टूट पड़ा है। इस कारण उस स्थान का नाम बालपरासीम रखा गया।

Isliye jab ve balapraseem ko aaye, tab Daud ne un ko vahi maar liya; tab Daud ne kaha, Parmeshwar mere dwara mere shatruon par jal ki dhara ki nai toot pada hai. Is karan us sthaan ka naam balapraseem rakha gaya.

12

वहां वे अपने देवताओं को छोड़ गए, और दाऊद की आज्ञा से वे आग लगाकर फूंक दिए गए।

Vahan ve apne devtaon ko chhod gaye, aur Daud ki aagya se ve aag lagakar phoonk diye gaye.

13

फिर दूसरी बार पलिश्तियों ने उसी तराई में धावा मारा।

Phir doosri baar palishtiyon ne usi tarai mein dhava mara.

14

तब दाऊद ने परमेश्वर से फिर पूछा, और परमेश्वर ने उस से कहा, उनका पीछा मत कर; उन से मुड़कर तूत के वृक्षों के साम्हने से उन पर छापा मार।

Tab Daud ne Parmeshwar se phir poochha, aur Parmeshwar ne us se kaha, unka peechha mat kar; un se mudkar toot ke vrikshon ke samhane se un par chhapa maar.

15

और जब तूत के वृक्षों की फुनगियों में से सेना के चलने की सी आहट तुझे सुन पड़े, तब यह जान कर युद्ध करने को निकल जाना कि परमेश्वर पलिश्तियों की सेना को मारने के लिये तेरे आगे जा रहा है।

Aur jab toot ke vrikshon ki phungiyon mein se sena ke chalne ki si aahat tujhe sun pade, tab yah jaan kar yuddh karne ko nikal jana ki Parmeshwar palishtiyon ki sena ko marne ke liye tere aage ja raha hai.

16

परमेश्वर की इस आज्ञा के अनुसार दाऊद ने किया, और इस्राएलियों ने पलिश्तियों की सेना को गिबोन से ले कर गेजेर तक मार लिया।

Parmeshwar ki is aagya ke anusaar Daud ne kiya, aur Israeliyon ne palishtiyon ki sena ko gibon se le kar gejer tak maar liya.

17

तब दाऊद की कीर्ति सब देशों में फैल गई, और यहोवा ने सब जातियों के मन में उसका भय भर दिया।

Tab Daud ki keerti sab deshon mein phail gai, aur Yahowa ne sab jatiyon ke man mein uska bhay bhar diya.