और दाऊद ने सहस्त्रपतियों, शतपतियों और सब प्रधानों से सम्मति ली।
Aur Daud ne sahastraptiyon, shataptiyon aur sab pradhanon se sammati li.
1 Chronicles 13 · 14 verses
और दाऊद ने सहस्त्रपतियों, शतपतियों और सब प्रधानों से सम्मति ली।
Aur Daud ne sahastraptiyon, shataptiyon aur sab pradhanon se sammati li.
तब दाऊद ने इस्राएल की सारी मण्डली से कहा, यदि यह तुम को अच्छा लगे और हमारे परमेश्वर की इच्छा हो, तो इस्राएल के सब देशों में जो हमारे भाई रह गए हैं और उनके साथ जो याजक और लेवीय अपने अपने चराई वाले नगरों में रहते हैं, उनके पास भी यह कहला भेजें कि हमारे पास इकट्ठे हो जाओ।
Tab Daud ne Israel ki sari mandali se kaha, yadi yah tum ko achchha lage aur hamare Parmeshwar ki ichchha ho, to Israel ke sab deshon mein jo hamare bhai rah gaye hain aur unke saath jo yajak aur leveeya apne apne charai vale nagron mein rahte hain, unke paas bhi yah kahla bhejein ki hamare paas ikatthe ho jao.
और हम अपने परमेश्वर के सन्दूक को अपने यहां ले आएं; क्योंकि शाऊल के दिनों में हम उसके समीप नहीं जाते थे।
Aur ham apne Parmeshwar ke sandook ko apne yahan le aayen; kyonki shaool ke dinon mein ham uske sameep nahi jate the.
और समस्त मण्डली ने कहा, हम ऐसा ही करेंगे, क्योंकि यह बात उन सब लोगों की दृष्टि में उचित मालूम हुई।
Aur samast mandali ne kaha, ham aisa hi karenge, kyonki yah baat un sab logon ki drishti mein uchit maloom hui.
तब दाऊद ने मिस्र के शीहोर से ले हमात की घाटी तब के सब इस्राएलियों को इसलिये इकट्ठा किया, कि परमेश्वर के सन्दूक को किर्यत्यारीम से ले आए।
Tab Daud ne Misr ke sheehor se le hamaat ki ghati tab ke sab Israeliyon ko isliye ikattha kiya, ki Parmeshwar ke sandook ko kiryatyareem se le aaye.
तब दाऊद सब इस्राएलियों को संग ले कर बाला को गया, जो किर्यत्यारीम भी कहलाता और यहूदा के भाग में था, कि परमेश्वर यहोवा का सन्दूक वहां से ले आए; वह तो करूबों पर विराजने वाला है, और उसका नाम भी यही लिया जाता है।
Tab Daud sab Israeliyon ko sang le kar bala ko gaya, jo kiryatyareem bhi kahlata aur Yahuda ke bhaag mein tha, ki Parmeshwar Yahowa ka sandook vahan se le aaye; vah to karoobon par virajne vala hai, aur uska naam bhi yahi liya jata hai.
तब उन्होंने परमेश्वर का सन्दूक एक नई गाड़ी पर चढ़ा कर, अबीनादाब के घर से निकाला, और उज्जा और अह्यो उस गाड़ी को हांकने लगे।
Tab unhonne Parmeshwar ka sandook ek nai gadi par chadha kar, abeenadaab ke ghar se nikala, aur ujja aur ahyo us gadi ko hankne lage.
और दाऊद और सारे इस्राएली परमेश्वर के साम्हने तन मन से गीत गाते और वीणा, सारंगी, डफ, झांझ और तुरहियां बजाते थे।
Aur Daud aur sare Israeli Parmeshwar ke samhane tan man se geet gate aur veena, sarangi, daph, jhaanjh aur turhiyan bajate the.
जब वे कीदोन के खलिहान तक आए, तब उज्जा ने अपना हाथ सन्दूक थामने को बढ़ाया, क्योंकि बैलों ने ठोकर खाई थी।
Jab ve keedon ke khalihaan tak aaye, tab ujja ne apna haath sandook thamne ko badhaya, kyonki bailon ne thokar khai thi.
तब यहोवा का कोप उज्जा पर भड़क उठा; और उसने उसको मारा क्योंकि उसने सन्दूक पर हाथ लगाया था; वह वहीं परमेश्वर के साम्हने मर गया।
Tab Yahowa ka kop ujja par bhadak utha; aur usne usko mara kyonki usne sandook par haath lagaya tha; vah vahi Parmeshwar ke samhane mar gaya.
तब दाऊद अप्रसन्न हुआ, इसलिये कि यहोवा उज्जा पर टूट पड़ा था; और उसने उस स्थान का नाम पेरेसुज्जा रखा, यह नाम आज तक बना है।
Tab Daud aprasann huaa, isliye ki Yahowa ujja par toot pada tha; aur usne us sthaan ka naam peresujja rakha, yah naam aaj tak bana hai.
और उस दिन दाऊद परमेश्वर से डर कर कहने लगा, मैं परमेश्वर के सन्दूक को अपने यहां कैसे ले आऊं?
Aur us din Daud Parmeshwar se dar kar kahne laga, main Parmeshwar ke sandook ko apne yahan kaise le aaun?
तब दाऊद ने सन्दूक को अपने यहां दाऊदपुर में न लाया, परन्तु ओबेदेदोम नाम गती के यहां ले गया।
Tab Daud ne sandook ko apne yahan daoodpur mein na laya, parantu obededom naam gati ke yahan le gaya.
और परमेश्वर का सन्दूक ओबेदेदोम के यहां उसके घराने के पास तीन महीने तक रहा, और यहोवा ने ओबेदेदोम के घराने पर और जो कुछ उसका था उस पर भी आशीष दी।
Aur Parmeshwar ka sandook obededom ke yahan uske gharane ke paas teen maheene tak raha, aur Yahowa ne obededom ke gharane par aur jo kuchh uska tha us par bhi aasheesh di.