1 Chronicles 11 · 47 verses

1 इतिहास 11 1 Chronicles 11 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 11.

1

तब सब इस्राएली दाऊद के पास हेब्रोन में इकट्ठे हो कर कहने लगे, सुन, हम लोग और तू एक ही हड्डी और मांस हैं।

Tab sab Israeli Daud ke paas hebron mein ikatthe ho kar kahne lage, sun, ham log aur tu ek hi haddi aur maans hain.

2

अगले दिनों में जब शाऊल राजा था, तब भी इस्राएलियों का अगुआ तू ही था, और तेरे परमेश्वर यहोवा ने तुझ से कहा, कि मेरी प्रजा इस्राएल का चरवाहा, और मेरी प्रजा इस्राएल का प्रधान, तू ही होगा।

Agle dinon mein jab shaool raja tha, tab bhi Israeliyon ka aguaa tu hi tha, aur tere Parmeshwar Yahowa ne tujh se kaha, ki meri praja Israel ka charvaha, aur meri praja Israel ka pradhaan, tu hi hoga.

3

इसलिये सब इस्राएली पुरनिये हेब्रोन में राजा के पास आए, और दाऊद ने उनके साथ हेब्रोन में यहोवा के साम्हने वाचा बान्धी; और उन्होंने यहोवा के वचन के अनुसार, जो उसने शमूएल से कहा था, इस्राएल का राजा होने के लिये दाऊद का अभिषेक किया।

Isliye sab Israeli purniye hebron mein raja ke paas aaye, aur Daud ne unke saath hebron mein Yahowa ke samhane vacha bandhi; aur unhonne Yahowa ke vachan ke anusaar, jo usne shamooyel se kaha tha, Israel ka raja hone ke liye Daud ka abhishek kiya.

4

तब सब इस्राएलियों समेत दाऊद यरूशलेम गया, जो यबूस भी कहलाता था, और वहां यबूसी नाम उस देश के निवासी रहते थे।

Tab sab Israeliyon samet Daud Yerushalem gaya, jo yaboos bhi kahlata tha, aur vahan yaboosi naam us desh ke nivasi rahte the.

5

तब यबूस के निवासियों ने दाऊद से कहा, तू यहां आने नहीं पाएगा। तौभी दाऊद ने सिय्योन नाम गढ़ को ले लिया, वही दाऊदपुर भी कहलाता है।

Tab yaboos ke nivasiyon ne Daud se kaha, tu yahan aane nahi payega. Taubhi Daud ne siyyon naam gadh ko le liya, vahi daoodpur bhi kahlata hai.

6

और दाऊद ने कहा, जो कोई यबूसियों को सब से पहिले मारेगा, वह मुख्य सेनापति होगा, तब सरूयाह का पुत्र योआब सब से पहिले चढ़ गया, और सेनापति बन गया।

Aur Daud ne kaha, jo koi yaboosiyon ko sab se pahile marega, vah mukhya senapti hoga, tab sarooyaah ka putra yoaab sab se pahile chadh gaya, aur senapti ban gaya.

7

और दाऊद उस गढ़ में रहने लगा, इसलिये उसका नाम दाऊदपुर पड़ा।

Aur Daud us gadh mein rahne laga, isliye uska naam daoodpur pada.

8

और उसने नगर के चारों ओर, अर्थात मिल्लो से ले कर चारों ओर शहरपनाह बनवाई, और योआब ने शेष नगर के खष्डहरों को फिर बसाया।

Aur usne nagar ke charon or, arthaat millo se le kar charon or shahrapnaah banvai, aur yoaab ne shesh nagar ke khashdahron ko phir basaya.

9

और दाऊद की प्रतिष्ठा अधिक बढ़ती गई और सेनाओं का यहोवा उसके संग था।

Aur Daud ki pratishtha adhik badhti gai aur senaon ka Yahowa uske sang tha.

10

यहोवा ने इस्राएल के विष्य जो वचन कहा था, उसके अनुसार दाऊद के जिन शूरवीरों ने सब इस्राएलियों समेत उसके राज्य में उसके पक्ष में हो कर, उसे राजा बनाने को ज़ोर दिया, उन में से मुख्य पुरुष थे हैं।

Yahowa ne Israel ke vishya jo vachan kaha tha, uske anusaar Daud ke jin shoorveeron ne sab Israeliyon samet uske rajya mein uske paksh mein ho kar, use raja banane ko zor diya, un mein se mukhya purush the hain.

11

दाऊद के शूरवीरों की नामावली यह है, अर्थात किसी हक्मोनी का पुत्र याशोबाम जो तीसों में मुख्य था, उसने तीन सौ पुरुषों पर भाला चला कर, उन्हें एक ही समय में मार डाला।

Daud ke shoorveeron ki namavli yah hai, arthaat kisi hakmoni ka putra yashobaam jo teeson mein mukhya tha, usne teen sau purushon par bhala chala kar, unhein ek hi samay mein maar dala.

12

उसके बाद अहोही दोदो का पुत्र एलीआज़र जो तीनों महान वीरों में से एक था।

Uske baad ahohi dodo ka putra eleeaazar jo teenon mahaan veeron mein se ek tha.

13

वह पसदम्मीम में जहां जव का एक खेत था, दाऊद के संग रहा जब पलिश्ती वहां युद्ध करने को इकट्ठे हुए थे, और लोग पलिश्तियों के साम्हने से भाग गए।

Vah pasdammeem mein jahan jav ka ek khet tha, Daud ke sang raha jab palishti vahan yuddh karne ko ikatthe hue the, aur log palishtiyon ke samhane se bhaag gaye.

14

तब उन्होंने उस खेत के बीच में खड़े हो कर उसकी रक्षा की, और पलिश्तियों को मारा, और यहोवा ने उनका बड़ा उद्धार किया।

Tab unhonne us khet ke beech mein khade ho kar uski raksha ki, aur palishtiyon ko mara, aur Yahowa ne unka bada uddhaar kiya.

15

और तीसों मुख्य पुरुषों में से तीन दाऊद के पास चट्टान को, अर्थात अदुल्लाम नाम गुफा में गए, और पलिश्तियों की छावनी रपाईम नाम तराई में पड़ी हुई थी।

Aur teeson mukhya purushon mein se teen Daud ke paas chattaan ko, arthaat adullaam naam gupha mein gaye, aur palishtiyon ki chhavni rapaim naam tarai mein padi hui thi.

16

उस समय दाऊद गढ़ में था, और उस समय पलिश्तियों की एक चौकी बेतलेहेम में थी।

Us samay Daud gadh mein tha, aur us samay palishtiyon ki ek chauki betlehem mein thi.

17

तब दाऊद ने बड़ी अभिलाषा के साथ कहा, कौन मुझे बेतलेहेम के फाटक के पास के कुएं का पानी पिलाएगा।

Tab Daud ne badi abhilasha ke saath kaha, kaun mujhe betlehem ke phatak ke paas ke kuein ka pani pilayega.

18

तब वे तीनों जन पलिश्तियों की छावनी में टूट पड़े और बेतलेहेम के फाटक के कुएं से पानी भर कर दाऊद के पास ले आए; परन्तु दाऊद ने पीने से इनकार किया और यहोवा के साम्हने अर्घ कर के उण्डेला।

Tab ve teenon jan palishtiyon ki chhavni mein toot pade aur betlehem ke phatak ke kuein se pani bhar kar Daud ke paas le aaye; parantu Daud ne peene se inkaar kiya aur Yahowa ke samhane argh kar ke undela.

19

और उसने कहा, मेरा परमेश्वर मुझ से ऐसा करना दूर रखे; क्या मैं इन मनुष्यों का लोहू पीऊं जिन्होंने अपने प्राणों पर खेला है? ये तो अपने प्राण पर खेल कर उसे ले आए हैं। इसलिये उसने वह पानी पीने से इनकार किया। इन तीन वीरों ने ये ही काम किए।

Aur usne kaha, mera Parmeshwar mujh se aisa karna door rakhe; kya main in manushyon ka lohu peeun jinhonne apne pranon par khela hai? Ye to apne praan par khel kar use le aaye hain. Isliye usne vah pani peene se inkaar kiya. In teen veeron ne ye hi kaam kiye.

20

और अबीशै जो योआब का भाई था, वह तीनों में मुख्य था। और उसने अपना भाला चला कर तीन सौ को मार डाला और तीनों में नामी हो गया।

Aur abeeshai jo yoaab ka bhai tha, vah teenon mein mukhya tha. Aur usne apna bhala chala kar teen sau ko maar dala aur teenon mein nami ho gaya.

21

दूसरी श्रेणी के तीनों में वह अधिक प्रतिष्ठित था, और उनका प्रधान हो गया, परन्तु मुख्य तीनों का पद को न पहुंचा।

Doosri shreni ke teenon mein vah adhik pratishthit tha, aur unka pradhaan ho gaya, parantu mukhya teenon ka pad ko na pahuncha.

22

यहोयादा का पुत्र बनायाह था, जो कबजेल के एक वीर का पुत्र था, जिसने बड़े बड़े काम किए थे, उसने सिंह समान दो मोआबियों को मार डाला, और हिमऋतु में उसने एक गड़हे में उतर के एक सिंह को मार डाला।

Yahoyada ka putra banayaah tha, jo kabjel ke ek veer ka putra tha, jisne bade bade kaam kiye the, usne sinh samaan do moaabiyon ko maar dala, aur himaritu mein usne ek gadhe mein utar ke ek sinh ko maar dala.

23

फिर उसने एक डील वाले अर्थात पांच हाथ लम्बे मिस्री पुरुष को मार डाला, वह मिस्री हाथ में जुलाहों का ढेका का एक भाला लिए हुए था, परन्तु बनायाह एक लाठी ही लिए हुए उसके पास गया, और मिस्री के हाथ से भाले को छीन कर उसी के भाले से उसे घात किया।

Phir usne ek deel vale arthaat paanch haath lambe misri purush ko maar dala, vah misri haath mein julahon ka dheka ka ek bhala liye hue tha, parantu banayaah ek lathi hi liye hue uske paas gaya, aur misri ke haath se bhale ko chheen kar usi ke bhale se use ghaat kiya.

24

ऐसे ऐसे काम कर के यहोयादा का पुत्र बनायाह उन तीनों वीरों में नामी हो गया।

Aise aise kaam kar ke yahoyada ka putra banayaah un teenon veeron mein nami ho gaya.

25

वह तो तीसों से अधिक प्रतिष्ठित था, परन्तु मुख्य तीनों के पद को न पहुंचा। उसको दाऊद ने अपनी निज सभा में सभासद किया।

Vah to teeson se adhik pratishthit tha, parantu mukhya teenon ke pad ko na pahuncha. Usko Daud ne apni nij sabha mein sabhasad kiya.

26

फिर दलों के वीर ये थे, अर्थात योआब का भाई असाहेल, बेतलेहेमी दोदो का पुत्र एल्हानान।

Phir dalon ke veer ye the, arthaat yoaab ka bhai asahel, betlehemi dodo ka putra elhanaan.

27

हरोरी शम्मोत, पलोनी हेलेस।

Harori shammot, paloni heles.

28

तकोई इक्केश का पुत्र ईरा, अनातोती अबीएजेर।

Takoi ikkesh ka putra ira, anatoti abeeyejer.

29

सिब्बके होसाती, अहोही ईलै।

Sibbake hosati, ahohi ilai.

30

महरै नतोपाई, एक और नतोपाई बाना का पुत्र हेलेद।

Mahrai natopai, ek aur natopai bana ka putra heled.

31

बिन्यामीनियों के गिबा नगरवासी रीबै का पुत्र इतै, पिरातोनी बनायाह।

Binyameeniyon ke giba nagarvasi reebai ka putra itai, piratoni banayaah.

32

गाश के नालों के पास रहने वाला हूरै, अराबावासी अबीएल।

Gaash ke nalon ke paas rahne vala hoorai, arabavasi abeeyel.

33

बहूरीमी अजमावेत, शल्बोनी एल्यहबा।

Bahooreemi ajmavet, shalboni elyahba.

34

गीजोई हाशेम के पुत्र, फिर हरारी शागे का पुत्र योनातान।

Geejoi hashem ke putra, phir harari shage ka putra yonataan.

35

हरारी सकार का पुत्र अहीआम, ऊर का पुत्र एलीपाल।

Harari sakaar ka putra aheeaam, oor ka putra eleepaal.

36

मकेराई हेपेर, पलोनी अहिय्याह।

Makerai heper, paloni ahiyyaah.

37

कर्मेली हेस्रो, एज्बै का पुत्र नारै।

Karmeli hesro, ejbai ka putra narai.

38

नातान का भाई योएल, हग्री का पुत्र मिभार।

Nataan ka bhai yoyel, hagri ka putra mibhaar.

39

अम्मोनी सेलेक, बेरोती नहरै जो सरूयाह के पुत्र योआब का हथियार ढोने वाला था।

Ammoni selek, beroti nahrai jo sarooyaah ke putra yoaab ka hathiyaar dhone vala tha.

40

येतेरी ईरा और गारेब।

Yeteri ira aur gareb.

41

हित्ती ऊरिय्याह, अहलै का पुत्र जाबाद।

Hitti ooriyyaah, ahlai ka putra jabaad.

42

तीस पुरुषों समेत रूबेनी शीजा का पुत्र अदीना जो रूबेनियों का मुखिया था।

Tees purushon samet roobeni sheeja ka putra adeena jo roobeniyon ka mukhiya tha.

43

माका का पुत्र हानान, मेतेनी योशापात।

Maka ka putra hanaan, meteni yoshapaat.

44

अशतारोती उज्जिय्याह, अरोएरी होताम के पुत्र शामा और यीएल।

Ashtaroti ujjiyyaah, aroyeri hotaam ke putra shama aur yeeyel.

45

शिम्री का पुत्र यदीएल और उसका भाई तीसी, योहा।

Shimri ka putra yadeeyel aur uska bhai teesi, yoha.

46

महवीमी एलीएल, एलनाम के पुत्र यरीबै और योशय्याह,

Mahveemi eleeyel, elnaam ke putra yareebai aur yoshayyaah,

47

मोआबी यित्मा, एलीएल, ओबेद और मसोबाई यासीएल।

Moaabi yitma, eleeyel, obed aur masobai yaseeyel.