1 Chronicles 10 · 14 verses

1 इतिहास 10 1 Chronicles 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 1 itihaas 10.

1

पलिश्ती इस्राएलियों से लड़े; और इस्राएली पलिश्तियों के साम्हने से भागे, और गिलबो नाम पहाड़ पर मारे गए।

Palishti Israeliyon se lade; aur Israeli palishtiyon ke samhane se bhage, aur gilbo naam pahaad par mare gaye.

2

और पलिश्ती शाऊल और उसके पुत्रों के पीछे लगे रहे, और पलिश्तियों ने शाऊल के पुत्र योनातान, अबीनादाब और मल्कीशू को मार डाला।

Aur palishti shaool aur uske putron ke peechhe lage rahe, aur palishtiyon ne shaool ke putra yonataan, abeenadaab aur malkeeshu ko maar dala.

3

और शाऊल के साथ घमासान युद्ध होता रहा और धनुर्धारियों ने उसे जा लिया, और वह उनके कारण व्याकुल हो गया।

Aur shaool ke saath ghamasaan yuddh hota raha aur dhanurdhariyon ne use ja liya, aur vah unke karan vyakul ho gaya.

4

तब शाऊल ने अपने हथियार ढोने वाले से कहा, अपनी तलवार खींचकर मुझे भोंक दे, कहीं ऐसा न हो कि वे खतनारहित लोग आकर मेरी ठट्ठा करें, परन्तु उसके हथियार ढोने वाले ने भयभीत हो कर ऐसा करने से इनकार किया, तब शाऊल अपनी तलवार खड़ी कर के उस पर गिर पड़ा।

Tab shaool ne apne hathiyaar dhone vale se kaha, apni talvaar kheenchkar mujhe bhonk de, kahi aisa na ho ki ve khatnarhit log aakar meri thattha karein, parantu uske hathiyaar dhone vale ne bhaybheet ho kar aisa karne se inkaar kiya, tab shaool apni talvaar khadi kar ke us par gir pada.

5

यह देखकर कि शाऊल मर गया है उसका हथियार ढोने वाला भी अपनी तलवार पर आप गिरकर मर गया।

Yah dekhkar ki shaool mar gaya hai uska hathiyaar dhone vala bhi apni talvaar par aap girkar mar gaya.

6

यों शाऊल और उसके तीनों पुत्र, और उसके घराने के सब लोग एक संग मर गए।

Yon shaool aur uske teenon putra, aur uske gharane ke sab log ek sang mar gaye.

7

यह देखकर कि वे भाग गए, और शाऊल और उसके पुत्र मर गए, उस तराई में रहने वाले सब इस्राएली मनुष्य अपने अपने नगर को छोड़कर भाग गए; और पलिश्ती आकर उन में रहने लगे।

Yah dekhkar ki ve bhaag gaye, aur shaool aur uske putra mar gaye, us tarai mein rahne vale sab Israeli manushya apne apne nagar ko chhodkar bhaag gaye; aur palishti aakar un mein rahne lage.

8

दूसरे दिन जब पलिश्ती मारे हुओं के माल को लूटने आए, तब उन को शाऊल और उसके पुत्र गिलबो पहाड़ पर पड़े हुए मिले।

Doosre din jab palishti mare huon ke maal ko lootne aaye, tab un ko shaool aur uske putra gilbo pahaad par pade hue mile.

9

तब उन्होंने उसके वस्त्रों को उतार उसका सिर और हथियार ले लिया और पलिश्तियों के देश के सब स्थानों में दूतों को इसलिये भेजा कि उनके देवताओं और साधारण लोगों में यह शुभ समाचार देते जाएं।

Tab unhonne uske vastron ko utaar uska sir aur hathiyaar le liya aur palishtiyon ke desh ke sab sthanon mein dooton ko isliye bheja ki unke devtaon aur sadharan logon mein yah shubh samachaar dete jayen.

10

तब उन्होंने उसके हथियार अपने देवालय में रखे, और उसकी खोपड़ी को दागोन के मन्दिर में लटका दिया।

Tab unhonne uske hathiyaar apne devalay mein rakhe, aur uski khopdi ko dagon ke mandir mein latka diya.

11

जब गिलाद के याबेश के सब लोगों ने सुना कि पलिश्तियों ने शाऊल से क्या क्या किया है।

Jab gilaad ke yabesh ke sab logon ne suna ki palishtiyon ne shaool se kya kya kiya hai.

12

तब सब शूरवीर चले और शाऊल और उसके पुत्रों की लोथें उठा कर याबेश में ले आए, और उनकी हड्डियों को याबेश में एक बांज वृक्ष के तले गाड़ दिया और सात दिन तक अनशन किया।

Tab sab shoorveer chale aur shaool aur uske putron ki lothein utha kar yabesh mein le aaye, aur unki haddiyon ko yabesh mein ek baanj vriksh ke tale gaad diya aur saat din tak anshan kiya.

13

यों शाऊल उस विश्वासघात के कारण मर गया, जो उसने यहोवा से किया था; क्योंकि उसने यहोवा का वचन टाल दिया था, फिर उसने भूतसिद्धि करने वाली से पूछकर सम्मति ली थी।

Yon shaool us vishwasghaat ke karan mar gaya, jo usne Yahowa se kiya tha; kyonki usne Yahowa ka vachan taal diya tha, phir usne bhootsiddhi karne vali se poochhkar sammati li thi.

14

उसने यहोवा से न पूछा था, इसलिये यहोवा ने उसे मार कर राज्य को यिशै के पुत्र दाऊद को दे दिया।

Usne Yahowa se na poochha tha, isliye Yahowa ne use maar kar rajya ko yishai ke putra Daud ko de diya.