Revelation 10 · 11 verses

प्रकाशितवाक्य 10 Revelation 10 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Prakashitvakya 10.

1

फिर मैं ने एक और बली स्वर्गदूत को बादल ओढ़े हुए स्वर्ग से उतरते देखा, उसके सिर पर मेघधनुष था: और उसका मुंह सूर्य का सा और उसके पांव आग के खंभे के से थे।

Phir main ne ek aur bali swargadoot ko badal odhe hue swarg se utarte dekha, uske sir par meghadhnush tha: aur uska munh soorya ka sa aur uske paanv aag ke khambhe ke se the.

2

और उसके हाथ में एक छोटी सी खुली हुई पुस्तक थी; उस ने अपना दाहिना पांव समुद्र पर, और बायां पृथ्वी पर रखा।

Aur uske haath mein ek chhoti si khuli hui pustak thi; us ne apna dahina paanv samudra par, aur bayan prithvi par rakha.

3

और ऐसे बड़े शब्द से चिल्लाया, जैसा सिंह गरजता है; और जब वह चिल्लाया तो गर्जन के सात शब्द सुनाईं दिए।

Aur aise bade shabd se chillaya, jaisa sinh garajta hai; aur jab vah chillaya to garjan ke saat shabd sunai diye.

4

और जब सातों गर्जन के शब्द सुनाई दे चुके, तो मैं लिखने पर था, और मैं ने स्वर्ग से यह शब्द सुना, कि जो बातें गर्जन के उन सात शब्दों से सुनी हैं, उन्हें गुप्त रख, और मत लिख।

Aur jab saton garjan ke shabd sunai de chuke, to main likhne par tha, aur main ne swarg se yah shabd suna, ki jo batein garjan ke un saat shabdon se suni hain, unhein gupt rakh, aur mat likh.

5

और जिस स्वर्गदूत को मैं ने समुद्र और पृथ्वी पर खड़े देख था; उस ने अपना दाहिना हाथ स्वर्ग की ओर उठाया।

Aur jis swargadoot ko main ne samudra aur prithvi par khade dekh tha; us ne apna dahina haath swarg ki or uthaya.

6

और जो युगानुयुग जीवता रहेगा, और जिस ने स्वर्ग को और जो कुछ उस में है, और पृथ्वी को और जो कुछ उस पर है, और समुद्र को और जो कुछ उस में है सृजा उसी की शपथ खा कर कहा, अब तो और देर न होगी।

Aur jo yuganuyug jeevta rahega, aur jis ne swarg ko aur jo kuchh us mein hai, aur prithvi ko aur jo kuchh us par hai, aur samudra ko aur jo kuchh us mein hai srija usi ki shapath kha kar kaha, ab to aur der na hogi.

7

वरन सातवें स्वर्गदूत के शब्द देने के दिनों में जब वह तुरही फूंकने पर होगा, तो परमेश्वर का गुप्त मनोरथ उस सुसमाचार के अनुसार जो उस ने अपने दास भविष्यद्वक्ताओं को दिया पूरा होगा।

Varan satvein swargadoot ke shabd dene ke dinon mein jab vah turhi phoonkne par hoga, to Parmeshwar ka gupt manorath us susmachaar ke anusaar jo us ne apne daas bhavishyadwaktaon ko diya poora hoga.

8

और जिस शब्द करने वाले को मैं ने स्वर्ग से बोलते सुना था, वह फिर मेरे साथ बातें करने लगा; कि जा, जो स्वर्गदूत समुद्र और पृथ्वी पर खड़ा है, उसके हाथ में की खुली हुई पुस्तक ले ले।

Aur jis shabd karne vale ko main ne swarg se bolte suna tha, vah phir mere saath batein karne laga; ki ja, jo swargadoot samudra aur prithvi par khada hai, uske haath mein ki khuli hui pustak le le.

9

और मैं ने स्वर्गदूत के पास जा कर कहा, यह छोटी पुस्तक मुझे दे; और उस ने मुझ से कहा ले इसे खा ले, और यह तेरा पेट कड़वा तो करेगी, पर तेरे मुंह में मधु सी मीठी लगेगी।

Aur main ne swargadoot ke paas ja kar kaha, yah chhoti pustak mujhe de; aur us ne mujh se kaha le ise kha le, aur yah tera pet kadva to karegi, par tere munh mein madhu si meethi lagegi.

10

सो मैं वह छोटी पुस्तक उस स्वर्गदूत के हाथ से ले कर खा गया, वह मेरे मुंह में मधु सी मीठी तो लगी, पर जब मैं उसे खा गया, तो मेरा पेट कड़वा हो गया।

So main vah chhoti pustak us swargadoot ke haath se le kar kha gaya, vah mere munh mein madhu si meethi to lagi, par jab main use kha gaya, to mera pet kadva ho gaya.

11

तब मुझ से यह कहा गया, कि तुझे बहुत से लोगों, और जातियों, और भाषाओं, और राजाओं पर, फिर भविष्यद्ववाणी करनी होगी॥

Tab mujh se yah kaha gaya, ki tujhe bahut se logon, aur jatiyon, aur bhashaon, aur rajaon par, phir bhavishyadwavani karni hogi.