Psalms 62 · 12 verses

भजन संहिता 62 Psalms 62 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — Bhajan sanhita 62.

1

सचमुच मैं चुपचाप होकर परमेश्वर की ओर मन लगाए हूं; मेरा उद्धार उसी से होता है।

Sachmuch main chupchaap hokar Parmeshwar ki or man lagaye hoon; mera uddhaar usi se hota hai.

2

सचमुच वही, मेरी चट्टान और मेरा उद्धार है, वह मेरा गढ़ है; मैं बहुत न डिगूंगा॥

Sachmuch vahi, meri chattaan aur mera uddhaar hai, vah mera gadh hai; main bahut na digoonga.

3

तुम कब तक एक पुरूष पर धावा करते रहोगे, कि सब मिलकर उसका घात करो? वह तो झुकी हुई भीत वा गिरते हुए बाड़े के समान है।

Tum kab tak ek puroosh par dhava karte rahoge, ki sab milkar uska ghaat karo? Vah to jhuki hui bheet va girte hue bade ke samaan hai.

4

सचमुच वे उसको, उसके ऊंचे पद से गिराने की सम्मति करते हैं; वे झूठ से प्रसन्न रहते हैं। मुंह से तो वे आशीर्वाद देते पर मन में कोसते हैं॥

Sachmuch ve usko, uske oonche pad se girane ki sammati karte hain; ve jhooth se prasann rahte hain. Munh se to ve aasheervaad dete par man mein koste hain.

5

हे मेरे मन, परमेश्वर के साम्हने चुपचाप रह, क्योंकि मेरी आशा उसी से है।

He mere man, Parmeshwar ke samhane chupchaap rah, kyonki meri aasha usi se hai.

6

सचमुच वही मेरी चट्टान, और मेरा उद्धार है, वह मेरा गढ़ है; इसलिये मैं न डिगूंगा।

Sachmuch vahi meri chattaan, aur mera uddhaar hai, vah mera gadh hai; isliye main na digoonga.

7

मेरा उद्धार और मेरी महिमा का आधार परमेश्वर है; मेरी दृढ़ चट्टान, और मेरा शरणस्थान परमेश्वर है।

Mera uddhaar aur meri mahima ka aadhaar Parmeshwar hai; meri dridh chattaan, aur mera sharnasthaan Parmeshwar hai.

8

हे लोगो, हर समय उस पर भरोसा रखो; उससे अपने अपने मन की बातें खोलकर कहो; परमेश्वर हमारा शरणस्थान है।

He logo, har samay us par bharosa rakho; usse apne apne man ki batein kholkar kaho; Parmeshwar hamara sharnasthaan hai.

9

सचमुच नीच लोग तो अस्थाई, और बड़े लोग मिथ्या ही हैं; तौल में वे हलके निकलते हैं; वे सब के सब सांस से भी हलके हैं।

Sachmuch neech log to asthai, aur bade log mithya hi hain; taul mein ve halke nikalte hain; ve sab ke sab saans se bhi halke hain.

10

अन्धेर करने पर भरोसा मत रखो, और लूट पाट करने पर मत फूलो; चाहे धन सम्पति बढ़े, तौभी उस पर मन न लगाना॥

Andher karne par bharosa mat rakho, aur loot paat karne par mat phoolo; chahe dhan sampati badhe, taubhi us par man na lagana.

11

परमेश्वर ने एक बार कहा है; और दो बार मैं ने यह सुना है: कि सामर्थ्य परमेश्वर का है।

Parmeshwar ne ek baar kaha hai; aur do baar main ne yah suna hai: ki samarthya Parmeshwar ka hai.

12

और हे प्रभु, करूणा भी तेरी है। क्योंकि तू एक एक जन को उसके काम के अनुसार फल देता है॥

Aur he Prabhu, karoona bhi teri hai. Kyonki tu ek ek jan ko uske kaam ke anusaar phal deta hai.