इस्राएल अब यह कहे, कि मेरे बचपन से लोग मुझे बार बार क्लेश देते आए हैं,
Israel ab yah kahe, ki mere bachpan se log mujhe baar baar klesh dete aaye hain,
Psalms 129 · 8 verses
इस्राएल अब यह कहे, कि मेरे बचपन से लोग मुझे बार बार क्लेश देते आए हैं,
Israel ab yah kahe, ki mere bachpan se log mujhe baar baar klesh dete aaye hain,
मेरे बचपन से वे मुझ को बार बार क्लेश देते तो आए हैं, परन्तु मुझ पर प्रबल नहीं हुए।
Mere bachpan se ve mujh ko baar baar klesh dete to aaye hain, parantu mujh par prabal nahi hue.
हलवाहों ने मेरी पीठ के ऊपर हल चलाया, और लम्बी लम्बी रेखाएं कीं।
Halvahon ne meri peeth ke oopar hal chalaya, aur lambi lambi rekhayen ki.
यहोवा धर्मी है; उसने दुष्टों के फन्दों को काट डाला है।
Yahowa dharmi hai; usne dushton ke phandon ko kaat dala hai.
जितने सिय्योन से बैर रखते हैं, उन सभों की आशा टूटे, ओर उन को पीछे हटना पड़े!
Jitne siyyon se bair rakhte hain, un sabhon ki aasha toote, or un ko peechhe hatna pade!
वे छत पर की घास के समान हों, जो बढ़ने से पहिले सूख जाती है;
Ve chhat par ki ghaas ke samaan hon, jo badhne se pahile sookh jati hai;
जिस से कोई लवैया अपनी मुट्ठी नहीं भरता, न पूलियों का कोई बान्धने वाला अपनी अंकवार भर पाता है,
Jis se koi lavaiya apni mutthi nahi bharta, na pooliyon ka koi bandhane vala apni ankvaar bhar pata hai,
और न आने जाने वाले यह कहते हैं, कि यहोवा की आशीष तुम पर होवे! हम तुम को यहोवा के नाम से आशीर्वाद देते हैं!
Aur na aane jane vale yah kahte hain, ki Yahowa ki aasheesh tum par hove! Ham tum ko Yahowa ke naam se aasheervaad dete hain!