जब लोगों ने मुझ से कहा, कि हम यहोवा के भवन को चलें, तब मैं आनन्दित हुआ।
Jab logon ne mujh se kaha, ki ham Yahowa ke bhavan ko chalein, tab main aanandit huaa.
Psalms 122 · 9 verses
जब लोगों ने मुझ से कहा, कि हम यहोवा के भवन को चलें, तब मैं आनन्दित हुआ।
Jab logon ne mujh se kaha, ki ham Yahowa ke bhavan ko chalein, tab main aanandit huaa.
हे यरूशलेम, तेरे फाटकों के भीतर, हम खड़े हो गए हैं!
He Yerushalem, tere phatkon ke bheetar, ham khade ho gaye hain!
हे यरूशलेम, तू ऐसे नगर के समान बना है, जिसके घर एक दूसरे से मिले हुए हैं।
He Yerushalem, tu aise nagar ke samaan bana hai, jiske ghar ek doosre se mile hue hain.
वहां याह के गोत्र गोत्र के लोग यहोवा के नाम का धन्यवाद करने को जाते हैं; यह इस्राएल के लिये साक्षी है।
Vahan yaah ke gotra gotra ke log Yahowa ke naam ka dhanyavaad karne ko jate hain; yah Israel ke liye sakshi hai.
वहां तो न्याय के सिंहासन, दाऊद के घराने के लिये धरे हुए हैं॥
Vahan to nyaay ke sinhasan, Daud ke gharane ke liye dhare hue hain.
यरूशलेम की शान्ति का वरदान मांगो, तेरे प्रेमी कुशल से रहें!
Yerushalem ki shanti ka vardaan mango, tere premi kushal se rahein!
तेरी शहरपनाह के भीतर शान्ति, और तेरे महलों में कुशल होवे!
Teri shahrapnaah ke bheetar shanti, aur tere mahlon mein kushal hove!
अपने भाइयों और संगियों के निमित्त, मैं कहूंगा कि तुझ में शान्ति होवे!
Apne bhaiyon aur sangiyon ke nimitt, main kahoonga ki tujh mein shanti hove!
अपने परमेश्वर यहोवा के भवन के निमित्त, मैं तेरी भलाई का यत्न करूंगा॥
Apne Parmeshwar Yahowa ke bhavan ke nimitt, main teri bhalai ka yatn karoonga.