2 Kings 6 · 33 verses

2 राजाओं 6 2 Kings 6 in Hindi and Hinglish

हिंदी बाइबल (O.V.) · हर वचन के नीचे उसकी Hinglish पंक्ति — 2 rajaon 6.

1

और भविष्यद्वक्ताओं के चेलों में से किसी ने एलीशा से कहा, यह स्थान जिस में हम तेरे साम्हने रहते हैं, वह हमारे लिये सकेत है।

Aur bhavishyadwaktaon ke chelon mein se kisi ne eleesha se kaha, yah sthaan jis mein ham tere samhane rahte hain, vah hamare liye saket hai.

2

इसलिये हम यरदन तक जाएं, और वहां से एक एक बल्ली ले कर, यहां अपने रहने के लिये एक स्थान बना लें; उसने कहा, अच्छा जाओ।

Isliye ham yardan tak jayen, aur vahan se ek ek balli le kar, yahan apne rahne ke liye ek sthaan bana lein; usne kaha, achchha jao.

3

तब किसी ने कहा, अपने दासों के संग चलने को प्रसन्न हो, उसने कहा, चलता हूँ।

Tab kisi ne kaha, apne dason ke sang chalne ko prasann ho, usne kaha, chalta hoon.

4

तो वह उनके संग चला और वे यरदन के तीर पहुंच कर लकड़ी काटने लगे।

To vah unke sang chala aur ve yardan ke teer pahunch kar lakdi katne lage.

5

परन्तु जब एक जन बल्ली काट रहा था, तो कुल्हाड़ी बेंट से निकल कर जल में गिर गई; सो वह चिल्ला कर कहने लगा, हाय! मेरे प्रभु, वह तो मंगनी की थी।

Parantu jab ek jan balli kaat raha tha, to kulhadi bent se nikal kar jal mein gir gai; so vah chilla kar kahne laga, haay! Mere Prabhu, vah to mangni ki thi.

6

परमेश्वर के भक्त ने पूछा, वह कहां गिरी? जब उसने स्थान दिखाया, तब उसने एक लकड़ी काट कर वहां डाल दी, और वह लोहा पानी पर तैरने लगा।

Parmeshwar ke bhakt ne poochha, vah kahan giri? Jab usne sthaan dikhaya, tab usne ek lakdi kaat kar vahan daal di, aur vah loha pani par tairne laga.

7

उसने कहा, उसे उठा ले, तब उसने हाथ बढ़ा कर उसे ले लिया।

Usne kaha, use utha le, tab usne haath badha kar use le liya.

8

और अराम का राजा इस्राएल से युद्ध कर रहा था, और सम्मति कर के अपने कर्मचारियों से कहा, कि अमुक स्थान पर मेरी छावनी होगी।

Aur araam ka raja Israel se yuddh kar raha tha, aur sammati kar ke apne karmachariyon se kaha, ki amuk sthaan par meri chhavni hogi.

9

तब परमेश्वर के भक्त ने इस्राएल के राजा के पास कहला भेजा, कि चौकसी कर और अमुक स्थान से हो कर न जाना क्योंकि वहां अरामी चढ़ाई करने वाले हैं।

Tab Parmeshwar ke bhakt ne Israel ke raja ke paas kahla bheja, ki chauksi kar aur amuk sthaan se ho kar na jana kyonki vahan arami chadhai karne vale hain.

10

तब इस्राएल के राजा ने उस स्थान को, जिसकी चर्चा कर के परमेश्वर के भक्त ने उसे चिताया था, भेज कर, अपनी रक्षा की; और उस प्रकार एक दो बार नहीं वरन बहुत बार हुआ।

Tab Israel ke raja ne us sthaan ko, jiski charcha kar ke Parmeshwar ke bhakt ne use chitaya tha, bhej kar, apni raksha ki; aur us prakaar ek do baar nahi varan bahut baar huaa.

11

इस कारण अराम के राजा का मन बहुत घबरा गया; सो उसने अपने कर्मचारियों को बुला कर उन से पूछा, क्या तुम मुझे न बताओगे कि हम लोगों में से कौन इस्राएल के राजा की ओर का है? उसके एक कर्मचारी ने कहा, हे मेरे प्रभु! हे राजा! ऐसा नहीं,

Is karan araam ke raja ka man bahut ghabra gaya; so usne apne karmachariyon ko bula kar un se poochha, kya tum mujhe na bataoge ki ham logon mein se kaun Israel ke raja ki or ka hai? Uske ek karmachari ne kaha, he mere Prabhu! He raja! Aisa nahi,

12

एलीशा जो इस्राएल में भविष्यद्वक्ता है, वह इस्राएल के राजा को वे बातें भी बताया करता है, जो तू शयन की कोठरी में बोलता है।

Eleesha jo Israel mein bhavishyadwakta hai, vah Israel ke raja ko ve batein bhi bataya karta hai, jo tu shayan ki kothri mein bolta hai.

13

राजा ने कहा, जा कर देखो कि वह कहां है, तब मैं भेज कर उसे पकड़वा मंगाऊंगा। और उसको यह समाचार मिला कि वह दोतान में है।

Raja ne kaha, ja kar dekho ki vah kahan hai, tab main bhej kar use pakadva mangaoonga. Aur usko yah samachaar mila ki vah dotaan mein hai.

14

तब उसने वहां घोड़ों और रथों समेत एक भारी दल भेजा, और उन्होंने रात को आकर नगर को घेर लिया।

Tab usne vahan ghodon aur rathon samet ek bhari dal bheja, aur unhonne raat ko aakar nagar ko gher liya.

15

भोर को परमेश्वर के भक्त का टहलुआ उठा और निकल कर क्या देखता है कि घोड़ों और रथों समेत एक दल नगर को घेरे हुए पड़ा है। और उसके सेवक ने उस से कहा, हाय! मेरे स्वामी, हम क्या करें?

Bhor ko Parmeshwar ke bhakt ka tahluaa utha aur nikal kar kya dekhta hai ki ghodon aur rathon samet ek dal nagar ko ghere hue pada hai. Aur uske sevak ne us se kaha, haay! Mere swami, ham kya karein?

16

उसने कहा, मत डर; क्योंकि जो हमारी ओर हैं, वह उन से अधिक हैं, जो उनकी ओर हैं।

Usne kaha, mat dar; kyonki jo hamari or hain, vah un se adhik hain, jo unki or hain.

17

तब एलीशा ने यह प्रार्थना की, हे यहोवा, इसकी आंखें खोल दे कि यह देख सके। तब यहोवा ने सेवक की आंखें खोल दीं, और जब वह देख सका, तब क्या देखा, कि एलीशा के चारों ओर का पहाड़ अग्निमय घोड़ों और रथों से भरा हुआ है।

Tab eleesha ne yah prarthana ki, he Yahowa, iski aankhein khol de ki yah dekh sake. Tab Yahowa ne sevak ki aankhein khol di, aur jab vah dekh saka, tab kya dekha, ki eleesha ke charon or ka pahaad agnimay ghodon aur rathon se bhara huaa hai.

18

जब अरामी उसके पास आए, तब एलीशा ने यहोवा से प्रार्थना की कि इस दल को अन्धा कर डाल। एलीशा के इस वचन के अनुसार उसने उन्हें अन्धा कर दिया।

Jab arami uske paas aaye, tab eleesha ne Yahowa se prarthana ki ki is dal ko andha kar daal. Eleesha ke is vachan ke anusaar usne unhein andha kar diya.

19

तब एलीशा ने उन से कहा, यह तो मार्ग नहीं है, और न यह नगर है, मेरे पीछे हो लो; मैं तुम्हें उस मनुष्य के पास जिसे तुम ढूंढ़ रहे हो पहुंचाऊंगा। तब उसने उन्हें शोमरोन को पहुंचा दिया।

Tab eleesha ne un se kaha, yah to maarg nahi hai, aur na yah nagar hai, mere peechhe ho lo; main tumhein us manushya ke paas jise tum dhoondh rahe ho pahunchaoonga. Tab usne unhein shomron ko pahuncha diya.

20

जब वे शोमरोन में आ गए, तब एलीशा ने कहा, हे यहोवा, इन लोगों की आंखें खोल कि देख सकें। तब यहोवा ने उनकी आंखें खोलीं, और जब वे देखने लगे तब क्या देखा कि हम शोमरोन के मध्य में हैं।

Jab ve shomron mein aa gaye, tab eleesha ne kaha, he Yahowa, in logon ki aankhein khol ki dekh sakein. Tab Yahowa ne unki aankhein kholi, aur jab ve dekhne lage tab kya dekha ki ham shomron ke madhya mein hain.

21

उन को देखकर इस्राएल के राजा ने एलीशा से कहा, हे मेरे पिता, क्या मैं इन को मार लूं? मैं उन को मार लूं?

Un ko dekhkar Israel ke raja ne eleesha se kaha, he mere pita, kya main in ko maar lun? Main un ko maar lun?

22

उसने उत्तर दिया, मत मार। क्या तू उन को मार दिया करता है, जिन को तू तलवार और धनुष से बन्धुआ बना लेता है? तू उन को अन्न जल दे, कि खा पीकर अपने स्वामी के पास चले जाएं।

Usne uttar diya, mat maar. Kya tu un ko maar diya karta hai, jin ko tu talvaar aur dhanush se bandhuaa bana leta hai? Tu un ko ann jal de, ki kha peekar apne swami ke paas chale jayen.

23

तब उसने उनके लिये बड़ी जेवनार की, और जब वे खा पी चुके, तब उसने उन्हें बिदा किया, और वे अपने स्वामी के पास चले गए। इसके बाद अराम के दल इस्राएल के देश में फिर न आए।

Tab usne unke liye badi jevnaar ki, aur jab ve kha pi chuke, tab usne unhein bida kiya, aur ve apne swami ke paas chale gaye. Iske baad araam ke dal Israel ke desh mein phir na aaye.

24

परन्तु इसके बाद अराम के राजा बेन्हदद ने अपनी समस्त सेना इकट्ठी कर के, शोमरोन पर चढ़ाई कर दी और उसको घेर लिया।

Parantu iske baad araam ke raja benhadad ne apni samast sena ikatthi kar ke, shomron par chadhai kar di aur usko gher liya.

25

तब शोमरोन में बड़ा अकाल पड़ा और वह ऐसा घिरा रहा, कि अन्त में एक गदहे का सिर चान्दी के अस्सी टुकड़ों में और कब की चौथाई भर कबूतर की बीट पांच टुकड़े चान्दी तक बिकने लगी।

Tab shomron mein bada akaal pada aur vah aisa ghira raha, ki ant mein ek gadhe ka sir chandi ke assi tukdon mein aur kab ki chauthai bhar kabootar ki beet paanch tukde chandi tak bikne lagi.

26

और इस्राएल का राजा शहरपनाह पर टहल रहा था, कि एक स्त्री ने पुकार के उस से कहा, हे प्रभु, हे राजा, बचा।

Aur Israel ka raja shahrapnaah par tahal raha tha, ki ek stri ne pukaar ke us se kaha, he Prabhu, he raja, bacha.

27

उसने कहा, यदि यहोवा तुझे न बचाए, तो मैं कहां से तुझे बचाऊं? क्या खलिहान में से, वा दाखरस के कुण्ड में से?

Usne kaha, yadi Yahowa tujhe na bachaye, to main kahan se tujhe bachaun? Kya khalihaan mein se, va dakhras ke kund mein se?

28

फिर राजा ने उस से पूछा, तुझे क्या हुआ? उसने उत्तर दिया, इस स्त्री ने मुझ से कहा था, मुझे अपना बेटा दे, कि हम आज उसे खा लें, फिर कल मैं अपना बेटा दूंगी, और हम उसे भी खाएंगी।

Phir raja ne us se poochha, tujhe kya huaa? Usne uttar diya, is stri ne mujh se kaha tha, mujhe apna beta de, ki ham aaj use kha lein, phir kal main apna beta doongi, aur ham use bhi khayengi.

29

तब मेरे बेटे को पका कर हम ने खा लिया, फिर दूसरे दिन जब मैं ने इस से कहा कि अपना बेटा दे कि हम उसे खा लें, तब इस ने अपने बेटे को छिपा रखा।

Tab mere bete ko paka kar ham ne kha liya, phir doosre din jab main ne is se kaha ki apna beta de ki ham use kha lein, tab is ne apne bete ko chhipa rakha.

30

उस स्त्री की ये बातें सुनते ही, राजा ने अपने वस्त्र फाड़े (वह तो शहरपनाह पर टहल रहा था ), जब लोगों ने देखा, तब उन को यह देख पड़ा कि वह भीतर अपनी देह पर टाट पहिने है।

Us stri ki ye batein sunte hi, raja ne apne vastra phade (vah to shahrapnaah par tahal raha tha ), jab logon ne dekha, tab un ko yah dekh pada ki vah bheetar apni deh par taat pahine hai.

31

तब वह बोल उठा, यदि मैं शापात के पुत्र एलीशा का सिर आज उसके धड़ पर रहने दूं, तो परमेश्वर मेरे साथ ऐसा ही वरन इस से भी अधिक करे।

Tab vah bol utha, yadi main shapaat ke putra eleesha ka sir aaj uske dhad par rahne dun, to Parmeshwar mere saath aisa hi varan is se bhi adhik kare.

32

एलीशा अपने घर में बैठा हुआ था, और पुरनिये भी उसके संग बैठे थे। सो जब राजा ने अपने पास से एक जन भेजा, तब उस दूत के पहुंचने से पहिले उसने पुरनियों से कहा, देखो, इस खूनी के बेटे ने किसी को मेरा सिर काटने को भेजा है; इसलिये जब वह दूत आए, तब किवाड़ बन्द कर के रोके रहना। क्या उसके स्वामी के पांव की आहट उसके पीछे नहीं सुन पड़ती?

Eleesha apne ghar mein baitha huaa tha, aur purniye bhi uske sang baithe the. So jab raja ne apne paas se ek jan bheja, tab us doot ke pahunchne se pahile usne purniyon se kaha, dekho, is khooni ke bete ne kisi ko mera sir katne ko bheja hai; isliye jab vah doot aaye, tab kivaad band kar ke roke rahna. Kya uske swami ke paanv ki aahat uske peechhe nahi sun padti?

33

वह उन से यों बातें कर ही रहा था कि दूत उसके पास आ पहुंचा। और राजा कहने लगा, यह विपत्ति यहोवा की ओर से है, अब मैं आगे को यहोवा की बाट क्यों जोहता रहूं?

Vah un se yon batein kar hi raha tha ki doot uske paas aa pahuncha. Aur raja kahne laga, yah vipatti Yahowa ki or se hai, ab main aage ko Yahowa ki baat kyon johta rahun?